Ye Review Rawalpindi se Karachi tak key safar par mubani hay
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye Review Rawalpindi se Karachi tak key safar par mubani hay
    Introduction:Rawalpindi se le kar karachi tak ka safar kahka deny wala safar hota hay es ki waja ye hay key Rawalpindi se Karachi ka distance 1,392.8 kilometer hay by train ye safar kia jaye ya per by road kia jaye ye 18 hours ka safar hoa hay jo key hamy har tarha se hi tanka deta hay,

    Advantages:Long distance jana kahi ka be safer kia jaye bahot se afraad ka ye pasand ka safar hota hay esy afraad ko long distance key safar ka bahot shook be hota hay, Rawalpindi se agar Karachi ka be safer kia jaye to ham kesi zarori kam se hi ye long distance ka safari karty hey, last time me ne by train se Karachi ka safar kia es ki waja ye ti key me office se related work karny key ley ye long distance ka safari kia, ye safar me ne bahot hi enjoy kia aur mujy es safar me kesi kisam ki koi mushkil be posh nahi ai, Rawalpindi railway station se 1 week pehly hi me ne ticket book kar le ti jes ki waja se mujy seat ki koi pareshani be nahi howi aur ye safar other passengers key sath gupe shap me guzar kia aur sleeping key ley be bahot zeyada time mujy mil saka jo key ghar me zeyada time tak me sleeping nahi kar sakta hay magar es safar me sleeping karna be hamari majboori hoti hay, long distance key safar me bahot hi zeyada neend be ati hay esi key sath har station par food stall be lagy hoty hey es waja se kahany ki koi pareshani be nahi howi,

    Disadvantages:Rawalpindi se Karachi safar long distance ka hota hay jes ki waja se koch time key ley ham boring zaror feel kar sakty hey es key elawa es safar ka 1 nuksan ye be hota hay key hamy bathroom ki be bahot pareshani ka samna hota hay,
    Click image for larger version

Name:	pic_1562239090.jpg
Views:	1
Size:	39.4 کلوبائٹ
ID:	12470035
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye Review Rawalpindi se Karachi tak key safar par mubani hay

    Rawalpindi se Karachi tak ka safar train me hi kia jaye to zeyada acha hay relax ho kar train ki seats par ye long distance ka safar karna asaan hay agar bus me ye taweel safar kia jaye to bahot hi mushkil se ye safar complete ki ja sakta hay train me sleeping ka pora intezam kia jata hay aur es me esi seats banai gai hey jes me relax ho kar ham apni neend be pori kar sakty hey aur ye long distance ka safar jo key 16 hours se be zeyada ka banta hay es ko complete karny me hamy asani hoti hay, bus me ham relax ho kar ye safar kar hi nahi sakty hey, train har station par hi stop karti hay jes ki waja se ham apni zarorat pori kar sakty hey jab key bus jo key khas stop par stay karta hay kahany se related hamy bahot mushkil ka samna ho sakta hay, Rawalpindi se me ne jab be Karachi ka safar kia hay to me ne train me hi kia hay karachi me jo be job karty hey agar koi be Rawalpindi ya Punjab se safar karta hay to us ki pehli koshish ye hoti hay key wo train me safar kary agar us ko seats nahi milti to koch din intezar key bad hi seats book karty hey magar bus me safar karny ki bilkul be koshish nahi karty hey, Karachi ja Railway station ki loaction esi hay key easily karachi me station se ham apny ghar key loaction par ja sakty hey jab key karachi ka jo bus station hay es ki location be achi nahi hay.

    اب آن لائن

    Working...
    X