onlie business walay kuch food main b investment kare yeh acha moka hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    onlie business walay kuch food main b investment kare yeh acha moka hai
    salam all brother
    main ne online kafi kam kar liya hai main ek hi ho kisi na kisi tarah guzara kar lo ga main ne ab food business main b investment start kar di hai is liay aap logo ko b kehta ho jin k pass paisa hai wo makai ya bagira stock kar le aaj kal agar aap makai ka rate 1400 to 1600 main 50kilo mil raha hai wo stock kar lo sarid main dukandar aata 60 to 70pkr kilo main baichay gai aap 50pkr kilo main baichna aap ko profit b acha nikal aata kuch logo ko aap sasta aata de kar ahsaan kar rahay ho gai sath main bajira b stock kar laina chayie wo 2000 tk mil jay ga
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: onlie business walay kuch food main b investment kare yeh acha moka hai

    Bahot se afraad online earning kar key money bank me jama karny me kamyab ho rahy hey agar ye money bank me rakny key bajaye ham es ko withdraw kar key food business me invest karen aur ye food jo key session key mutabeq bahot hi small rate me hamy mil jata hay koch time key bad jab es ki supply kam ho jati hay aur demand me ezafa to es food ko ham market me sale kar key acha munafa kamany me kamyab ho sakty hey, stock karny waly ye foods ye hey jes me investment key ley hamary ley behtareen hey,

    1. Gandum
    2. Makai
    3. Chawal
    4. Mong pali

    ye esy food products hey jes me invest ki gai amount kabi zaya nahi hoti hay es ki waja ye hay key ye kharab be nahi hoty aur es ko ham zarorat key mutabeq apny ghar me use be kar sakty hey, agar es ko 1 month be store kia jaye to ye acha khasa munafa de sakty hey, magar jes tarha se Islam me zakhera andozi se mana kia gia hay es ko agar store na be kia jaye aur es ko kam price me buy kar key apni shop me hi es ko sale key ley raka jaye to per be ye business profit de sakta hay, sab se achi bat ye hay key ham en foods ki pedawar khud hi karen agar ye possible na ho aur hamary pass es ki kashat key ley zameen available na ho to session me es ko buy karna hamy bahot hi faida de sakta hay.
    Click image for larger version

Name:	Wheat-Sunflower-Corn.jpg
Views:	1
Size:	63.8 کلوبائٹ
ID:	12334075
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: onlie business walay kuch food main b investment kare yeh acha moka hai

      Aajkal Duniya ke sare log Apna business online platform ki taraf Lekar Ja Rahe Hain agar aap bhi Chahte Hain ki aap future Mein apne business ko progress kar Saken to main yhe tajweez karta hun keh aap bhi online kam Mein a Jaaye agar aap trend ko Dekhen to is wakat Jo food ka trend Hai wh ziada top per ja raha hai jo bhi food ke product Hai wh online to ziada sale ho rahe hain yah bahut Acha mauka hai aapke liye keh food ki market Mein invest Karke aap is bahut acchy paise Kama sakte hain Jaise ke Puri Duniya Mein coronavirus ki ek threat hy. Har Koi apne ghar mein baith kar apni sari khane Peene ki chezen mangwa Raha Hai. Bahar koi bhi nahin Nikal Raha. Isi wajah se aapke pass Ek acha mauka hai ki aap online food ka karobaar Karen aur Logon Ko Ghar Baithe unke food ki chezen provide Karen is se aapko bahut acha profit ho sakta hai bahut Sare log Aise Hote Hain Jo business Shuru karne se darte hain aur Bank Mein Apne paise save kr ke rakh dety hain. Unko Aise paison ka koi bhi fayda nahin hai. aapke Jo paise Bank Mein Pady Hain wh aapko Koi fayda Nahin de rahe Hote. Agar aap apne paise Bank Se Nikal Ke isko food ki market Mein invest karte hain to aapko bht ziada profit ho sakta hai lekin aapko is main bi Kuchh Baton Ka Khyal Rakhna Hoga. Wh yah ki aap Logon Ko Fresh Food provide Karen Takeh aapke Business mein koi aapko masla na bny. Agar log aapki food ko Pasand Karenge to aapko ziada suggest Karenge aur aapka business is tarike se Aage badhta Jayega lekin agar aap Logon Ko acchi food provide Nahin Karenge to aap apne business Mein Kamyab Nahin Ho Sakenge

      اب آن لائن

      Working...
      X