Fibonacci Fan
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fibonacci Fan
    Dosto aik aur acha tool hay jo shayed kuch logo nay dekha to ho lakin shayed un ko use karna na ata ho, aur wo tool hay Fibonacci fan, waisay to is may sirf teen lines hoti hain jaisa k fibonacci arc may hoti hain, lakin yeh straight lines hoti hain, jab k fibonacci retracement may kam say kam 5 lines hoti hain. Yeh tool ziada tar bull aur bear trend may kaam ata hay aur hamay achay ideas dayta hay k market konsi range par chal sakti hay agar continues bull chal rahi hay ya bear. is ko ap insert k option may ja kar Fibonacci k option say bhi nikal saktay hain. may neechay ki picture may ap ko dikha dayta ho k kaisay ap is ko use kar saktay hain. is may bhi ap swings ko use karain gay. Lakin agar ap trend line bhi draw kar lain gay to ziada asani ho jaye gi ap logo ko.

    Click image for larger version

Name:	Fibonacci fan.JPG
Views:	1
Size:	84.0 کلوبائٹ
ID:	12461286

    Yeh tool may nay daily chart may use kia hay, wo is waja say ta keh mujhay yeh idea ho sakay k is waqt price kitnay percent par retrace ya extend ho rahi hay.

    All related comments are welcomed.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Khansa
    dear aap theek hi keh rahe hein but aap kiya yeh bataenge ke konse time frame mein yeh indicator best hy.. jis mein ache results de.. or kitne % chances hein is mein profit ke.. pls koi bata de
    Pahli dafa aik acha question kia hay aur wo bhi related, bohat khushi hui, khair may yeh bata do keh ap is indicator ko agar lagana he hay to daily par ya weekly par lagain, aur yeh us waqt karamad sabit hoga jab market aik he trend par chal rahi ho, jaisa keh Usd/jpy par chal rahi the january tak, aur ab USD/CAD k pair par chal rahi hay market, pori bullish he chal rahi hay. Isi tarha say Aud/usd k pair par bhi acha result day ga yeh kyo keh wo fall he karta ja raha hay.
     
    • #3 Collapse

      Dear friends your are absolutely genious in your skill and you always post most informative thread and I learn much from your thread. please continue your work and I may foex forum member like you very much.
      • #4 Collapse

        i had no idea about Fibonacci fan and now i am doing demo trading i saw it but i was unaware of the use of it and we can use it in trading can get many benefits but i was unaware of and now i am very clear to use it and i will use it in trading business and i like your all threads and all are very informative and good and related to forex trading
        • #5 Collapse

          nice information shared about Fibonacci fan. lakin mujhe iss baat ki samajh nahi ayi ke hum iss ke through market main enter kaisay ho saktay hain. ye to humein bata dey ga ke market ki range kya hai lakin humein ye kaise pata chalay ga ke ye range kab tak continue karay gi aur hum iss main enter hona hamaray liye safe hai.
          • #6 Collapse

            Main nay ye tool use nahin kai lekin fibo to use karta hun or zyaada information nahin hai is kay bary main.abhi main ye tool use karoon ga.mery khyaal say issy bhi agar bary time frame pay he use kia jaye to achy results mil sakty hain.
            • #7 Collapse

              Jaisa keh may nay apni pahli post may bataya hay keh jab market continuous bull ya bear chal rahi ho to us time par retracement ya expension ka tool kar amad nahi hota, us time par fibonacci fan ki zaroorat hoti hay, aur is waqt gold market ki aisi condition hay keh ap wha par fibonacci fan he use kar saktay ho, retracement nahi.
                 
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: amughal پيغام ديکھيے
                nice information shared about Fibonacci fan. lakin mujhe iss baat ki samajh nahi ayi ke hum iss ke through market main enter kaisay ho saktay hain. ye to humein bata dey ga ke market ki range kya hai lakin humein ye kaise pata chalay ga ke ye range kab tak continue karay gi aur hum iss main enter hona hamaray liye safe hai.
                Is ko ap medium term k tor par bhe lay saktay ho, is may market ki retrace ka bhe pata chalta hay aur expension ka bhe, sirf teen lines say he market ki movement ka pata chal jata hay, yeh bull ya bear market may kar amad hay, jaisa keh picture may dikhaya gaya hay.
                 
                • #9 Collapse

                  Expensive good friends you're totally genious as part of your expertise therefore you always submit many beneficial carefully thread as well as My partner and i find out considerably from a carefully thread. please go on your work as well as I may foex community forum new member as if you very much.
                  • #10 Collapse

                    forex prectice boht ahmiat rakhti ha jes ke pas forex ka experince ha wo kabhe mar kha hi ni skata treding mein agr ap zida se zdia time dety ha or just earning ko chor kar learning par tawajo dety ha to ap jab earning kary gay to boht earning kary
                    • #11 Collapse

                      trading is an excellent opportunity and source of learning and understanding of Forex business. It gives a vast knowledge of Forex business, which could ultimately help in real Forex business successfully.
                      • #12 Collapse

                        ji haan forex mai ham kam se kam 2 lines ki posting kar sakte hain or agr us se zada ki posting bhi kar sakte hain lekin kam nahi kar sakte warna hosakta hai hamen bonus bhi kat kar hi milta hai .
                        • #13 Collapse

                          ds your are absolutely genious in your skill and you always post most informative thread and I learn much from your thread. please cully thread as well as My partner and i find out considerably from a carefully thread. please go on your work as well as I may foex
                           
                          • #14 Collapse

                            aap ka bataya hua indicator to picture mein bohat zabardast performance show karwa raha hay, agar aap is indicator ko share kar detay to bohat achha hota kai bhaion ka bhala ho jata, mein nay waisay to is indicator ko dekha hua hay AUTO-FIBO-TREND k saath, magar akela nahi dekha, please isay share karein.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Sir very nice info,ye Fiboo Fan Waqai hammain Market main Range Bata Saktaa hai k market kis Range main Chal sakti hai laikin ye tab kaam Ataa hai jab Market musalsal Bull ya bear ho jaisaaa k aap nay USD/JPY k daily Chart main Dikhayaa hai
                              Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X