Mobile Chargers (Review and safety precautions)
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Mobile Chargers (Review and safety precautions)
    Asalam o Alikum dear friendsKaise hain aap sab umeed ha ap thek hon ge dear friends aaj Hamara review mobile chargers ke bare mein hai mobile charger different mobile ke different hote hain lekin kuch local bed charges Sahi Nahin Hote friends Jab Bhi aap mobile ko charge karte hain to mobile ke original charger ki koshish karen ke aapko charging ke liye mobile ka original charger use Karen Jab aap mobile ka original charger use Karenge to aapke mobile ki life increase ho jaati hai aur aap ko accha result milta Hai.

    Safety Precautions !Mobile charging karte waqt Ek chizka bahut Khyal Rakhe ke mobile charging ke liye aap different leads istemal na Karen extension Jab istemal kiye Jaate Hain Tu tu bahut jyada nuksan hone ka aur accident hone ka Khatra hota hai koshish karen ke mobile ko original charger ke sath use Karen charge Karen aur koi local chargers istemal na Karen kuch log mobile ko charge karte waqt sath sath mobile use karte hain yah bahut Khatarnak hai isase bahut bada accident hone ka khadsha hota hai isase fire ka khadsha Hota Hai. Mobile ko kabhi bhi full charge na Karen aur mobile ko raat mein charging per Laga kar na so jaen Aise mobile ki battery ki life down ho Jaati Hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

    Assalamu Alaikum dear Forex members ummid karta hun aap sab khairiyat se Honge.
    Aj ka Hamara review mobile charger per mubny hai to Chaliye Iske bare Mein Kuchh information share karta hun aapke sath.

    Introduction :--
    Charger Aik aesi equipment hai jis at ham apny mobile ko charge Kar sakty Hein aur phi use Kay qabil bana sakty Hein charger Kay zariye say ham energy mobile ki battery main store Kar sakty Hein aur jis energy ko istmaal Kar Kay ham apna mobile use Kar sakty Hein charger Kay bohat say fawaid bhi Hein aur nuksanat bhi Hein.

    Advantages of mobile charger :--

    Charger buht zurari or fida mand hota hain agr hum mobile ko charge ni kary gay tu wo bilkul bhi ni chal sky ga as lay chrger us mobile ki sub say bhri zurart hoti hain or humri mjbori hoti hain hum ny har hal main lena hota hain chrger atna mangy ni hoty har shop say asani k sth mobile k sth wla original chrger mil jata hain jass k sth betry timing bhi achi bnati hain mobile ki jab k chrger ko hum apny sth pocket main lay skty hain khai bhi ja kr use kr skty hain........

    Disadvantages of mobile charger :--
    Dear friends jis tarha kuch cheezon ki fayde hote hain use Tarah Sath Sath Uske nuksan bhi bahut Hote Hain esii Tarah Mobile charger ke bhi kuch nuksaanat hai.
    dear friends chrger buht fuday mand zurar hain lkn aj kal as main doplicute chrger bhi hain local company k jas k brand bilkul fazol hain jen ki waj say mobile karb ho jaty hain humy charger humsha mobile ki compuny wla hi lena chye or usi mobile pay use krna chye otherwise local brand mobile ko khrb krty hain jb k betry bhi foraan low ho jati hain.....
    • #3 Collapse

      Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

      Asslamualkium

      Dear forex member umeed hy k app sb khariyat sy hon gy aj k topic mobile charger per hain to guys apko pta hy k mobile charger ajkal her bandy ki zaroorat hy mobile charger k
      baighar ap na mukamil hy kionk mobile charger nahi to ap apna mobile charge nahi kr skain gy mobile charge nahi ho ga to mobile chla b nahi skain gy mobile charger mobile k liye
      bohat zaroori hy her aik mobile k sath usk mobile charger voltage k mutabik hota hy jis sy mobile charge krny sy magobile k life kam nai hoti battery performance achi rahti hy battery
      ki life per zaida asar nahi parta guys markete main different kisam k charger available hain mager guys apko apny mobike ki configration k mutabik hi charger purchase kr chaiy
      kisi dosray k charger istmal krny sy apko boht sa noqsan ho skta hy
      ADVANTAGE
      guys ager ap apny mobile k original charger use krty hian to apk mobile ki life barh jati hy battery kharab nahi hoti

      Disadvatage

      Dear member is k nuqsan to zaida nahi mager kharab charge apki battery ko kharab kr skta hy aur is ki life kam kr sktahy
      mobile ko charging pe laga kr use nahi krna chaiy
      • #4 Collapse

        Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

        Mobile charger Aik aesi cheez hai Jin say har kisi ka wasta hai Matlab Kay har koi jis Kay paas mobile hai wo charger use karta hai . Charger Kay zariye mobile phones ko charge Kia Kay aaye tab hi wo kaabil e istmaal hort Hein aur unko use Kia jata hai .

        Advantages;-

        1)Mobile charger Kay zariye Ap apny mobiles ko charge Kar skaty Hein .
        2)mobiles Kay sath unky charger mil jaty Hein taky charge Kia ja saky .
        3) mobiles charger bijli ki bihat Kam consumption karty Hein .
        4) market sy hamen easily mil jaty Hein .
        5) achi quality Kay charger kamwaqt main charge Kar dey Hein .
        6) Aik dafa charge kar Kay ham long time is wkar sakty Hein apny mobile ko .

        Disadvantages:-

        1) aksar charger hamary phones ki batteries ko damage Kar dety Hein
        2) achi quality Kay charger na hon to wo bohat ziada waqt lety Hein charging karny main .
        3) ghatia brand Kay charger batteries ki timing Kam Kar dety Hein .
        4) Achay aur mayari brand Kay charger expensive hoty Hein .
        • #5 Collapse

          Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

          Assalam o Alikum !
          Doston umeed karta hu ap sub khariat sa ho gy
          Aj ma apky sath mobile charger ka bary ma kuch information share karny wala hu
          Aj kal market ma bhot sa charger a gy ha kuch charger fast charging karty ha inko hum fast charger ka nam daty ha agar apny mobile charge karna ho tu ap khoshish kary ka mobile ka orignal charger use karyq ka aj kal market ma bhot zayada local charger a gy ha un ki waja sa zayada tar mobile kharab ho jaty ha mobile charger ka advantages bh ha or disadvantages bh ha

          Advantages;

          Mobile charger ka bhot sa advantages bh ha acha mobile charger use kar ny sa mobile fast charge hota ha acha charger use karny sa mobile kharab ni hota or koi accident waghera ni hota or mobile ki battery timing bh thk rahti ha

          Disadvantages;

          Mobile charger ka bhot sa disadvantages bh ha local mobile charger sa mobile kharab hony ka khatra hota ha or mobile ki battery kharab hony ka bh bhot khatra hota ha local mobile charger bhot jaldi kharab ho jaty ha ha

          Cost;

          Aj ma apko mobile charger ki prices ka bary ma bh batata hu agar ap acha fast mobile charger purchuase kary ga tu wo apko 400 tak mil gy ga agar ap local charger purchuase kary ga tu wo apko 250 tak mil gy ga local charger kharab bhot jaldi ho jaty ha
          • #6 Collapse

            Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

            Introduction....


            Assalamu Alaikum friends ummid Hai Sab khairiyat se Honge jaise ki AAP Sab Jante Hain Ki ham log aapke sath Ek new topic per discussion karte hain aur aap ko Uske bare mein information provide karte hain Usi Tarah aur ham Ek topic ke sath Aaye Hain ...Ham is topic ke bare mein aapko information we provide Karenge aur Iske advantages and disadvantages bhi bataenge aaj ka Hamara topic mobile charger ke bare mein hi Jaise ke aap Sabko Maloom Hai Ki Har Ghar Mein mobile Jo Hota Hai To uske sath Ek charger bhi Hota Hai ...mobile se apne original charge hote hain jaise company mobile banati hai to uske sath uska Apna original charger bhi banati hai Jiske Sath Ham apna mobile charge karte hain friends Agar Ham Apna charges Karenge apne mobile ke sath uski life Jyada Hoti Hai battery bahut jyada time Nikalti Hai Aur battery kharab Bhi Nahin Hoti Is Tarah hamara mobile Jyada time chalta hai aur Agar ham ..Kisi dusre charger ke sath apna mobile charge karenge kya aapane mobile ke jaisa 4 market se separate purchase Karke apna mobile charge karenge to iski battery jaldi kharab ho jaati hai aur mobile ki life ki kam ho jaati hai isliye Hamesha iska Apna charger Jod karna chahie friend charger Ek portable chij Hai Jisko Ham aasani se ek Jagah se dusri Jagah Le Ja sakte hain ..aap School Jaate Hain ya college office mein ya ghar mein bhi hai to aap bahut aasani ke sath apne mobile ko Kahin bhi kisi bhi switch board ke sath charge kar sakte hain aur recharge ki madad chahie possible hota hai charger different type ke hote hain aur Har company ke apne charger hote hain friends Agar Ham original charger use Nahin Karte to bhi hamara mobile charge ho jata Hai Magar uski life kam Ho Jaati aur battery bahut jaldi consumer Jaati Hai .....friends S2 charger ki koi disadvantages Nahin Hote Magar Hamara charger original na ho to uski Kuchh disadvantages ho sakte hain Jo Ham aapke sath share Karenge ..


            disadvantages ...




            ​friends Agar Hamara charger original Nahin Hota To Hamare mobile ki battery jaldi consume Ho Jaati Hai Aur mobile ki battery charge hone per bhi bahut jyada time lagta hai isliye Hamen Hamesha Apna original charger use karna chahie Kyunki dusra Agar Ham is ka original charger use Nahin Karenge aur market se separate process Karenge to uski price bahut kam hoti hai lekin usse hamara mobile kharab ho sakta hai ummid hai aap Hamari information Achi Lagti Ho ...
            • #7 Collapse

              Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

              Jaise Jaise mobile ka istemal badta ja raha Jaise Jaise mobile ka istemal badta ja raha hai Usi Tarah charger ki jarurat Din Badan badhati ja rahi hai. Koi bhi mobile beghair Charger ke istemal nahin ho sakta. Jab Bhi aap charger len Tu koshish Karenge Sacchi company Karen Kyunki Bar Bar kharidne se behtar aap ek hi bar Achcha khareed le.
              Wholesale market se Jab Bhi aap jaen charger khreeDenge to Aap Ki Aankhen Khuli Ki Khuli Rah jaayengi Kyunki wholesale or retail price Mein 200 percent ka Fark Hai.
              Koshish karen Kisi bhi wholesale market Mein Ek Bar visit Jarur Karen. Jo charger aapko 350 ya 450 ka mil raha Hota Hai uski qeemat wholesale pr 100 ya 150 hoti hai.
              • #8 Collapse

                Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

                Mobile ko jab be charge kia jaye to es bat ka khas khayal rakna chaye key charging key dorran kabi be call attend nahi karna chaye aur na hi internet ka use karna chaye es ka nuqsan ye hota hay key mobile ko agar charging par laga dia jaye aur per be es ka use kia jaye to ye bahot zeyada heat ho jaty hey aur es key damage hony ka khatra peda ho sakta hay ye safety key ley bahot hi zarori hay jab be mobile ko charge kia jaye to es ko power off kar dena chaye jab ye full charge ho jaye tab hi es ka use karna chaye, mobile ko agar on kar key be charge kia jata hay to es ki waja se mobile battery ki health kharab hoti hay, agar mobile ki battery 80% show kar rahi ho to es ko charging ki zarorat nahi hoti hay mobile ko esi time hi charge karna zarori hay jab ye fully down ho jaye agar battery me charging majood be ho gi aur ham per be es ko charge karny ki koshish karen gey to es se be mobile battery ki health kharab ho sakti hay, mobile ki battery ko careful ho kar charge kia karen ye hamari safety key ley be zarori hay aur mobile ki battery ki health key ley be zarori hay sab se important ye hay key ham night time me hi battery ko charge kar leya karen, jab be mobile full charge ho jata hay to esi time es ko charge se remover kar dena chaye zeyada time tak agar mobile charging par laga ho to ye be ghalat hay.
                • #9 Collapse

                  Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

                  Introduction:-

                  Assalamu assalam walekum doston ummid hai aap sab khairiyat se honge doston aaj ka hamara review jis chij per mabni ha wo mobile charger hai doston mobile doston mobile charger har Ghar ki jarurat hai doston kisi bhi mobile ko charge karne ke liye ye hamen charger ki jarurat hoti hai Pakistan mein mukhtalif companies charger ki manufacturing karti hai lekin doston jab Ham mobile new purchase karte Hain to uske sath original charger maujud hota hai jo ke mobile ke liye jyada suitable hota ha dsoto charger ke bahut sare fayde aur Chand ek nuksan mein aapse a share karunga

                  Faidy:-

                  1) doston mobile charger kesari ham mukhtalif mobiles ki battery ko kisi bhi waqt charge kar sakte hain aur dosto mobile ko asani k sahsath use kr salty hain

                  2) mobile charger market ma asani k sath available hoty han aur ham inko easily purchase kar sakte hain

                  3) mobile charges jo k acchi companies ke hote Hain unka use bhi ye bahut safe hota hai

                  4) mobile charger bahut kam kimat ma market mein available hote Hain hain aur har aadami e inko purchase kar sakta hai

                  Nuqsan:-

                  1) chhote bacche agar mobile charger ko hath lagaen to unke liye ye khatarnak sabit ho sakta ha

                  2) mobile charger ki sale value bilkul bht kam hain aur market ma easily dale nai ho salta

                  3) mobile charger plastic se manufacture kiye jaate Hain isliye ye agar gir jayen to toot jaty hain aur maali muqsan ho salta ha

                  4) mobile charger mein direct current a Raha hota hai hai isliye ye shohrat circuit ki vajah se a hamen nuksan ho sakta hai
                  • #10 Collapse

                    Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

                    bhai ap ne bohat acha review diya ha mobile charger k bhrey mn ise hum apnie mobileki battrey ko charge krte hein agr hamre paas origanal charge ni ha tu phr hume kisi achy mobile se apney mobile ki battrey ko charge krna chaiye agr hum local mobile se apni battrey ko charge krein gein tu hamre mobile ki battrey ko nuqsan be ho sakta ha
                    adavantages. battrey charge krne k liye hume mobile charger ki zahrorat hoti hai agr hamre paas acha charge ni hai tu hume dosre local kisi charge ko istamal ni krna hota ha hum agr apney origanal charge se apni mobile ki battrey ko charge krein gein tu hamri mobile ki battrey ki timing kafi achi hon gi achy charge k bohat zada faidey hein ise hamre mobile ki battrey be ni kharab hoti ha ur os ki timing be achi rehti hai
                    disadavantages.
                    dear agr hum local charger ka istamal krte hein tu os k bohat zada nuqsan ha eik tu hamre mobile ki battrey kharab ho sakti ha local charge se agr hume mobile ki battrey ko charge krte hein tu os ki timing achi ni hoti ha
                    :1f60d: hard work :1f60d:
                    • #11 Collapse

                      Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

                      Mobile charger jes agar ham use karty hey to asani se ye hamary mobile ki battery ko short time power transfer kar key full kar deta hay agar ham es ko use karty hey to hamy safety key bary me zaror khayal rakna ho ga, es ka faida na siraf ye ho ga key hamari battery ki heath achi rahy gi ye kabi down nahi ho saky gi aur na hi hamy ye koi nuqsan de saky ga,

                      1. Mobile ko hamesha power off mod par laga kar chage karna chaye es ka faida ye ho ga key mobile short time me bahot hi jald charge ho saky ga aur es se battery ki health par koi negative effect be nahi ho ga, on mod par agar ham mobile ko charge karen gey to ye charge hony me be bahot zeyada time le ga aur mobile heat hony ki waja se battery ki health be kharab kar sakta hay,

                      2. Call attend kar key ya per internet use kia jaye to es condition me mobile ko charge karny ki zarorat nahi charger ko remove jab tak na kia jaye es time tak mobile ko use nahi karna chaye,

                      3. Jab be mobile ki battery low ho to es situation me kabi be mobile ko use nahi karna chaye es ki waja ye hay key low battery key time mobile se bahot hi zeyada showyae kharej hoti hey jo key hamari health ko nuqsan de sakti hay,

                      4. Mobile ko full charge kia jaye to es ko use karna chaye battery jab tak full low nahi ho jati ya 10% nahi reh jati es time tak kabi be mobile ko charging par nahi lagna chaye.
                      Click image for larger version

Name:	Mobile-phone-in-the-charger-1.jpg
Views:	1
Size:	46.0 کلوبائٹ
ID:	12334487
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Mobile Chargers (Review and safety precautions)

                        *Aslam Alaikum*. Yh review *mobile charger* pe mabni h.📱*Introduction:*Mobile charger aik aesi cheez h jise ajkal k dour main duniya ka chote se chota bacha b janta h.. Ajkal k dour main logon k lye itna zroori h jese k sans..😅 Ajkal log jese mbile k bgher ni rh skte wese e mbile iske bgher ni rh skta.. Ajkal k dour main aik ghar main jitne afrad hote hain utne hi charger b paye jate kiunke har bande k mbile ka alag charger hota h.. Kisi k pas i phone ka charger to kisi k pas android ka charger or kisi k pas bareek or moti pin wale charger... Aik charger apke mobile ki battery ko charge krta h.. Ajkal yh itna zaroori hogya h k insan k bag main or kuch ho ya na ho aik mobile or uska charger to lazmi hi paya jata h...😊*Advantages:*🎊Aik mobile charger ka is se bara faida kia hoskta h k wo apke mobile ki battery ko chrge krta h... Jese hi battery kam ho ap use chrge kar skte. Or kiunke yh jadeed dor h to market main ab trh trh k chargers mil rhe hain... Yahan tk k wireless chargers b milte hain or ziadaaa ampr wale chargers....yh charger apke mobile ko bht tezi se apke mbile ki battery chrge krta h📱🔋 or yh apke mbile ki battery timing bhi barhata h.. ✔️💯*Disadvantages:* ⁉️Aik aesi cheez jo apka mobile chrge krti h uska kia nuksaan ho skta h haan albata iska nuksan yh h k jese jese dour jadeed hota jarha iski rating barh ri aur chargers menhge hote jarhe hain...⚠️ Or agr hm aik chrger ko ziada time lgaye rkhen or ziadaaa watr dalen to yh heatup ho k jal jata h or naya khareedne k liye market jana parta jahan se orignal chargers ni milte or wo mbile ki battery der se chrge krte 📴

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X