Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai
    Dosto aap may se bohot sare logo ko jazz cash ke baare may pata hoga aor bohot saare log is ko use bhi karte honge. Jazz cash mobile wallet ke tor pe kaam karta hai. Aor is ke founder ka naam Ali Ghori hay. Jazz cash ka purana naam Mobi cash tha jiss ko baad may tabdeel karke jazz cash ka naam diya gaya . Jazz cash ko jazz company ne waseela bank ke saat mil kar shooru kia. Aaj se takreeban 8 saal pehly yani 2012 may is ka iftitah howa. Waseela bank ka naam baad me tabdeel howa aor ye Mobilink micro finance bank ke naam se kaam karne laga. Mobi cash yani jazz cash ke shorooat may log is se na waqif the aor na logo ko zyada istimal karna aata tha laikin din guzarne ke saath saath log is ko samajne lage ao aor logo ne ise istimal karna shoru kar diya. Phely pehly jazz cash ke services bohot limited the laikin baad may jazz cash ke services wasi hote gaye aor log jazz cash se faida utathe gaye.
    Shorooat may jaaz cash ki family bohot hi kam thi laikin ajj kal jazz cash ko takreeban 6.5 million yani 65 laak log istimal karte hain. Aor aik aor research ke mutabik is ko istimal karne walon ki tedad takreeban 9 million hai. Aor poore pakistan may takreeban jazz cash ke 60,000 agents hain.
    Ab aate hain jazz cash ke advantages aor dis advantages ki taraf.

    Advantages:
    Jazz cash ki sab se bari advantage ye hai ke aap ghar bethe jazz cash ka account kol sakte hain na ke bank account ki tarah jis ke liye aap ko bank jana parta hai aap ko kahi jaane ki zaroorat nahi aor na koi time ki pabandi hai. Kisi bhi waqt aor kahin per aap jazz cash ka account kol sakte hain bus aap ne *4444# ka code apne mobile se milana hy.
    Jazz cash ka aik aor bara paida ye hy ke aap ghar bete apne mobile ko load kar sakte hain ya aap kisi aisi jaga pe ho jahan ke mobile shops door hon ya aap ki access na ho mobile shops tak to bari aaram se aap jazz cash se load karwa sakte ho.
    Aik aor faida ye hai ke aap bus waghera ki ticket bhi book karwa sakte ho.
    Aik aor advantage jazz cash ka ye bhi hai ke aap kisi ko bhi apne mobile ke jazz cash account se paise bhej sakte ho ya aap ko koi aor banda paise bhej sakta hai.
    Aap utility bills jaise ke bijli ka bill ya gas ka bill ya telephone ka bill sab is se pay kar sakte hain ghar bete.
    Aap donation bhi jazz cash ke zariye dey sakte hain
    M-tag waghera bhi isi se aap recharge kar sakte hain
    Jazz cash ke saath mukhtalif schools munsalik hain jin ki fees waghera bhi aap jazz cash se ghar bete ada kar sakte hain

    Disadvantages:
    Advantages ke sath sath jazz cash ke disadvantages bhi hain
    Jazz cash ke disadvantages ye hay ke agar aap kisi aisi jaga pe ho jahan per jazz ki coverage na ho ya agar signal may koi masla ho to aap jazz cash use nahi kar sakte
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

    Ya Review jazzcash pay mabni hain ap sub dost janty hain jazzcash aj kal buht zyda istaml hota hain or ya katna zyda important hain as k kia katna fiday hain jazzcash ko zyda tar log investment or emergency ki surat main forii passy withdrawal karny ya khai sand karny k sth sth as pay electric city k bill or electronic k koi bhi bill wgra pay kar skty hain jazzcash ka old name mobi cash tha jass ko ab kuch Salo say new name say jazzcash k name say jhor dia gia hain jasscash buht hi acha best account hain jass k 5.6 millions people hain jo as ko istaml karty hain pory pakistan k har City main as ki burnches hain......

    ADVANTAGES...

    Jazzcash humri forii tor pay Saholt ka best account hain jass pay hum forii tor pay jha bhi passy sand karna chie ya kesi say receive kary hum bgr kesi bank main jany k local shop say passy with Drwa krva skty hain Jab k ass k jazzcash tu sand karny pay charges ni hoty as main hum har tra k bill wgra pay kr skty hain fori services wla ya best account hain jSs k sarfeen pory pakistan main....

    DISADVANTAGES..

    Jazzcash k account ko zyda tar log Hak kar laety hain as main passy sand karny or receive hotii hain aik din main Limat k mutabik passy withdraw or sand kaya jaty hain Jab k kesi bhi local shop say passy withdraw karny pay charges lagty hain as main zyda bhari amount invest ni ho sktii......
    • #3 Collapse

      Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

      assalamu alikm frieds umaid h ap kheriat sy hongy aaj ka joreview h bht important h kun her who cheez jo daily روز مرہ m kaam aty hn bht ahmiyet ki haamil hoten hn jaisa keh aaj ka riview h jo jazz cash mobile per mubni h dosto aaj kal jo simon wali networks wali compnion ny jo saholiat day rakhee han ui kabele staish h kun k 10 saal kbal ui saholiat bilkul ni the log paison k laine dane mushkil ka samna karty thay log aik dosry ko cnice py rakam bheeja karrty thy lakin aaj k dor m frenchize ny aisi aap muteif krai hn k tmama mushkilat ka khatma hogya h ab special accoun rejistr karty hn jazz cash ka manu number *786# h acount create karny ya rejister karny m jodocomints کوائف pochy jaty hn un m saarif ka naam adrssپتہ CNC number waaldah ka naam phr who pin kod pochty hn jo sarif khud btata h jb ui ban jata h to mesg recieve hota h aur account rejister ho jata h aur is frencize ka number jo jazz cash a easi paisa ka h who 3737 h
      jazz cash application m mukhtalif section hoty hn jis men diffrent process hoty hn jaisy keh
      Send instrution.....
      1..pay bill
      2..send money
      3.. my account
      4..ready cash

      5..payment
      6..saving &invite
      7..inshurence
      8..100 lode recharg bye
      9..till payment
      0..back manue .
      jazz cash m ham 500 sy lay ker 50000 tak mony bhijwa sakty hn jaz kach ki saholat ny faslon ko kam kar k logon ki mushkilaaat kam kar den .

      ADVENTAGES:

      1...jazz cash k bht sy adventages hn
      mobile lod kia ja sakta h jaisa keh phly citi aur dosry shops y jana perta tha ab banda jhan kahen b h araam sy khud ka ld karwwa sakta h ui lod 50 sy lay k 1000 tak kraa sakty hn .
      2....iss app k zreye ham bijli k bill aur gass k bill bill k oper refrenc number send kar k pay kar sakty hn ui aik bht bara adventages h kun k bill py karny klye dor draaz jana perta tha ful aur time alag waist hota tha mager jazz cash ki wja sy ui mushkilat khtem ho gye hn
      3.....aik dosry ko dor draz sheron m rakoom bheej sakty hn jaisy k 500 sy 50000 tak ki saholat mojod h
      4.....jazz cash app m inshurence karwa saktyhn bima police life ya every thing ki karwaa sakty hn
      4....jazz cash sy lod khredny per mints internet aur sms bilkul free milty hn .100k lod py 100 mint 100 mb 100 sms miltyhn
      DSADVENTAGES:

      1jazz cash k chand disadventages hn jo m shere karny ja rha hon jisy keh agr lod kia jaye to tex ki ktoti lagti h
      2...bad network condition ki wja sy process compleate ni hoskti
      3...easy lone ki saholat muyasir nahen h jaisa keh telenor waly day rhy hn
      4....jazz cash m network err ki wja sy sari ko gnto wait karna perta h .
      • #4 Collapse

        Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

        Asslaam O Alikum dosto jesa k aap sab ko pata hy k ajkal Pakistan main 2 services buhat famous ho rahy hain aur ho B chuky hain, vo hy Jazz cash aur Easy paisa, lekin main aapko bata doon Jazzcash k baary main , Jazzcash aajkal buhat zyada usechony wala app hy , Q k ia k account banany main kisi Qism ke koi requirements ya proof ke zaroorat nahi, bs sinply aap k pass agar jazz number ho aur aapky naam par register ho to aap simply apny smart phone main app download kar k account bana sakty ho aur isky saary mobile banking services use kar sakty ho, sercives jo Jazzcash aapko drty hain usky baary main main baad main likhta hoon details k sath lekin pehly main aapko bata doon k jazz cash aaj k zamany main har bandy ka aik zaroorat ban gaya hy aur ye baat B yaad rakhain k is ka freelancing yaa online earning k field main chahy vo koi B field ho aur kisi B qism ka online kaam ho aap isky Jazzcash ko use kar sakty ho. Main khud B instaforex sy skrill k zariye Jab withdrawal leta hoon to pir Jazcash k zariye he withdrawal karta hoon Q k isky charges baqi app k muqably main yaa banks k muqably main kam hoty hain.


        Jazzcash services:
        1) JazzcashAccount sy aap apny mobile number yaa kisi B number par load kar sakty ho.
        2) Jazzcash app sy aap bijli bill, utility bill, gas bill, water bill, telephone bill, internet bill etc pay kar sakty ho.
        3) is sy aap internet, sms, aur call packeges khareed sakty ho aur normally yahan syaapko km price par zyada data mil sakta hy.
        4) is sy aap money transfer kar sakty ho kisi B bank acc par.
        5) ye apko Insurance services, bus ticketing, air ticketing etc ka sahoolat B deta hy.
        6) is sy aap food order kar skaty ho aur apny order ko trakck kar sakty ho.
        7) is sy aap education fee submit kar skaty ho.
        8) is sy aap loan payment aur fee collection kar sakty ho.
        9) is sy aap Mobile screen ke insurance aur health insurance ke facilities le sakty ho.
        10) Jazzcash k zariya aap daraz sy online shopping kar salty ho aur careem ke taxi ya bike booking kar sakty ho.
        11) jazzcash k zariye aap cash deposit aur cash withdrawal kar sakty ho.

        Faidy:
        Dears jab aap faido ke baat karty hain to Dosto Jazzcash ka sab sy barra faida ye hy k ye km sy km time consuming hy, ye aapka time waste hony sy bacha hy, for example aapny bill pay karny kiso bank ya office jaana ho to aap bike fuels, aur time zaya karogy lekin Jazzcash sy time aur fuel dono ka bachat ho jata hy.
        Doosra faida iska ye hy k ye aapko 24 hrs service deta hy caahy vo education fee ho yaa bill pay karna ho aap kisi B waqt kar sakty ho koi time ke pabandi nahi hoti, na koi off days ke pabandi hoti hy.
        Theesra faida ye hy k is k zariye aap zyada bachat kar sakty ho, agar aapky jazzcash main balance ho aur apa bill pay karty ho is sy tto aap exact amount enter karty hain , aur extra jo chamge bach haata hy vo aapky moblie main he rehta hy.
        Chota faida ye hy dosto k iska system buhatcasan hota hy aur ismain aap har qism k fraud sy bach jaaty ho, Q apka poora transaction ya deposting record app main mujood hota hy.

        Nuqsanaat:
        Faido k sath sath jazzcash k kuch nuqsnaat B hain, Dosto vesy to iska koi nuqsan hy nahi lekin ye nuqsan ho sakta hy k aap kahin load karty waqt ya deposit karty waqt aap ghalat record ya number enter karain to aapky paisy kahin aur jaa sakty hain aur aapko nuqsan ho skata hy.
        Doosra nuqsan ye hy dosto k agar aap k paas internet na ho to aap isky service ko bikul use nahi kar sakty.
        Theesra nuqsan ye hy dosto k aapka account hack B ho sakta hy Q k aajkal hackers buhat zyada aur active hain.
        • #5 Collapse

          Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

          Yes dear ap na bohat acha review share kia hai main ap ka sath khuch details share kartha hon .
          Dear member jazz cash account bohat he acha online money transfer account hai.
          Dear jazz cash account open karny ka lay sim ka hamary name par hona chay.
          Dear us ka bad ham apni sim par *786#dial kar ka account open kar sakty hain
          Dear jab hamara account open ho jata hai . Us ka bad ham is main money transfer kar skaty hain.
          Dear member jazz cash account hamy bohat zaida facilities provide kar raha hai.
          Dear jazz cash account main ham utilities bill paid jar sakty hain.
          Dear is ke help sc ham mobile load be kar skaty hain.

          Advantage.
          Dear jazz cash account ka bohat zauda advantage hain.
          Dear jazz cash account hamy online facility provide kar raha hai.
          Dear jazz cash account sc ham bank main be money transfer kar skaty hain .
          Dear online tickets be ham paid kar skaty hain.
          Dear is main ham asani sc kam kar sakty hain.
          Disadvantage.
          Dear is system ka koi khaas disadvantage nai hai.
          • #6 Collapse

            Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

            Yah review "jazz cash" per mubni hai assalam walekum doston jazz cash basically mobilink microfinance bank ka ek project hai ya kisi bhi dusre commercial bank ki tarah kam karta hai fark sirf itna hai ki dusre commercial bank ki branches bahut kam hoti hain aur aap ko kisi bhi branch ko access karna mushkil hota hai lekin in case of jazz cash main aapko jagah jagah iske retailer mil jaate hain jahan per aap apne account ke upar paise deposit bhi kara sakte hain aur withdrawal bhi kar sakte hain jazzcash ke bahut sare fayde hain aur iske kuchh disadvantages bhi hain


            advantages



            Jazz cash mein account banana kisi bhi commercial bank mein account open karvane se bahut jyada easy hai aapane simply play store se jazz cash ki application download karni hoti hai aur uske upar apna ek account banana hota hai bad mein aapane use account ko biometric verify karvana hota hai kisi bhi retailer ki shop ke upar jakar
            Jazz cash mein deposit karvana koi masla nahin hai aap 50 rupees bhi deposite karva sakte hain
            jazzcash mein account banane ke bad aap bahut sare functions khud se perform kar sakte hain jaise ke apne mobile mein balance load karvana, kisi dusre ko balance bhejna, kisi dusre ko paise bhejna ya kahin se paise mangwana utility bills pay karna iske alava bahut sari shops ke upar agar aap jazz cash ke through payment karte hain to aapko cashback ka bhi discount milta hai aur vouchers bhi mil jaate hain
            Jazz cash mein paise secure hote hain simply aapka 1 pincode hota hai aapane use pin ke through transaction karni hoti hai
            Jazz cash mein transaction karne ki koi time limit nahin hai aap raat ko bhi kisi time transaction kar sakte hain lekin agar aap ka account kisi commercial bank ke andar hai to sirf aap office timing ke andar hi jakar Apne transaction perform kar sakte hain Jaise jazz cash mein account banane ke bad bahut Sare shopping aap Ghar Baithe kar sakte hain jaise ke bus ke ticket bhi aap ghar mein baith kar purchase kar sakte hain aur aapko na sirf ticket Mil Jata Hai balki use ticket ke upar discount bhi Milta Hai


            Disadvantages
            Jazz cash me account banane ke disadvantages nahin hai agar aap ke mobile ke upar koi code aata hai to vah kisi dusre ko forward na karen kyunki yah bahut bada scam hai aur ismein agar aap kisi ko vah code forward kar dete hain to aap ka sara balance udhar transfer ho jata hai
            doston mein ummid karta hun ki jazzcash ke bare mein yah review aapke liye bahut jyada helpful sabit hoga
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: Dosto mera ye review “jazz cash” per mabni hai

              اصل پيغام ارسال کردہ از: Ehtiram92 پيغام ديکھيے
              Dosto aap may se bohot sare logo ko jazz cash ke baare may pata hoga aor bohot saare log is ko use bhi karte honge. Jazz cash mobile wallet ke tor pe kaam karta hai. Aor is ke founder ka naam Ali Ghori hay. Jazz cash ka purana naam Mobi cash tha jiss ko baad may tabdeel karke jazz cash ka naam diya gaya . Jazz cash ko jazz company ne waseela bank ke saat mil kar shooru kia. Aaj se takreeban 8 saal pehly yani 2012 may is ka iftitah howa. Waseela bank ka naam baad me tabdeel howa aor ye Mobilink micro finance bank ke naam se kaam karne laga. Mobi cash yani jazz cash ke shorooat may log is se na waqif the aor na logo ko zyada istimal karna aata tha laikin din guzarne ke saath saath log is ko samajne lage ao aor logo ne ise istimal karna shoru kar diya. Phely pehly jazz cash ke services bohot limited the laikin baad may jazz cash ke services wasi hote gaye aor log jazz cash se faida utathe gaye.
              Shorooat may jaaz cash ki family bohot hi kam thi laikin ajj kal jazz cash ko takreeban 6.5 million yani 65 laak log istimal karte hain. Aor aik aor research ke mutabik is ko istimal karne walon ki tedad takreeban 9 million hai. Aor poore pakistan may takreeban jazz cash ke 60,000 agents hain.
              Ab aate hain jazz cash ke advantages aor dis advantages ki taraf.

              Advantages:
              Jazz cash ki sab se bari advantage ye hai ke aap ghar bethe jazz cash ka account kol sakte hain na ke bank account ki tarah jis ke liye aap ko bank jana parta hai aap ko kahi jaane ki zaroorat nahi aor na koi time ki pabandi hai. Kisi bhi waqt aor kahin per aap jazz cash ka account kol sakte hain bus aap ne *4444# ka code apne mobile se milana hy.
              Jazz cash ka aik aor bara paida ye hy ke aap ghar bete apne mobile ko load kar sakte hain ya aap kisi aisi jaga pe ho jahan ke mobile shops door hon ya aap ki access na ho mobile shops tak to bari aaram se aap jazz cash se load karwa sakte ho.
              Aik aor faida ye hai ke aap bus waghera ki ticket bhi book karwa sakte ho.
              Aik aor advantage jazz cash ka ye bhi hai ke aap kisi ko bhi apne mobile ke jazz cash account se paise bhej sakte ho ya aap ko koi aor banda paise bhej sakta hai.
              Aap utility bills jaise ke bijli ka bill ya gas ka bill ya telephone ka bill sab is se pay kar sakte hain ghar bete.
              Aap donation bhi jazz cash ke zariye dey sakte hain
              M-tag waghera bhi isi se aap recharge kar sakte hain
              Jazz cash ke saath mukhtalif schools munsalik hain jin ki fees waghera bhi aap jazz cash se ghar bete ada kar sakte hain

              Disadvantages:
              Advantages ke sath sath jazz cash ke disadvantages bhi hain
              Jazz cash ke disadvantages ye hay ke agar aap kisi aisi jaga pe ho jahan per jazz ki coverage na ho ya agar signal may koi masla ho to aap jazz cash use nahi kar sakte
              Aoa nic .
              God experiencen.
              Nic knowledge.
              Nic topic.
              Nic post .
              Apnay acha experiencen shar kya jazz cash kea baray me thanku ap senior member ki wajara sy bht halp milti ha god work

              اب آن لائن

              Working...
              X