GBP/USD, 2021
Bartanwi pound/Americi Dollar ka 1.3730 ke aas pass karobar karte hue zamin hasil karna jari hai. Qimat 4-hour chart par apne tamam moving average se ooper badh chuki hai, jo begair kisi simt ke bani hui hai. Takniki indicators musbat harkiyat ko barqarar rakhte hain, jazwi taur par apni tezi ki taqat ko kho raha hai. Agar kharidaron ki dilchaspi badhti hai aur qimat 1.3745, salana buland satah, se ooper consolidate karti hai to, pound/dollar ki jodi ke pas market ke jazbat ki parwah kiye behair zyada numaya ooper ki movement karne ka har ek mauqa hoga.
Himayat ki satah: 1.3695, 1.3650, 1.3605.
Muzahmat ki satah: 1.3745, 1.3790, 1.3840.
Attachment 27581
Aaj ka macroeconomic calender Bartaniya ke liye aham releases se khali hai. Tawaqqo ki ja rahi hai keh market ke participants America se durable goods orders aur Federal Reserve ki monetary policy ke ailan par tawajjoh markuz karenge, halankeh traders ko Fed se kisi bhi hairat ki tawaqqo nahin hai. Bartaniya me naye coronavirus cases ki taidad me kami aayi hai. Mangal ke roz, mulk me 20,089 maamlat report rue.
dear jis tera say aj kal usd nahain stability haisl ki hai wo kabal ay tareef hain jis ki waja say gbp aj kal kaafi down jaa raha ahai and is ka trend down ki teraf hai.