Ye review safar key duran Seven Tunnels Attock dekny par mubni hay
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye review safar key duran Seven Tunnels Attock dekny par mubni hay
    Punjab key akhri district Attock ka agar safar kia jaye to es key hadood me kala chita pahardi silsila ata hay aur train key ley en pahardi silsily me railway track banany key ley engineers ne kamal technical skills ka namoona pesh kia aur es pahadi silsily ko me hi railway track ki bunyaad raki,
    Click image for larger version

Name:	118729402_1759192210900420_8858833869357073295_n.jpg
Views:	1
Size:	50.9 کلوبائٹ
ID:	12467462
    en soorangu ki shoohrat ki asaal waja ye hay key ye "Guinness Book of the World Record" ka be hisa ban chuky hey 1 key bad 1 taweel tunnel kesi ajooby se kam nahi hey, ye seven tunnels Pakistan railway ki shandar azmaat key sath Pakistan ka tareekhi wirsa be hey, ye tunnels Attock key area Jalhar me majood hey agar Attock se by train safar kia jaye to 10 kilo meter key distance par Jalhar station ata hay aur train en tunnels se guzar kar hi jalhar station par ponchti hay, en stations key darmeyan kala chita pahardi silsila hay jes ki shakhy bahot door door tak jati hey, Engineers key ley Railway track banana es pahardi silsily me kesi challenge se kam nahi ta magar engineers ne en pahadi ki katai bahot maharat se ki aur ye tunnels bana kar railway track bana kar safar ko mazeed na siraf asaan banaya aur Attock se kesi aur city tak key fasly ko be kam kia,
    en seven tunnels ka total area 7 kilo meter hay aur tunnel ki lambai 3 kilo meter banti hay engineers aur other workers ne bahot mehnat kar key hi ye tunnels banaye gey jes ki tameer apni misaal app hay, en tunnels ki temeer ka silsila 1896 me start howi aur 2 years key mehdood time 1898 me es ki temeer complete ki gai,

    en tunnels ki sab se ajeeb aur dilchasp bat ye hay key 3rd aur 7th tunnels key sath qudrati chamy behty hey jes ka nazara train me majood jo be musafir karty hey to wo qudrat ki tareef key baghir nahi reh sakty hey.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye review safar key duran Seven Tunnels Attock dekny par mubni hay

    Wow... Bht shandaar... Tunnels k bary mn parh k dekhny ka tajassuss puri trah beedar ho chuka hy. In Sha Allah next year jb Attock aoun ga to in tunnels ko dekhny zrur jaoun ga. Mjy pehly pta nh tha in tunnels ka wrna ek visit to ab tk zruur kr chuka hota. Hope so k next year krun ga. 😊

    اب آن لائن

    Working...
    X