Chamakdar Rangeen tiddy ( painted grasshopper
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Chamakdar Rangeen tiddy ( painted grasshopper
    Assalamu Alaikum dear Forex members.

    History 😍😍😍😍
    Naam: Rangeen tidda (painted Grasshopper)
    Science naam: poekilocerus pictus
    Family: Pyrgomorphidae

    Introduction :-
    Yi aik khobsorat kherhaa hai. jo uchalta aur kodtta hai. Jo zameen ki kashish saqal ky khilaf qwwat lgaa kar fizaaon main accha Khasa buland ho kar aik jaga sy dosrii jaga harkat karta hai. aur bhi sy apni pichli lambi taangy sukhairh kar uchalny ko tyyar ho baithty hain. Yi tidda paron sy lais hota hai jo inhain door tak ly jany main madadgaar hota hain..

    Tiddo ki pocnch sy siraf aik Bariiazam INTAARKATEEKA bcha howa hai jo sard hai.
    En ky liye garam ilaky hee mozon tareen hai. Duniya Bhar main Tiddo ki 11 hazar Aqsaam hai. En mai sy barhi tadad Africa aur Asia ky janglon, charagaho, khaiton, aur Baghat main uchalty khodty paye jaty hain.

    Tiddo main sab sy Rangeen aur chamakdar khobsorat rango qism poekilocerus pictus ky tiddy barsagheer pak wa hind mai abad hain. Aur har saal yi Rangeen tidday en sarzameen par moon soon ky barisho sy qabal badhi taddad mai Namoodar hoty hain. Aur barsaat ky mosm main ghaib hojaty hain.

    Es nasal ky ki tddio ky nazuk badan par peely, naranji, neely aur sabz Rang ky mukhtalif rango ky dhabby hoty hain.
    Jab kh baligh tiddo ky sar aur seeny par peeli aur neely Rang ki dharya Padhi hoti hain. Aur en ka pait chamakdar surakh Rang ka hota hain. Aur en ky surakh Rang ky choty par jo siraf doraan parwaaz hee nazar atii hain. Baligh hony par en ky size mai taqreeban 60mm tak izafa Hota Hai. Nojwan tiddya jo aakh ki zahreely patty Katy hain. Aur akh podo main mojood zahreelay maado ki waja sy en ka rang bhi teez toxic alkaloids chamakdar hota chla jata hai.

    Es nasal ky tiddo ki nojwan tiddya to Jab en ko pakrhny ki koshish ki jaye to kai inch ki dorii ky fasly sy hee khas maya maday ki pichkarii phankny ki salahiat raakhti hai.

    Es tiddy ki mada moon soon ky mosam main zameen mai adha feet andar ghus kar aik theeli mai anday day kar es mai ando ki pod par mattji daal dettii hai. Es theeli ki taddad150 ky lag bhag hoskti hai. Es theeli main tyyar hony walii tiddy maaheeny Bhar baad matthi sy bahir bahir nikal kar zahreely doodh sy bhary aakh ky pooday ky ird gird hee baseera karti hai. Es qism ky tiddy halal hai lekin jis podhy par betha hota hai yi zahreela hota hai. Jis ki waja sy yi khana nuksan deh hai..

    Thnx zarur bolye 😍😍😍

اب آن لائن

Working...
X