Lubna1998 Trading Journal
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Lubna1998 Trading Journal
    Assalamu alaikum doston, new members aur Pak forum k officials! Me umeed karti hon k ap sab log khero afeyat se hongay.
    Pak forum me trading journal shoro karna mera bohut waqat se plan tha, lekin kuch masrofeyat ki waja ze me aisa karne me nakam rahi thi. Trading Journal k zarye se me koshash karongi, k apne forum k membaran ko ziada se ziada information de sakon.

    Jari trades ka ahwal


    Me ne pechlay hafte ko EUR/USD currency jora pa sell ki trade open ki thi, lekin American dollar ki musalsal kamzori ki waja se mera ye trade musalsal loss me ja raha hai. Me umeed kar rahi thi k chonkeh Euro American dollar k muqabele mein bohut zyada up ja chuka hai is k bad ab ye nechay ki janeb movement karega. Lekin juma k din American k Nonfarm Payroll Reports se dollar mazeed kamzor hua aur mara trade mazeed loss me chala gaya.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210510_155449.jpg
Views:	1
Size:	70.8 کلوبائٹ
ID:	12471240


    Ani wali financial news jo market ko mutasir karegi


    Forex trading market financial news ki waja se bohut ziada mutasir hoti hai, is waja se humen kabhi bhi financial news ko nazar andaz nahi karna chaheye. Financial market me aaj hafte ka pehla din hai aur wese bhi monday ko bohut kam hi financial news hoti hai is waja se market par ziada tar asar mangal aur us k baad wale deno ka hota hai. Tuesday ko financial market me jari hone wali aham news darjazel hen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210510_153722.jpg
Views:	1
Size:	219.5 کلوبائٹ
ID:	12471241


    Gold ki $1830 ki support level ko thorne ki nakam koshash


    Pechlay hafte American dollar ki kamzori aur khas kar Juma k din Nonfarm Payroll (April) data ki kharab karkardagi ki waja se Gold ko bohut mazbot sahara mela. Gold ki maojoda position 10 February k bad se sab se highest position hai. Aaj gold ne din ka ibtedaye session (Asian session) me $1830 ki position ko thorne ki koshash ki, lekin American dollar ki kamzori ki waja se aisa hone me nakami ka samna karna para.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210510_155702.jpg
Views:	1
Size:	162.9 کلوبائٹ
ID:	12471242

    Gold ki agli harkat bhi oper ki janeb ziada mazboot hai aur aaj koi Americi financial data na hone ki waja se gold ki qeematon me mazeed izafa mutawaqa hen. American Nonfarm Payroll ka data American maeeshat k leye bohut ziada aham hota hai aur is ka baraherast asar American dollar ki kamzori ya mazboti hota hai. Lekin is dafa American Nonfarm Payroll ka data pechli data aur tawaqa ki gaye data se bohut zyada kharab soretehal ka raha. Jis se gold ki qeematen yakdam uper chali gaye.
    American dollar ko ab bhi dosre fundamental masayel jese Corona waba, America-China trade war aur Afghanistan se sepahiyon ki wapasi k challenges ka samna hai, is waja se American dollar kafi arse se dabao ka shikar hai. Mojoda soratehal me gold ki qeematen mazeed uper ki janeb harkat karegi aur $1850 ki position is ka agla hadaf ho sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Lubna1998 Trading Journal

    Pak forum k naye, porane aur muazez Administration, Assalamu Alaikum!
    Me umeed karti hon k ap sab log khero-afeyat se hongay aur apna kaam bakhobi sar-anjam de rahe hongay.

    Jari trade par aik nazar


    Pechlay din me ne NZD/CAD, CAD/JPY aur EUR/GBP pe trade lagaye thi. Lekin sirf NZD/CAD ki trade mere take-profit take hi pohunch saki, jab k baqi do trades mere loss me ja rahi thi. Lekin aaj is me CAD/JPY ne kuch behtar karkardagi dekhaye hai lekin EUR/GBP abhi bhi khasare me hai. Is k elawa me ne Australian dollar ki kamzori ko observed karte howe AUD/JPY aur AUD/CAD ki trades aaj add ki hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210511_135227.jpg
Views:	1
Size:	200.6 کلوبائٹ
ID:	12340415

    Aaj market par asar-andaz hone wali khabren


    Aaj financial market me USD aur EUR k hawale se market me khabren ayegi, American dollar JOLTS Jobs Opening, Fed's William Speech aur Fed's Brainard k Speech se mutasir hoga. Jab k EUR par ZEW Survey Economic Sentiment (Germany), ZEW Survey Current Condition (Germany) aur ZEW Survey Economic Sentiment (Eurozone) ka data asar-andaz hoga. Is k elawa GBP BOE's Governor Bailey Speech se bohut ziada mutasir hone wala hai.
    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210511_135156.jpg
Views:	1
Size:	222.2 کلوبائٹ
ID:	12340416

    GBP/USD 2018 ki bullish hadaf 1.4377 ki taraf ja raha hai


    American dollar ki kamzori se British Pound ko bohut sahara mela hai. Albata currency jore ne pelhal aaj k din kuch kamzori dekhaye hai. Lekin ye nechay ki janeb harkat arzi hogi. Cable k bare me ziada tar analysts is bat par pake hen k ye bohut jald 2018 ki high position 1.4377 ki taraf jayega (commerzbank). Pelhal GBP/USD 1.41360 pe resistance ka samna lekin agar currency jora maojooda position ko break karega to is se jora bohut tezi k sath mazeed uper ki janeb peshqadmi jari rakhe ga.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210511_135133.jpg
Views:	1
Size:	231.9 کلوبائٹ
ID:	12340414

    American dollar ko aajkal bare masayel ka samna hai. Aik taraf US 10-years Bond Yields ki karkardagi musalsal kharab ja rahi hai, to dosri taraf America k financial related data (like Jobless claims aur Nonfarm Payroll data) ki karkardagi bhi naqis hoti hai. GBP k hawale se pechli dafa jari hone wala ziada tar data behtareen karkardagi ka hamil raha hai.
     
    • #3 Collapse

      Re: Lubna1998 Trading Journal

      Pak forum k tamam membaran aur muaziz Administratin shubey se taluq rakhne walon, Assalamu Alaikum aur Eid Mubarak!

      Trading k dowran mistakes


      Aaj forex trading me trading karte waqat mujjh se kuch ghaltian howi, jis ki waja se mujhe thora sa loss ka samna karna para. Forex trading me ghalti se mujh se ghalat currency pairs pe trades open howe, jis ka result ap k samne hai k mujhe 1.59 dollars ka loss howa. Is waja se humen baat zemhen-nasheen karni chaheye k trading karte waqat full focus k sath kaam karna chaheye.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210513_162137.jpg
Views:	1
Size:	192.2 کلوبائٹ
ID:	12340463

      Aaj market par asar-andaz hone wale awamel


      Forex trading market me kaam karte waqat upcoming events ka pata lazmi hona chaheye. Agar hum forex trading me ane wali khabron (news) se be khabar rahenge to ye hamare trading k leye nuqsan-deh sabit ho sakta hai. Forex trading me aaj ki top news me American Jobless Claims , BOE's Governor Mecklem Speech (Canada) aur BOE's Governor Bailey Speech (UK) ziada ahmeyat k hamel hen. Pechley do deno se American dollar ki karkardagi achi rahi hai, agar aaj ka data bhi dollar ka sath degi to is se dollar ki value me mazeed izafa mutawaqa hai. Canadian dollar ki karkardagi kuch behtar nahi ho rahi hai, q k crude oil ki qeematen wapis 64 dollars pe barrel k area me a chuki hai. Lekin agar BOE's Governor Mecklem Speech Canadian dollar k leye behtar sabit hota hai to is se Canadian dollar ki value dobara kuch behtar ho sakti hai. BOE's Governor Bailey Speech agar British Pound ko support karta hai to is se GBP ki value behtar ho sakti hai, q k pechley do deno se GBP ki karkardagi kuch ziada hi kharab ja rahi hai.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210513_162244.jpg
Views:	1
Size:	174.2 کلوبائٹ
ID:	12340464

      Crude Oil (WTI)


      Crude oil is hafte k agahaz me bohut behtar ja raha tha lekin pechley din EIA Crude Oil Stock Change ka data jari hone k bad se crude oil ki qeematen musalsal ger rahi hen. EIA Crude Oil Stock Change ka data jari hone se pehley crude oil ne $66.31 ki position tak pohunch gaya tha. Lekin jese hi EIA data jari howa us k baad crude oil musalsal bearish dabao me hai. Aaj Asian session k ihtetam tak crude oil $64.08 ki support level tak a gaya tha.
      Crude Oil to wese Corona waba k fundamental effect se kuch had tak azad howa hai, lekin ab bhi investors ki nazron me ye aik riski commodity hai. Q k Crude oil k sath ab bhi kuch na kuch hadsat pesh ate hen, jese kuch arsa pehley Suez canal me oil tanker ka hadesa, pechley deno Israel ki oil pipe line pe rocket attack ka hadesa, Saudi Arabia's k oil fields pe dron hadesat waghera.
      OPEC aur OPEC+ mumalik is baat pe razi ho chuke hen k June tak wo oil ki monthly pedawar me ahisa ahista izafa karengay, us k bad daily base pe oil ki pedawar me iazafa hoga. OPEC+ mumalik ki ye strategy bohut had tak oil ki qeematon par asar-andaz ho goye thi, aur un ko ab bhi umeed hai k is saal k ihtetam tak oil ki qeematen $80 barrel ko uboor (cross) karegi.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20210512_165045.jpg
Views:	2
Size:	222.4 کلوبائٹ
ID:	12340462
       
      • #4 Collapse

        Re: Lubna1998 Trading Journal

        Forex Mein nakam Nahin hota hai Jo log mehnat ke sath kam Karte Hain isliye Ghar per Rakhna kamyabi Hasil karna chahta hai To Hamen chahie Kya Hamesha mehnat Karen uske sath Dete Hain isliye garm Forex mein kamyabi ho sab karna chahte hain To Hamen chahie ki Ham mehnat Karen isiliye main chahie kya vishambhar accident Highway hard work Karen aur de do ekin vah apni Himmat Nahin Hata vah kam karta rahata hai aur Apna hardwork Kabhi Nahin chhodata vah hard-working hi rahata hai to dear members hard-working Insan kabhi bhi Har Nahin manta vah Kshetra Kaise kam karta hai hi mehnat ke sath kam karta hai aur hardwork Insan Ek na Ek Din Jarur Kamyab ho jata hai hard worker members Kamyab Ho Jaate Hain F
        • #5 Collapse

          Re: Lubna1998 Trading Journal

          Walaikum salam,,,, 🖐️🖐️🖐️

          Sabse pahle to main aapka shukraguzar hun kya aapane is trading general ko start Kiya aapke trading general se mujhe bahut acchi information mil gai hai aur mere knowledge mein bahut jyada izafa ho gaya hai main Chahta Hun ki aap next time bhi aise hi information share karte rahen taki ham yani mein aur Baki tumhen members junior hain ya senior aapke information aur aapke journal se jyada se jyada knowledge hasil Karke Forex mein kamyabi hasil kar sakte hain
          Ji han maine aapki post readout ki hai aur mujhe insan bahut achcha knowledge mila hai aur main aapke trading journal ki vajah se zyada se zyada kam kar sakta hun aur mujhe gold aur dusre ped ke metallic bhi acchi information mil chuki hai main Chahta Hun ke ab mujhe market ki movement ke bare mein kuchh information data ki main market ki movement coronavirus kar sakun aur acchi trading kar sakun
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Lubna1998 Trading Journal

            Shukriya dear ❤️❤️❤️❤️❤️

            اب آن لائن

            Working...
            X