Umair Afzal 456 trading journal
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Umair Afzal 456 trading journal
    dear friends mera name muhammad umair ha aur mera trading ka experience 5 saal say ziada hai main daily analysis share karon ga jiss sy ap ko kafi help mil saky gi aur ap mere analysis ko dekh kar achi intri laga kar acha profit lay sakty hain mujhe yakin hai ky ap ko mere analysis kafi ziada helpfull hongy aur wo price action base hon gy. :1f60d:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Umair Afzal 456 trading journal

    good morning dear friends kesy hain aj sab log mujhe umid hai ap sab thik hon gay tu aj say ham apne analysis shuru karty hain aj monday hai tu monday ko market kafi slow movement karti hai islie ap ko monday ko tab tak market main enter nahi hona chahye jab tak ap ko koi acha signal na mil jaye is lie hamain achy level ka wait karna chahye jab bhi acha signal mily tu ham ko us main tab hi order palce krna chahey tu aj ky din ham sab sy pehle news par nazer dalty hain.

    aj ki news ki summary

    aj ki news main ap dekh sakty hain ky sab sy pehle gbpusd ki news hai jiss main ju data previous aya tha tu aj bhi utna hi news ny forecast kia hai islie aj hamen gbpusd main previos main ju impact aya tha wohi aj bhi aa sakta hai aur previos impact selling ka impact tha jis waja sy market main selling hoi hai uss ky bad aj cad ki ha ju aj pakistan time ky mutabik 7.30 pm par hai aur yeh cad ki news aik normal impact ki news hai jis main ziada movement nahi ho saky gi aur us ky bad aj 8 bjy news hai doller ki hai jiss ki wajah market main movement fast ho sakti hai kyon ky doller aik major currency hai jab bhi doller main movement fast hoti hai tab har pair main movement fast ho jati hai.
    eurusd analysis
    Click image for larger version

Name:	eurousd.png
Views:	1
Size:	35.5 کلوبائٹ
ID:	12339579
    eurusd main aik pechy aik buy ka trend hai aur ab eurusd main aik retracement daikhny ko mil sakti hai ap mere chart main dekh bhi rahy hain ky daily time frame main nay yeh analysis kiey hain aur daily time frame main eurusd sab sy pehle aik pin bar type candle bana raha hai aur apni aik resistance level sy reject hoa hai aur us ky bad aik big bearish candle bnai hai aur sath hi trend line bhi break hoi hai tu ap eurusd ko ab sell ki tarf dekh sakty hain aur iss main jesy hi ap ko yahn py koi sell ki intry milti hai tu ap selk kar skaty hain apne intrday ky chart ko dekhty hoay aur apna target 1.1959 tak rakh sakty hain jahn py eurusd ki aik support hai main nay horizental line bhi laga kaar wahn py sign dia hai.
    gbpusd analysis
    Click image for larger version

Name:	pound.png
Views:	1
Size:	36.2 کلوبائٹ
ID:	12339580
    gbpusd pair main ap dekh sakty hain ky is ny h4 time frame main breakout dainy ky bad 3 sy 4 candle bearish bnai hai aur ab yeh apni trend line ko retest kar sakta hai aur ny ager gbpusd main sell ki entry fine karni hai tu ap ko trend line ka retest hone ka waot karna ho ga aur uss ky bad ap ko is jagah py sell ki koi formation dekhni ho gi jesy hi sell ki formation banti hai tab ap yahn py sell kar skaty haain aur apna take profit nechy blue line ki kareeb rakh sakty hain ju main nay as a support level toar par lagai hai
     
    • #3 Collapse

      Re: Umair Afzal 456 trading journal

      good afternoon dear friends mujhe umid hai ap sab log thik hon gay aur mere kal waly analysis sy ap nay achi trades find ki hon gi toh aj ham apne analayiss start karty hain filhal tu mere pas real account nahi hai main demo account ko hi real samjh kar kam kar raha hai aur apni practice kar raha houn tu aj ham bar karty hain sab sy pehle news ki news ky hwaly sy aj koi khas news nahi dikh rahi hai aj totle 2 news thy aik audusd ki subha thi ju ky guzar gai hai aur us ny impact nahi kia hai or us ky bad pakistan time ky mutabik 6.30 news hai jiss cad achi move day sakta hai mager cad ki normal impact ki news hai ap mere chart main dekh sakty hain.

      Click image for larger version

Name:	news.jpg
Views:	1
Size:	123.3 کلوبائٹ
ID:	12339588

      aj ky euraud ky analysis
      euraud ko ager ham dkehain tu yeh aik side ways movement kar raha hai aur blue area main ap dekh sakty hain ky is main ny mention bhi kia hai yeh aik support area hai jahn py euraud up movement kar sakta hai aur ager ap is main buy ki entry laina chaty hain tu ap ko yahn sy ju red line main nay draw ki hai choti si horizental type ao ager up side break ho tab ap isko buy kar skaty hain aur ap kja target uper wala resistance level hona chahye ju ku main nay mention bhi kar dia hai euraud kafi ziada down trend ky bad ap iss ny up movement shuru ki hai aur ab possible hai ky yeh apni isi support sy buy ho jaye tu ap ko is par nazer rakhni chahye aur chart main bhi yeh sab ap dekh sakty hain.

      Click image for larger version

Name:	euraud.png
Views:	1
Size:	34.5 کلوبائٹ
ID:	12339589

      gbpusd
      gbpusd ko ap dekh sakty hain ky is nay apni support level ko aj hi break kar dia hai tu isko ap yahn sy sell kar ssakty hain aur aur is ki next resistance tak ap sell kar ky acha profit hasil kar skaty hain iski next resistance 30 pips tak aa rahi hai tu ap iss main 30 pips tak sell lay sakty hain aur is main acha profit earn kar skaty hain islie ap ko khud bhi apne analysis kar ky aur sath main amere bhi attach kar ap ko achi tarah sy soch samjh kar trade karni chahye phir hi ap ki accuracy ziada ho sakti hai ap chart par yeh analysis dekh kar samjh sakty hain main nay bohut hi asani ky sath analysis kia hai mujhe yakeen hai ky ap ko samjh aa gai ho gi.

      Click image for larger version

Name:	gbpusd.png
Views:	1
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12339590
         
      • #4 Collapse

        Re: Umair Afzal 456 trading journal

        hello dear friends good morning mujhe umid hai ap sab thik hon gay aur forex market main kafi achi earning ka rahy hon gay kal main nay ju bhi analysis kiey thy ap ko zarur uss sy fayda hoa ho ga iss lie aj ham start karty hain apne analysis sab sy pehle aj ham bat karen gay news aj bohut hi big news hai ju ky ADP Non farm Employment Changes hai jiss main market kafi achi movement kar sakti hai iss liey ap ko aj ehtiyat say kam karna ho ga aur apne stop loss ko lazmi lgana ho ga kyon ky ager ap nay ager stop loss na lagay hoay tu tu jab market main news ati hai tab ap itni fast hoti hai ky ap ko ager manual order close karna par jaye tab bohut mushkil ho jata hai is lie ap ko stop loss aur take profit laga kar rakhna chahye aur aj pound ki bhi tentive news hai ju ky kisi bhi time aa sakti hai uss ky bad aj oil ki bhi inventory hai ju ky aj pakistan time ky mutabik 8.30 pm par is lie ap ko soch samjh kar kam karna ho ga ap news summary main dekh sakty hain.

        Click image for larger version

Name:	news.png
Views:	1
Size:	23.5 کلوبائٹ
ID:	12339600

        aj ky gold ky analysis

        gold ky analysis ko ap dekh sakty hain ky main nay gold chart par aik trend chennel draw kia hai jiss ky ander ander hi market movement kar rahi hai aj ap ager gold ko buy karna chaty hain tu ap uper ju main ny aik horizenlt typye choti si line lgai hai us ko ager gold up break karta hai tab ap us ko buy kar sakty hain aur ap ka target next resistance honi chahie aur ager gold sell side apna chennel break karta hai tab ap ko sell ki tarf trade karni chahye aur ap ka target nechy wali support level hona chahye ju ky main nay blue line sy draw bhi kia hai tu ap asani ky say mere chart par samjh sakty hain.

        Click image for larger version

Name:	gold.png
Views:	1
Size:	48.4 کلوبائٹ
ID:	12339601

        USD/CAD

        usdcad ko ager ham dekhain tu main nay ju trend line lgai hai uss nay bhi kal breakout day dia hai aur uss ky bad apni aik support level ko bhi break kar dia hai aur ye retest bhi takriban ho chuka hai ager ap ko aj koi sell ki confirmation milti hai tab ap iss ko sell kar sakty hain is lie ap ko aik aj sell ki bohut high probeblity ki entry mil sakti hai jiss main ap ko kafi pips profit mil sakta hai kyon ky is ka low bohut hi nechy hain ju mainnay arrow ky sath mention bhi kia hai iss lie aj ham isko sell ki tarf hi dekhain gay ap mere chat main bhi dekh sakty hain bohut hi easy analysis kieay hain
        Click image for larger version

Name:	usdcad.png
Views:	1
Size:	62.9 کلوبائٹ
ID:	12339602

        eurusd

        eurusd ko main nay h4 time frame main analysis kia hai kyon ky is time frame main aik bohut hi acha setup ban raha hai jiss ko ap chart par dekh bhi skaty hain ky eurusd ny chennel break karny bad thora down aya hai aur uss ky bad chennel ko retest karny aya hai aur ap dekh sakty hain ky main nay 10 aur 20 ki moving average bhi lgai hai ju crossover kar gai hai aur wo bhi sell ki confirmation bata rahi hai iss lie aj ager koi bhi sell ki formation banti hai tab ham eurusd ko sell karen gay aur yeh hamain bohut achi pips day sakti hain.

        Click image for larger version

Name:	eurusd.png
Views:	1
Size:	63.9 کلوبائٹ
ID:	12339603
           
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: Umair Afzal 456 trading journal

          good morning dear friends kesy hain ap sab log mujhe umid hai ky ap sab thik hon gay aj monday hai aur market open ho gai hai weekend ky bad monday ka bohut besabri ky sath intzar rehta hai kyon ky trader tu yehi chaty hain ky hamain choti na ho aur ham daily profit hi earn karty rahin mager weekend hona bhi bohut zrori hai yeh hamry mind ko resy ky lie bohut zrori hota hai jiss sy ham fresh mind ky stah phir sy trading shuru kar skty hain iss lie aj sy ham phir apne analysis shuru karty hain sab sy pehle aj ham news ki bat karen gay tu aj koi bhi khas news nahi hai jiss ki waja sy aj ham market ko technically hi dekhain gay aur analysis karen gay.

          usdjpy analysis
          usdjpy ko ap dekh sakty hain ju main nay daily time frame main draw kia hai aur sath RSI bhi lgaya hai RSI 80 ky bilkul sath hai aur iss time usdjpy over bought ho chuka hai aur yeh aab kisi bhi time nechy gir sakta hai ab ap ko iss main koi bhi sell ki formation ki zrorat hai jis sy ap sell kar sakty hain kyon ky ab iska mazed uper jana bohut hi mushkil hai ager yeh uper jay ga bhi tu pehle is main retracement hony ky ziada chanses hain jiss sy ham ko aik achi trade bhi mil sakti hai is lie ham wait karen gay jesy hi hamin koi sell ki confirmation milti hai wesy hi ham is main sell main enter ho jayen gay tu ap mere chart main analysis dekh sakty hain,.

          Click image for larger version

Name:	usdjpy.png
Views:	1
Size:	43.8 کلوبائٹ
ID:	12339653

          gbpusd analysis

          gbpusd ka current trend selling ka hi hai aur ham isko selling main hi dekhain gay ap dekh sakty hain ky main nay trend line sy isko analyze kia hai aur uper aik red horizental line sy aik resistance level bhi draw kia hai aj ham iska wait karen gy jesy hi yeh apni uper wali trend line aur resistance lien ko touch karti hai aru wahn sy koi bhi sell ki confirmation daiti hai tu wahn sy ham isko sell karen gay aur last low tak iska target rakhain gy last low ju chart par nazer aa raha hai usi jagah par ham apna target rakh sakty hain aur is main hamen kafi acha profit mil sakta hai aur aik bat ju main ap ko kehna chata houn ky hamesha 100 percent hi kisi ky analysis py trade na karen balky ap ko khud ky bhi analysis karny chahie aur sath main jitni bhi ziada confirmation add ho jayen utni hi ap ka risk level kam hota jata hai islie ap ko ziada sy ziada confirmation ky sath kam karna chahye phir hi ap ki accuracy ziada hogi aur ap ko loss kam ho ga.

          Click image for larger version

Name:	gbpusd.png
Views:	1
Size:	47.9 کلوبائٹ
ID:	12339654
           

          اب آن لائن

          Working...
          X