USD/JPY
Niche ka rujhan, jisme Americi Dollar/Japani Yen ki jodi is hafte beshtar karobar kar rahi thi, kal ruk gai. Is jodi ne waqfa lene ka faisla kiya. Abhi tak, qimat taqriban 103.82 par ruk gai hai aur iske ooper jane ka imkan nahin hai. Ghantawar chart par indicators ke mutabiq, kuch bhi tabdil nahin hua hai. Unme se beshtar farokht karne walon ki taqat ki taraf ishara karte hain. Lehaza, bears abhi bhi faide me hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh dollar/yen ki jodi nidhe ki taraf badhegi. Shayad hi qimaton me izafa aur mazbut movement hongi, lekin mujhe ab bhi yaqin hai keh quotes ahisa ahista niche jayengi. Aaj, mujhe lagta hai keh bears qimat ko niche 103.50 ke ilaqe me ya is se bhi niche le jane me kamyab honge.
Aaj ka macroeconomic calendar kisi bhi aham release se taqriban khali hai. Iska matlab hai keh suratehal tabdil nahin hogi (jab tak kuch siyasi khabren samne nahin aayen). Mai tawaqqo karta hun keh dollar/yen ki jodi 103.50 ke nishan ki taraf niche jayegi.