Kush rahne ka raaz!
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kush rahne ka raaz!
    Dosto ap ki nazar mein insan ke khush rahne ke peche kia raaz ho sakta hai? Mere khayal se insan do reasons ki wajha se nakhush rahta hai, ek jab us ke pass koe kam na ho. her waqt farig rahne ki wajha se aur dosra jab kisi ko apni pasand ke bager koe kam karna pare tab.

    To agar hum khud ko her waqt apne pasand ke kamo mein busy rakhe to hum khush rah sakte hai. Ap ka kia khayal hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kush rahne ka raaz!

    Mairy Aziz Dost Earie:-
    Apny aik achy Review ki nishan dehi ki hay.
    Beshak insan unhi kaamo main Khush rehta hay jisay wo Pasand krta hay, aur jb especially Fargh ho tou na khush rehta hay.
    Maira Point of View ye hay ky hr insan ki Mizaj mukhtalif hoty hain wo apny Mizaj ky mutabik chzo ko dhaikta hay aur khush aur naraz hota hay.
    Aik Example hay jesy hmain koi Task dia jaey jo Mushkil ho pr hmain e krna ho tou uski do soortain hain
    1- ya tou usy Accept kr ky au khush ho kr kia jaey , aisy apko zehni sakoon b milay ga
    2- Ya Fatigue smj kr , Agr Fatigue smj ky krain gay tou ap tension ka shikar rahain gay aur ho skta hay ap wo kaam b thk say na kr Paen.
    Tou Dosto yei chz hy khush rehna seekhain, apni Motivation e aisy krain ky apko koi kaam mushkil na lagay
    • #3 Collapse

      Re: Kush rahne ka raaz!

      اصل پيغام ارسال کردہ از: Earie پيغام ديکھيے
      Dosto ap ki nazar mein insan ke khush rahne ke peche kia raaz ho sakta hai? Mere khayal se insan do reasons ki wajha se nakhush rahta hai, ek jab us ke pass koe kam na ho. her waqt farig rahne ki wajha se aur dosra jab kisi ko apni pasand ke bager koe kam karna pare tab.

      To agar hum khud ko her waqt apne pasand ke kamo mein busy rakhe to hum khush rah sakte hai. Ap ka kia khayal hai?
      G han apny bilkul sahi hai..kun k jb insan ko koi kam majbori m karna pry to wo khush nhi reh skta or har wakt udas rehta hai...or 1 or wajah k jb insan apni un khuwaisho k pichy bhagta rahy jo puri ni ho sakti ya wo insan k kismat m us wakt nahi hoti wo tb b na khush rehta hai....
      Humy chiye k har hall m Allah pak ka shukar ada kry k jis hall m b wo rakhy or halat k sath khush rehna sikh ly to Allah pak khud hee apny bandy k liye asania farma deta hai..(beshak)..
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Kush rahne ka raaz!

        اصل پيغام ارسال کردہ از: mehreensaeed پيغام ديکھيے
        or 1 or wajah k jb insan apni un khuwaisho k pichy bhagta rahy jo puri ni ho sakti ya wo insan k kismat m us wakt nahi hoti wo tb b na khush rehta hai....
        Bilkul sahi bat hai, her chez hone ka waqt mukarar hota hai, to hume her waqt pur umeed rahna chahiye. naumeed se stress bharta hai aur ye naumeedi ka ehsas ap ko kabhi khush rahne nhi deta.

        اب آن لائن

        Working...
        X