GBP/USD, 2021
Bartanwi pound/Americi Dollar ka 1.3730 ke aas pass karobar karte hue zamin hasil karna jari hai. Qimat 4-hour chart par apne tamam moving average se ooper badh chuki hai, jo begair kisi simt ke bani hui hai. Takniki indicators musbat harkiyat ko barqarar rakhte hain, jazwi taur par apni tezi ki taqat ko kho raha hai. Agar kharidaron ki dilchaspi badhti hai aur qimat 1.3745, salana buland satah, se ooper consolidate karti hai to, pound/dollar ki jodi ke pas market ke jazbat ki parwah kiye behair zyada numaya ooper ki movement karne ka har ek mauqa hoga.
Himayat ki satah: 1.3695, 1.3650, 1.3605.
Muzahmat ki satah: 1.3745, 1.3790, 1.3840.
Attachment 27581
Aaj ka macroeconomic calender Bartaniya ke liye aham releases se khali hai. Tawaqqo ki ja rahi hai keh market ke participants America se durable goods orders aur Federal Reserve ki monetary policy ke ailan par tawajjoh markuz karenge, halankeh traders ko Fed se kisi bhi hairat ki tawaqqo nahin hai. Bartaniya me naye coronavirus cases ki taidad me kami aayi hai. Mangal ke roz, mulk me 20,089 maamlat report rue.
GBP/USD, 2020
Bartanwi pound/Americi Dollar ki jodi mamuli ooper ke rujhan me karobar kar rahi hai. Ab tak, kharidar qimat ko 1.3315 ki satah tak khinchne me kamyab rahe hain. Halankeh, mujhe lagta hai keh woh shayad hi qimat ko zyada khinch payenge. Tawaqqo hai keh pound/dollar ki jodi agle wave ki buland satah par pahunch jayegi aur fir niche ki taraf badhne lagegi. Ghantawar chart par indicators ke mutabiq, bears ko ab bhi faida hai. Sath hi, uptrend balkeh kamzor hai. Lehaza, qimat ki naqal o harkat wasie range me sideways trend ki tarah zyada hai. Is tarah, mujhe lagta hai keh ibtedai European session me, jodi 1.3280 ya thoda niche ki taraf badh jayegi, aur fir tawaqqo hai keh qimat fir se ooper jayegi.
Aaj ka macroeconomic calendar Bartaniya ki maishat par aham release se bhara hua hai. Halankeh, mujhe nahin lagta hai keh is khabar ka market par koi shadid asar padega. Is dauran, mai tawaqqo karta hun keh pound/dollar ki jodi mamuli niche ki naqal o harkat karegi aur fir kamzor ooper ke rujhan ke sath karobar shuru karegi.