Ye review "Television Ki Vompley History" Par mabni hy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye review "Television Ki Vompley History" Par mabni hy
    Tv mojooda door ki azeem aur heraan kun ijad hai. Ye science ka umda karishma hai. Is ka mojad Scotland ka aik science daan hai jis ka naam John Logie Baird hai. Tv ke zariye aap ghar baithay hi dunya ka nazara kar sakte hain. Dunya ki khabrain sun sakte hain. Apni amkhon se waqiat zamana ka nazara kar sakte hain. Radio bhi waqia aik herankun ijad hai magar Tv us se bhi sabqat lay gaya hai. Radio mein tou sirf hum sun sakte thay lekin Tv par tasweerain bhi sath ati hain jis se tabiyat zayada mehzooz hoti hai. Youn lagta hai jese sub khuch hamare samne hi ho raha hai.

    Tv par qisam qisam ke programs dikhaye jate hain. Films, khabrain, mushaira, ganay, naghma, numaishain, adbi ilmi taqreebat aur kheelon ke match sub khuch dikhaya ja raha hai. Cricket ka match Australia ya England mein ho raha hai aur aap yahan baithay khaladiyon ki aik aik harkat ko achi tarah se aisay dekh rahe hain jese aap usi ground mein baithay dekh rahe hon balkeh baaz logon ka khayal hai ke Tv par jis qadar saaf aur sahi dekha ja sakta hai wesa saaf ticket kharch kar ke bhi nahin dekha ja sakta hai.

    Pakistan mein tv ka aghaz 1964 mein hua tha. Aaj ka rawaj is qadar barh gaya hai ke har dusre ghar mein tv mojood hai. Ab tou rangeen tv bhi agaye hain jis rang ke libas mein koi muqarar taqreer kar raha ho ya jis libas mein koi ga raha ho aur jis tarah ke sabzazar ya gulistan ya koi scene dikhaya ja raha ho tv par rang ki wohi shokhi wohi damak aur chamak aur wohi ranai nazreen dekh sakte hain. Television par tameeri aur islahi program bhi dikhaye jate hain. Aaj kal bohat darama wagera tv par arahe hain, mili naghmay jazba hubul watni paida karte hain.

    Mulki aur ghair mulki halaat ka pata rozana tv par nashar ki gayi khabaron se chalta rehta hai. Is ke ilawa halat hazra par tabsare bhi hote hain jin se haqeeqat haal ayan hoti rehti hai. Tanqeedi pehlu bhi baaz programs mein paya jata hai. Mulk ki bari bari shakhsiyaton ko is liye mutarif karaya jata hai ke unhon ne mehnat mushaqat ke kin kin marhalon se guzar kar ye muqam hasil kiya. Un ki zindagi ke roshan pehlu se naujawan tabqon ko sabaq bhi milta hai. Doran interview un ke ala kardar aur un ki salahiyaton ka pata chalta hai. Sehat aama ke mutaliq bhi mashware nashar kiye jate hain. Zarat ki taraqi ke liye tou aksar program ate rehte hain.

    Tv se sirf khawanda tabqa hi faida nahin uthata balkeh na khawanda tabqa bhi isi tarah hi faida uthata hai. Balkhe jo log akhbar aur rasala wagera nahin parh sakte unhain bhi baghair parhe maloomat hasil ho jati hain. Tv sirf izafa maloomat ke liye hi mufeed nahin balkeh sare din ki thakan ke baad sham ko hamare liye tafreh ka kaam bhi deta hai. Sham ko jo log tafreh ke liye bahir nikal jate thay aaj kal ghar mein baith kar tafreeh kar letay hain. Film ke rasya bhi ab aksar Tv par hi filmain dekhte hain. Agar koi aisi film dekhna maqsood ho jo Tv par nahin arahi tou Vcr ya Dvd players istemal kar ke apni pasand ki film dekh sakte hain.

    Advantages And Disadvantages:

    Jahan Tv ke beshumar faide hain wahan bilashuba khuch nuqsanat bhi hain. Kache zehan ka ka nojawan tabqa jub ghair islami programs dekhta hai tou us mein bhi usi qisam ke rujhanat paida ho jate hain aur is tarah mulk aur qaum ke liye muasharti masla khara kar deta hai. Is liye Tv par aisay program nashar kiye jane chahiyain jo islahi aur tameeri hon. Is tarah Tv aur bhi zayada mufeed sabat ho sakta hai
    Click image for larger version

Name:	images (15).jpeg
Views:	1
Size:	33.5 کلوبائٹ
ID:	12470616
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye review &quot;Television Ki Vompley History&quot; Par mabni hy

    Assalam walekum Pyare bhai jaan mahjuda TV mein Juda door ki Ajeeb aur kharab Kaun Ijazat Hai yah bahut hi Khuda hai iska maujud school ka ek second Mein Jiska Naam Jo Lagai gai hai TV ke liye aap Ghar Baithe hi Duniya Ka najara dekh sakte hain duniya ki khabren Sun sakte hain Apne Mulkon se vyavastha Rah sakte hain aur radio bhi Vakya Ikram Kaun Jaat Hai Magar TV use se bhi Sabak le gaya hai aur radio Main To Sirf Aam Sun sakte hain lekin TV per Ham television par hansate dekh bhi sakte hain

    TV per ke sab Kishan ke program Dekhe Jaate Hain film khabren aur bhi bahut chijen ismein Dekhi jaati hai aur dusre Mulkon ki khabren bhi Dekhi Jaati Hai Cricket ka bhi match ismein Ham dekh sakte hain isliye Ham England Australia India Sab Ka Match dekh sakte hain aur ham Indian khabren Bhi ismein Sun sakte hain

    Pakistan mein TV ka 1964 mein hua tha aaj Karya vade Kadar badh gaya hai aur Har dusre ghar mein TV manjur Hai Ab To Rangeen TV bhi a Gaya Hai Jis per Rang Ke Liye Bas Mein Koi kukaril Taqreer kar raha hai jismein syllabus Mein Koi ja raha hai aur Jis Tarah Ke bus Gulshan ko yah Koi second Dikhai Ja Rahe Hain TV per Rang ki Vahi sukene Vahi dimag aur Vahi chammach aur Vahi dhamak hoti hai aur Najar aati hai aur television per Ham Sameer aur ise program bhi Dekhe Jaate Hain aur aaj ka bahut hi drama vagaira TV per a rahe hain aur Mil Rahe Hain vah gendbazi kar rahe hain

    Mulki aur Gair Mul ki halat Ka Pata rosana TV per Nasha Kiya jata hai aur khabron se chalta rahata hai Iske alava halva to hazar per Sabse Pyara Hota Hai Ek Din Se Hakikat a jaati hai aur khul Jaati Hai To takriban yah tak ki Zee Telugu program Mein paya jata hai aur Mulk ki badi badi shakhsiyat ko isliye 9 tarikh karaya jata hai ki unhone a minute mishkat Karke yah Mukam Paya Hai

    Tu Pyare bhai jaan TV bahut hi acchi chij hai aur TV mein Ham jo hai agar Ham Keval Lagate Hain To fir bhi Hamen bahut hi chijen dekhne ko milati Hain Kyunki Ham Keval Agar TV per Lagate Hain To TV mein Hamen Sab Ko Dikhai deta hai aur TV bahut hi acchi company ka TV hai aur TV jo hai agar Ham usko acche se Dekhte Hain Ham Sarkar Labh Hote Hain
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Ye review &quot;Television Ki Vompley History&quot; Par mabni hy

      television ki invention se pahle aur television ki invention ke bad ke time ko compare Karte Hain To usmein Humko bahut jyada difference mil raha hota hai no doubt television ki Humko bahut jyada advantages mil rahe hain aur ham is completely utilise ho rahe hain television ki invention se yah world Global Village bar chuki hai aur Duniya ke kisi bhi part Mein Kuchh Bhi Ho Jaaye to isase properly update Rahe ke liye liye television Ka Sahara le rahe Hote Hain.Dear agar aap television ke complete advantages aur benefits study karna chahte hain to usmein aap ko bahut carefully iski study karna hoti hai ismein bahut jyada advantages aapko Mil Rahe hote hain Agar aapke pass extra time hota hai aur aap usko entertainment ke liye comment karna chahte hain to television aapke liye ek bahut hi important platform hai jismein aapko multiple options available hote hain Kyunki ismein aapko different channels ki facility mil rahi hoti hai jinko aap different times were properly utilised kar sakte hain Agar aapko games dekhne ka bahut jyada craze hai to aap is per different games channels Hasil kar sakte hain Agar aapko drama ya FIR koi movie dekhna Hoti Hai To iske liye bhi aapke pass variety of channels available Hoti Hai iske sath sath agar aap all over the world Kisi bhi country se related different news Hasil karna chahte hain to use platform ke liye bhi aapko television Ek perfect facility provided kar raha hota hai aur aapki multiple requirements ko same time per complete kar raha Hota Hai.


      Advantage:


      Television aik electronic cheez hai jis k bhot sary faidy hain jo yahan byan kiye jaye gy. Television puri duniya sy hamy bakhabar rakhta hai. Iss television k zariye hum duniya k halaat sy bakhabar rehty hain aur iss k saath saath television hamy tafreeh b mohiya krta hai. Hum television pr dramy news films aur deegar programs dekhty hain aur lutfandoz hoty hain. Jesa k hum janty hain k newspaper pr hum sirf news parh sakty hain aur usy prhny k liye urdu aur English language pr maharat chahiye jab k television ka ye b bhot bara faida hai k wahan hamy prhny ki zaroorat ni hoti balky sunanna hota hai aur saath saath hum wo manazar b dekh sakty hain jab k newspaper main hum video ni dekh sakty.

      Disadvantages:

      Jesa k hum janty hain hr cheez k faidon k saath saath kuch nuksaan b hoty hain. Television ka nuksaan ye hai k hamy issy dekhny k liye aik jagah behtna prta hai jab k newspaper ko hum sath ly kr ja sakty hain aur safar main hon to kisi b jagah usy prh sakty hain. Aur television ka aik aur nuksaan ye hai k ye bijli pr chalty hain aur kafi bijli istamal hoti hai. Agr ye achi quality k na hon to jald kharaab ho jaty hain aur achi quality waly television kafi expensive hoty hain jo hr koi ni ly sakta. Television ka sab sy bara nuksan ye hai k issy nazdeek sy dekha jaye to aankhy kharaab ho sakti hain.
      :1f33a:​KHAN70 TRADING JOURNAL:1f33a:

      CLICK HERE FOR MY VISITING JOURNAL

      اب آن لائن

      Working...
      X