what is difference between Forex trading and Stock Exchange
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is difference between Forex trading and Stock Exchange
    hello dear friends agar ham Stock market and Forex market k chart ko dekhen to hamen in main koi fark mehsoos nahin ho ga ku k ye dono market chart par dekhne par same lagti hai so aaj ham is bat par behas karen ge k Forex our Stock maket main kia difference hai jo in dono ko ek dosre se alg karta hai

    Stock Exchange :
    Stock exchange ya security exchange ek aisa platform hai jahan par Stock brokers our traders securities (jese k Stocks , bonds our dosre financial instruments ) ko buy ya sell kar sakte hai asan lafzon main ye wo jaga hai jahan par public listed companies trade karti hai our Stock exchange stock broker ko company stocks our dosri securities ki traidng main saholat faraham karta hai kisi b stock ko siraf usi wakt hi kharida ya becha ja sakta hai jab wo exchange main darj ho isi is liye ye stock buyers and sellers k liye meating ki jaga hai jis tarah bohat sare Forex brokers mojod hain isi tarah bohat sare Stock exchange b mojod hai jaha par sellers and buyers ko har tarha ki security di jati hai or billions dollars ki transactions propers security k sat ki ja sakti hai

    Forex Trading :
    dear friends Forex trading b takreban Stock exchange se milti julti hai lekin is main bunyadi fark yeh hai k Stock exchange main ham securities yani chizon ki kharid o farokhat karte hain jab k Forex trading main hai currency ko sell ya buy karte hain our price k utar charhao par pese kamate hai
    Forex trading ek dosri currency ko kharidte huye ek currency ki kharidari ka bayak wakt amal hai jis main in dono currencies ka combination in currency k pairs k nam se jana jata hai currency ka hamesha pairs main business hota hai basic currency pairs mandarja zail hain

    EUR/USD
    GBP/USD
    USD/JPY
    USD/CHF
    USD/CAD
    AUD/USD

اب آن لائن

Working...
X