Ye Review Wazir khan Masque Lahore key safar par mubni hay
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye Review Wazir khan Masque Lahore key safar par mubni hay
    Introduction:Wazir khan masjid jo key Lahore me hay es ko tareekhi ehseyat hasil hay es masjid ki tameer Mughal Badshah Shah jahan ne ki, es mosque ki construction ka aghaz 1634 me kia gia jes ko 1641 me complete kia gia, Wazir khan masjid UNESCO World Heritage key list me be shamil kia gia hay,
    Click image for larger version

Name:	315457_4676209_updates.jpg
Views:	1
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12469828
    Advantages:Lahore me bahot se tareekhi places majood hey jo key sakafti wirsa ki ehseyat rakty hey wazir khan masjid ka shumar be en hi me hota hay, masjid ka behrooni emaarat be bahot hi khobsorat hay aur agar masjid key andar ham jaty hey to hamy es ka design apni taraf matawajo karta hay ye hath se banaye gey naksh hey jes par bahot hi mehnat ki gai hay, mera Lahore ka ye safar Wazir khan masjid ki waja se hi yaadgar ban chuka es ki waja ye hay key other places par mujy zeyada stay karny ka itefaq to nahi howa magar juma ki nimaz ada karny key ley me wazir khan masque me ruka raha jes ki waja se mujy kareeb se es masjid ko dekny ka muqa mila, ye masjid bahot hi khobsorat hay jes key andar agar app jaye gey to app ka dil kabi be es ki khobsorti se nahi nikal saky ga na hi app ka jany ka dil kary ga,

    Disadvantages:
    Mery khayal me es masjid key bary me kesi ka be review negative nahi hona chaye ye masjid me nimaz ada ki jati hay aur world key beautiful masque me es ka shumar be kia jata hay.

اب آن لائن

Working...
X