Ye Review "Facial Steamer" par mabni h
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye Review "Facial Steamer" par mabni h
    Ye review "Facial Steamer" par mabni h


    Assalam o Alaikum ...!!!


    Introduction :



    Facial steamer ik bijli pe kaam krne waali machine h. Ye machine khoobsurti aur sehat ki field m bht kaam aane wali cheez h. Facial steamer gharelu istemaal se lekar profession level tk istemaal hoskti h. Yaani agr aap ghr m isse use krna chahte hain ya iska istemaal hospitals ya beauty salons(spas) m b kiya ja skta h. Facial steamer bijli ki madad se paani ko garam krta h aur steam yaani bhaap m bdl deta h. Jisko aap apne fayide k mutabiq kahin b use kr skte hain.

    Click image for larger version

Name:	images (25).jpeg
Views:	1
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12470658

    Advantages :


    Facial steamer humari skin ko fresh aur active bnaane m bht mufeed h. Agr koi b cold ya flu ka shikar h tou is se relief le skta h. Isko bht se tareeqoun keliye use kiya ja skta h. Ye beauty machine k sath sath health care machine b saabit hoti h. Jab hum daily ya weekly iska istemaal krne lgte hain tou humaari skin fresh aur active rehne lgti h jiski wjah se pimple aur wrinkle aur spots waghera ka bn'na bht hi kamm ho jaata h. Skin k cells active rehte hain aur in cheezoun se fight kr k innhe door rkhte hain. Ye humare waqt ki bachat keliye bnayi gyi h. Pehle dour m jis kisi ko bhaap lene ki hidayat di gyi ho usse apne liye paani garam krna prta tha jis par kaafi time lagg jaata h aur phir usse is bt ki b ehtiyaat krni prti thi k paani bht zyaada grm b na ho k munh pe jallan hone lagg jaaye aur issi darr se wo achey se bhaap b nhi lgwa skta. Aur ye machine wo kaam seconds m kr deti h. Iske ooper bna cover humein perfect faasley par b rkhta h jahan paaani ki bhaap zyaada nhi prti aur na hi kamm. Aur iska heat controller lga hota h jis se ba Assaani hum temprature adjust krskte hain aur ye seconds m kaam dikhata h. Aur isme extra water storing capacity hoti jiske zarriya hum jitna chahen steam le skte hain.


    Disadvantages :


    Jesa k ye machine bhtbht faayida mand h. Tou is bt ka tajasus tou hota hi h k aesa kese hoskta h iska koi nuqsaan na ho. Haan albatta iske itne nuqsaanat nhi magar ye h k ye bijli pe chlti h jiski wjah se iske kjh nuqsanat hain. Ye bijli zyaada sarf krti h. Is se current lgne ka khattra ho skta h. Kiun k bijli aur paani ik sath hamesha khattrey waali baat e hoti h. Ye bachoun k istemaal keliye nhi. Is keliye kjh ehtiyaaten zaroori hoti hain jese k temprature controlling ka pta ho k itna temprature sahi rhe ga iss se meri jild ko koi nuqsaan nhi chahe jitna b istemaal krun.


    Assalam O Alaikum...!!!

اب آن لائن

Working...
X