Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.
    Dear Friends

    Ap janty hain kay har insan ka koi na koi shoq hota hai. jaisy humara jo shoq hai woh humain tu acha lag raha hota hai lekin us kay effect humari life mai bury be ho sakty hian or achy be ho sakty hai. humain apna shoq tu daikhny mai bura nahi lagy ga lekin any waly time mai us se humain pata chalta hai kay hum kaisy kudh ko maintain kar rahy hain

    Shukriya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

    asslam o alaikum dear friends many apny shook ko pura krny ky liya buhat mahnat ki hy pr buhat si jaga pr many apni mahnat zaya hoti dekhi hy pr buhat si jaga pr many kuch acha bi paya hy is liya life ma utar charhao aty rahty hy pr insan ko har ni manni chahiya
    • #3 Collapse

      Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

      Hamary jo be shok hoty hey es ki waja se hamari life me koch positive changing be aty hey aur negative effects be hamari life par karty hey, magar esy afraad hi apni life me kamyab ho sakty hey jo key apny shook ko apny upaar havy na hony den, shook ko agar apni adaat bana ley jaye to ye hamari life par har tarha se hi negative effect kar sakty hey, agar kesi ko shikar ka bahot shook ho aur wo es shook ki waja se har time hi shikar karta hay to es ki life disturb ho sakti hay es shook ki waja se us ki life par negative esraat be ho sakty hey, agar ye shook kabi kabar hi pora kia jaye to es key positive asaarat hi hamari life par hon gey, es tarha agar hamy book reading ka bahot zeyada shook ho to bahot zeyada book reading karny ka be acha asaar hamari life par nahi hota hay ye shook bahot hi acha hay magar koch other activities be hoti hey hamari life me jes ki waja se agar ham har time hi book ki reading kia karen gey to other koi be work ham achy tareeqy se karny key kabil nahi rahy gey, agar bike chalany ka bahot shook ho to ye shook be kabi kabar pora karna chaye aur zarorat key mutabeq hi agar bike drive ki jaye to es shook ko enjoy be kia ja sakta hay aur es ka nuqsan be koi nahi hota hay.
      • #4 Collapse

        Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

        Iqrasaeed ]asslam o alaikum dear friends many apny shook ko pura krny ky liya buhat mahnat ki hy pr buhat si jaga pr many apni mahnat zaya hoti dekhi hy pr buhat si jaga pr many kuch acha bi paya hy is liya life ma utar charhao aty rahty hy pr insan ko har ni manni chahiya[/QUOTE]
         
        • #5 Collapse

          Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

          (Iqrasaeed)
          Zindagi boht khobsurt h magr jab hum mushkal m party h to zindagi hum ko buri lgti h hamry lye sab sa bari namat y h k hum muslman ha agr bura waqt h to acha waqt b ata ha mahnat kry q k mnhnat sa hi hum kamjab hoty ha thank you
           
          • #6 Collapse

            Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

            Acha question poocha hy bhai aapny, mera jo shouq hy main regular koshish main ho k mery shouq poory ho lekin abhi tak main koshish karny k bawajood shouq poora nahi kar saka lekin koshiah karta rahoonga kshouq poory ho, aur aik na aik din oamyabi zaoor mily , isliye mera aap logo sy B ye request hy k apny shouq ko poora karny ke koshish jaari rakhain aim na aik din zaroor poora hoga.
            • #7 Collapse

              Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

              Dear friend wasy to hr kisi ki zindgi mn positive ya negative points aty hn jassy k kissi shok ko pura krny k ly hum din raat mehnat krty hn aur us ko pura kr lyty hn to woh hmary liy positive hota hy lkn agr woh hum at poura nhn hota tu us ka hm pr negative assar ho ga
              • #8 Collapse

                Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

                اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion12 پيغام ديکھيے
                Dear Friends

                Ap janty hain kay har insan ka koi na koi shoq hota hai. jaisy humara jo shoq hai woh humain tu acha lag raha hota hai lekin us kay effect humari life mai bury be ho sakty hian or achy be ho sakty hai. humain apna shoq tu daikhny mai bura nahi lagy ga lekin any waly time mai us se humain pata chalta hai kay hum kaisy kudh ko maintain kar rahy hain

                Shukriya.
                Bhai agar hum achi chezo ka shook rakhte hai to wo hamare liye faidemand sabit hota hai otherwise shook se nuksan hi hoga. Per shhukar hai mujhe esa koe shook nhi jis se meri life pe bura asar pare. Meri hobbies se meri life pe positive change hi aya hai.
                • #9 Collapse

                  Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

                  Shook koi be ho agar ye acha ho to zarori es key positive effect hamari life par ho sakty hey mujy book reading ka bahot hi zeyada shook hay apny es shook ki waja se meri life par bahot hi zeyada positive asraat me ne apni life me achuky hey, night time me sleeping se pebbly me zaror apna ye shook pora karny ki koshish karta hon jab tak koi be book me red nahi kar leta hon mujy bilkul be acha feel nahi hota hay, es tarha mujy cycling ka be bahot shook hay agar me market me jata hon koi be cheez leny ya park me jata hon to me bike ki jaga cycle par ye safar karta hon apny es shook ki waja se 40 year ki age me be meri seyhat bahot hi achi hay aur me khud ko fit mehsoos karta hon agar mujy cycling ka bahot zeyada shook nahi hota to kabi be meri health etni fit nahi hoti, me apny es shook ki waja se Sara din hi active rehta hon agar me koi hard work be karen to mujy zeyada takawat mehsoos nahi hoti hay, esi tarha aur be bahot se shook hey jess ko agar ham pora karty hey to es ka asaar hamari life par bahot hi positive hota hay koshish karen key koi sea shook pora na kia jaye jes ka effect hamari life par negative ho hamara shook bahot acha hona bahot hi zarori hay, shaker ka shook be esi tarha bahot hi acha hay es ka be koi nuqsan nahi esa shook jes me bahot zeyada time zaya ho aur jes ki waja se hamari health be kharab ho to ye shook bilkul be acha nahi samja jata hay.
                  • #10 Collapse

                    Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: hs000 پيغام ديکھيے
                    Dear friend wasy to hr kisi ki zindgi mn positive ya negative points aty hn jassy k kissi shok ko pura krny k ly hum din raat mehnat krty hn aur us ko pura kr lyty hn to woh hmary liy positive hota hy lkn agr woh hum at poura nhn hota tu us ka hm pr negative assar ho ga
                    I think agar ap ke shook pore hone se positive change ata hai to wo long term hota hai magar shook pura na ho tab bhi dil chota nhi karna chahiye aur is ki wajha se negative sochna aur apni zindagi pe us ke negative asrat ho heavy nhi hone dena chahiye.
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Kiya ap kay shoq se ap ki life main kuch positive ya negative points aye hain.

                      Dosto hr insna koi na koi Shoq rkhta hay.
                      Ksi ko Khailo ka Shoq hay , ksi ko Painting ka tou ksi ko Chzain ikhati krny ka
                      Shoq koi b ho us maim Positive Pehlu zrur hota hay , jesy Games say Ap jismani Strong rehty hain, Sehat achi hoti hay, dmagh Healthy hota hay, Painting say Ap Art seekhty hain , Apki Hand Eye Coordination achi hoti hay aur ap un Painting ko Sale Out kr ky kuch Paisy b kama skty hain.
                      Aisy hi kuch logo ko Chzain ikhatay krny ka Shoq hota hay jesa ky Qeemti Pathar , Decorations ki Chzain, ye Shiq zyada tr hmari Khawateen rkhti hain.
                      Dosto ye Baat such hay ky jitny b shoq hain agr wo achy aur roz mara ky hon tiu apko zrur Faida hoga

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X