Yah review Pani wali Tanki per mubni hai
Introduction
Jahan Ham Pani ko store karte Hain use Pani wali Tanki kahate Hain yah har Ghar Mein maujood hoti hai aur commercial use bhi hoti hai
Advantage
Pani wali Tanki har Ghar ki zarurat hoti yah har Ghar ke upar maujud hoti hai kuchh Pani wali Tanki cement ki bani hoti hai aur aajkal plastic ki bani Hui Tanki bhi available Hain Jo isliye market Se Mil jaati Hain yah commercial use mein bhi aati hai plastic Main har size mein available hai aap apni marzi ke colour aur size ke mutabik Tanki market se aasani ke sath purchase kr sakte hain aur istamal kar sakte hain yah ghar ke upar rakhi jaati Hain aur easily Pani ghar mein available hota hai motor Ka istemal karke Pani ko Tanki Mein store kar liya jata hai aur zarurat ke time is ko istemal Mein laya jata hai agar cement wali Tanki ki baat karte Hain to yah Ek jagah per fix hoti hai isko move nahin kar sakte a aur yah bahut ziyada reliable hoti hai jab ke plastic wali Tanki ko Ham Ek jagah se dusri jagah move kar sakte hain aur yah purchase karna bhi masla nahin hota kyunki yah kimaat mein bhi bahut kam hoti hai
Disadvantage
Pani wali Tanki ke bi disadvantage hote hain Agar Ham plastic wali Tanki ki baat karte Hain to yah dhoop mein bahut jald garam Ho jaati hai aur garmiyon Mein Pani Ka bahut masla hota hai Pani bahut zyada hot hota hai aur iska colour bhi bahut jaldi kharab ho jata hai jab ke Agar cement wali Tanki ki baat karen to sardiyoon Mein isme Pani bahut zyada thanda hota hai to usko istemal karna bhi bahut bada maslahota hai plastic wali Tanki ko chot lag jaaye to uski lickage ka bhi khatra hota hai iski bhi care karni padati hai