Novel Prhny ka Shoq
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Novel Prhny ka Shoq
    Dosto Aj jo Review main apsy Share krny ja ta hu wo " Novel Prhny ka Shoq " ky baray main hay.
    Buhat say Student aur Gher main Majood log Books Reading ka Buhat Shoq rkhty hain, aj say kuch arsa Pehly dhaikain tou Jb ye Mobile naai hoa krty thy tou ye Novel hi apki Behtreen Entertainment hoa krty thy.
    Daily ka News Paper laina hmara Shoq hota tha aur Sunday Magzine ka hum Shidat say intzar krty thy, aisy e Library ja kr hum Bacho ky Novel aur Mushktalif Novel Prha krty thy.
    Dosto Maira Fav Novel " Daastan Eman Farosho ki " hay. Ye Novel Sultan Salahuddin Ayubi ky dor ky waqyat aur Jung pr mabni hay jb Salahuddin Ayubi nay Saleebio ko shikast day kr Bait ul Muqadas azaad krwaya tha. Is ki 7 Jildain hain aur Hr Jild dosri Jild say Brh kr mzay ki aur interesting hay. Dosto kbi apko itefaq hoa tou ye Novel zrur Parheay ga aur btaeaye ga apko kesa laga.
    Main kuch Advantages apsay shafe krta Chalu Novel prhny ky
    Advantages:-
    1- Novel Prhny say apky ilm main izafa hota hay.
    2- Free Wqt main Behtreen sathi hay apka.
    3- Online mil jatay hain Paisy khrch krny ki zrurat nai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Novel Prhny ka Shoq

    Achi information share ki hai apny. Thanks.
    • #3 Collapse

      Re: Novel Prhny ka Shoq

      Introduction: Novels parhny ka shook bahot hi acha hay Urdu key bahot se popular novels hey jes ko bahot hi zeyada study ki jati hay novel me hamesha parhny waly key ley lesson majood hota hay novels long pages par mushtamil hota hay jes ko write karny key ley writer ne bahot hi zeyada mehnat ki hoti hay kesi be noval ko agar read kia jaye to es ko parhny me zaror maza ata hay,

      Advantages:Novels me jaha bahot hi zeyada information hoti hay har novel me koi na koi informative lesson be majood hota hay, novel ko 1 din me read nahi kia ja sakta hay ye bahot hi zeyada pages ka hota hay aur es ko agar read kia jaye to esa mehsoos hota hay key ham khud es novel ka hisa hey, bahot se novels achy topics key hoty hey jes ko agar 2nd time be read kia jaye to zaror read karny ka maza ata hay, novels ki ehmeyat es ley zeyada hoti hay key ye different topics key hoty hey kesi be novel ko ham fazul type ka ye fazul topic ka nahi keh sakty hey, writer ki koshish ye hoti hay key es key novel ki ratin g me ezafa ho aur es key ley bahot hi zeyada hard work be ki jati hay,

      Disadvantages:Novel jo key long project hota hay aur ye zeyada pages ka be hota hay es ley every time novels ko read karna be nuqsan deta hay free time me zarori works key bad hi agar novel ko study kia jaye to acha hay.
      • #4 Collapse

        Re: Novel Prhny ka Shoq

        اصل پيغام ارسال کردہ از: imgr8jack پيغام ديکھيے
        1- Novel Prhny say apky ilm main izafa hota hay.
        2- Free Wqt main Behtreen sathi hay apka.
        3- Online mil jatay hain Paisy khrch krny ki zrurat nai
        Novel readm apna farig time ache se spend kar sakte hai, is ke ilawa novel parhne ki adat se hamari reading skill bhi achi ho jati hai.
        • #5 Collapse

          Re: Novel Prhny ka Shoq

          اصل پيغام ارسال کردہ از: Earie پيغام ديکھيے
          Novel readm apna farig time ache se spend kar sakte hai, is ke ilawa novel parhne ki adat se hamari reading skill bhi achi ho jati hai.
          Bilkul sahi kaha hai bhai, novel parhna ho ya koe bhi books parhna ho. is tarha ki adat se hume faida hi hota hai. Hume mukhtalif words sekhne ko milte hai aur hamare reading skill behtr hoti hai jis ki wajha se hum reading speed bharti hai.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Novel Prhny ka Shoq

            اصل پيغام ارسال کردہ از: imgr8jack پيغام ديکھيے
            Dosto Aj jo Review main apsy Share krny ja ta hu wo " Novel Prhny ka Shoq " ky baray main hay.
            Buhat say Student aur Gher main Majood log Books Reading ka Buhat Shoq rkhty hain, aj say kuch arsa Pehly dhaikain tou Jb ye Mobile naai hoa krty thy tou ye Novel hi apki Behtreen Entertainment hoa krty thy.
            Daily ka News Paper laina hmara Shoq hota tha aur Sunday Magzine ka hum Shidat say intzar krty thy, aisy e Library ja kr hum Bacho ky Novel aur Mushktalif Novel Prha krty thy.
            Dosto Maira Fav Novel " Daastan Eman Farosho ki " hay. Ye Novel Sultan Salahuddin Ayubi ky dor ky waqyat aur Jung pr mabni hay jb Salahuddin Ayubi nay Saleebio ko shikast day kr Bait ul Muqadas azaad krwaya tha. Is ki 7 Jildain hain aur Hr Jild dosri Jild say Brh kr mzay ki aur interesting hay. Dosto kbi apko itefaq hoa tou ye Novel zrur Parheay ga aur btaeaye ga apko kesa laga.
            Main kuch Advantages apsay shafe krta Chalu Novel prhny ky
            Advantages:-
            1- Novel Prhny say apky ilm main izafa hota hay.
            2- Free Wqt main Behtreen sathi hay apka.
            3- Online mil jatay hain Paisy khrch krny ki zrurat nai

            Mujhe lambi lambi novels parhna khas pasand nhi hai, mein bas choti stories ki books ya comic books parhna pasand karta ho.

            اب آن لائن

            Working...
            X