meta trader use karna
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    meta trader use karna
    Dosto is thread may ap ko may meta traders k baray may kuch maloomat dayna chahta ho, ta keh jo newbies hain wo meta trader ko achi tarha say samajh jaye, aur ap meta trader ko broker ki website say bhi download kar saktay hain.

    Pahli baat yeh keh meta trader hota kia hay? Meta trader aik platform hota hay jis ki madad say ap trading kar saktay ho, yeh business jis ko buy /sell of currency pair kaha jata hay, is ka buy / sell ap meta trader say he kartay ho, meta trader ki picture may ap ko pata chalay ga k meta trader hota kia hay?

    Click image for larger version

Name:	meta trader.jpg
Views:	1
Size:	99.9 کلوبائٹ
ID:	12461321

    Is meta trader may bohat sari cheezain hain jo samajhnay wali hain, sab say oper hay menu bar, jo sab ko he pata hay, us say neechay tool bar, jo may nay oper wali picture may wazeh kar diya hay, us say neechay bhi tool bar he hay. Mazeed ko may cover karnay ki koshish karta ho, ta keh ap logo ki samajh may achay say ajaye.

    Market Watch: yeh side k column may mojud hay jaisa k oper ki picture may dikhaya gaya hay, yeh har meta trader may hota hay, aur is may he saray trading instruments hotay hain, ap online meta trader may prices ko change hotay huay bhi is may dekh saktay ho. Is may ap modification bhi kar saktay ho.

    Navigator: Yeh column market watch k neechy hota hay by default, ap is may kuch folders ko dekhain gay, jis may Accounts, Indicators, Expert Advisers, Custom Indicators aur Script k folders hongay.

    Accounts: sab say pahla folder account ka hota hay, jis may ap k banaye huay accounts ko jo ap nay login kiay hotay hain wo sab details say line wise nazar atay hain, jaisay keh ap nay aik account banaya USD ka aur dosra Euro ka, to ap ka wo account pahlay aye ga jis ko ap nay pahlay login kia hoga, dosra us k neechay.

    Indicators: us k baad ap ko accounts k neechay indicator ka folder nazar aye ga, is folder may ap ko wo indicators milay gay jo ap k meta trader may by default hotay hain. Ap yeh indicators apnay ksi bhi chart par laga saktay ho. aur un indicators ki settings bhi kar saktay ho.

    Expert Adviser: Is folder may ap ko by default expert advisers milay gay, jin ko hum robots bhi kehtay hain, kuch robots ko by default miltay hain aur kuch ko hum install bhi kar saktay hain, jis ki thread is forum may already open hay. Aur us may he ap ko expert adviser ko kis tarha say use kia jaye, yeh bhi likha hay.

    Custom Indicator: Dosto yeh bhi aik indicator ka folder hay, lakin is may jo indicators hain wo thoray alag hotay hain, jaisa keh ap ko zigzag ka indicator, oper walay folders may nahi milay ga, lakin is folder may mil jaye ga, aur dosray jo indicators ap install kartay hain wo bhi ziada tar isi folder may miltay hain.

    Script: Dosto is folder may ap ko scripts ki aik list milay gi, jis ki madad say ap apni trading ko chala saktay hain, kuch applications ko use kar saktay hain, even signals bhi send kar saktay hain. Waisay to bohat saray kaam hain, lakin newbies ulajh na jaye, is waja say sara kuch mukhtasar bataya hay.

    Terminal: Yeh sab say big section hota hay, charts k baad, meta trader may, yeh neechay hota hay, aur is may bhi kaafi sections hotay hain, wo may agli thread may discuss karo ga, lakin yeh bata do k isi terminal may ap k open / closed trades show hotay hain, history bhi show hoti hay, aur signals wagaira bhi show hotay hain, yeh thori bohat shru ki maloomat hay un logo k lye jin ko meta trader ka pata nahi hay.

    Koi bhi question is matter say related ho to karain, inshaallah answer milay ga.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Nice and awesome article. I am amazed to read your article. The points that you marked is so important to know for a forex trader. Regards.
    • #3 Collapse

      boohat he umda sharing hai bhai.ye newbies kay liye useful hai.is tarah ki sharing hum sabhi ko karni chahiey.mt4 ka use seekhna har ik trader kay liey zaroori hoota hai.
      • #4 Collapse

        Je haan insta trading nay apny traders ko ghr bethay aik achay platform sy worldwide connect kya hua hai, jissy ap apni screen per beth kr dekh sakty hain aur uss main ap trade kr k apni earning ko barha sakty hain lehaza apko chahye k ap iss platform ko achi samjh kr use krayn takay apko profit ho trading main.
        • #5 Collapse

          dear ham sab ko meta trader use karna chahiye or es ko hamay apne mobile main be download kar laina chahiye kue k sometime hum gar nai hi be hotay to ham mobile par be trade kar sakty hai .
          • #6 Collapse

            very informative post brother. these are the basic information which a new trader require. meta trader is a very big software and there are many other options which we use when we have atleast 1 month experience on trading which help us in making good profit.
            • #7 Collapse

              dear very good thread for newbies and i am fully thankful to you that you post this thread it is very informative thing for all trader who have no experience how to use meta trader4 software in forex market..
              • #8 Collapse

                dost acha knoweldge share kia ha sb k liy chahe woh new trader hon ya old sb k liy achi chezain ap ny share kr di hain. thanks for good sharing. is sy forum members achi trah sy mt4 ko smjh skain gy asani sy. aor apna kam soch smjh kr krain gy.
                • #9 Collapse

                  we use meta trader for the doing trade and i think this is the best one for make good and we will be make good by the forex trade and i think this is the best one for us to do trade and this is the best one for make good money and i will be do best
                  • #10 Collapse

                    Bht he ziada inoformation wali post krdi bhai ne well tnx, bro isko dekh kr bht ziada pta chala, plz ap mazeed bta de k robot ki tarha se auto per kam krta hai wo kaise trade krta hai, kya robot ko auto use krne se hum lose se bach sakty hain kya robot just positive role play krta hai ta negative b krta hai
                    • #11 Collapse

                      Vnice and informative, is say new members k bht say Doubts dur ho jaien gay, learning main bht helpful ha, thanks for nice articles...
                      • #12 Collapse

                        I have saved your program, and it's really exciting for me personally, but the couple's relationship and still do not know the specific efficiency and accuracy and reliability....
                         
                        • #13 Collapse

                          meray khayal k mutaabik tou forex trading mein ziyadater loss ka sabab indicator hibantey hain iss se hum acha khasa work for a greater working and well established work in the same and we have to the.
                           
                          • #14 Collapse

                            nice information my brother ap ki information na bohat zadha help ki ha mari is ko samajhna main main zaroor in ko follow karoon ga . ap na meta trader ko openly bata diya ha ka kis tarhan hamin is ko use karna ha kon kon si cheezka kya function ha
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              nice post brother mujhe is me bohat madad mili hai me iss forum se hi forex ko completely seekh sakta hun aap ne to meri problems bohat si solve kardi hai thank you very much brother keep it up and Allah bless you me zarur is per practice karun ga and aap ko bataoun ga ...

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X