Car Ko Pakistan Mai Import Karna
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Car Ko Pakistan Mai Import Karna
    Dear Friends

    Main nay daikha hai kay out of countries Car ki price kafi kam hai itni kam hai kay ap ko ager bataya jaye tu ap ko yakin na ho. example kay toor pay ap ager Nisan Sunny 2016 Car ki bat karain tu woh car used mai ap ko Saudi Arabia se 4 lac tak mil jaye gi lekin woh he car ager Pakistan se li jaye tu 20 Lac se above ki hai. tu kiya aisa koi hal nikala jaye hum es ko Pakistan mai import karain or custom kam se kam kis tarha aye ga kay hum es ko Pakistan mai la kar sale kar sakain ya apny personal car kay leye istamal kar sakain

    Ager ap nay aisa koi experience kiya hai tu kindly mujey yaha share karain. es tarha kafi logo ka faida ho sakta hai

    Shukriya.

اب آن لائن

Working...
X