Hedging ki strategy
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hedging ki strategy
    Mujhay umeed hay keh shayed is forum k kuch members ko is strategy ka pata ho, hedging ki strategy aik bohat tough strategy hay aur is ko karna aur is say nikalna bohat hi dushwar hay, lakin may ap ko simple aur easy urdu may batata ho keh hedging hay kia aur is ki madad say ap kis tarha say loss say bach saktay hain. waisay to bohat sari conditions hain hedging may, mai ap logo ko agah karta raho ga.

    Hedging may hota yeh hay keh ap nay trade kholi aur market ap k khilaf chalnay lagi, ap nay aik khas faslay tak wait kia, phir ap nay opposite trade laga li, yani agar buy ki trade lagai aur market neechay girnay lagi, to ap nay aik sell ki trade bhi laga li, ab agar market mazeed neechay bhi jaye gi to bhi ap ko mazeed loss nahi hoga, bal keh ap ki trades neutral ho jaye gi, ab is say hoga yeh keh ap ko mazeed loss nahi hoga, lakin jo spread hay dono trades ka, wo minus may hoga, aur jo beech may pips guzray hain unka loss hoga, yani buy aur sell k darmyan ki pips, is k elawa ap ka margin bhi use hoga, kuch broker aisay hain jo margin nahi laytay agar ap hedge karo gay to, lakin instaforex margin layta hay. Is tarha say ap hedging kar k apna capital bacha laytay ho, lakin museebat yeh hay keh ap apni position ko lock to kar laytay ho, lakin phir is ko unlock kis tarha say kia jaye? yeh aik problem hota hay. Is ko dosri thread may discuss karo ga ap logo say.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear double trade yani buy or sell aik sath iss ka liya aap ko market ko kam say kam 1000 point par janay day na chahiya qune kay wahan say market lazmi move hoti hay or jab market move ho to aap apni profit wali trad ko close kar kay us ki jagha us kay ulat trad laga do.
    • #3 Collapse

      Hedging is a good forex strategy. I am agree with your information. I think every strategy is so important for every trader in trading. Thanks for the nice information.
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: scapgray پيغام ديکھيے
        Dear double trade yani buy or sell aik sath iss ka liya aap ko market ko kam say kam 1000 point par janay day na chahiya qune kay wahan say market lazmi move hoti hay or jab market move ho to aap apni profit wali trad ko close kar kay us ki jagha us kay ulat trad laga do.
        Meray bhai, jis strategy ki ap baat kar rahay ho, wo may nay hedging ki strategy2 k name say dosri thread may discuss kia hay, yeh thread to fori tor par account ko bachanay k lye karnay wali hedging k baray may hay.
         
        • #5 Collapse

          App ko main tu yeh hi kaho ga ke is tarha se kam mat kare ke app ko kuch iska jab tak elam nahi ho ga aur app ko is min proper money management ke sath trading ko karna ho ga aur app ko open market ke sath hi forex trading ko karna ho ga .
          • #6 Collapse

            Matlab k hum keh Saktay hain k hedging Stretegy Account bachanay Wali stretegy hai,Sir thnx for sharing such a Easy stretegy for hedging
            Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
            • #7 Collapse

              Hedging ke ek dosre way es terha hy k jub tum ek point [par dono buy and sell use krty ho oor dono ko long term par le jaty ho so upto support ya resistance level tak jaty hoto ek profit waal close krdo and per again watch and news sub read kro aagr us direction me jati hy jis me loss ho to per usko open krhy rako and profit waal close hon taky usky hialf jaky wahe order profit me he lock hua hon..
               
              • #8 Collapse

                Ye strategy beginners kay liey theek hai because un kay pass zyaada knowledge nahin hoota.main to ab stop loss or tp ki help say kaam karta hun.waisy hedging profit to hoo jaata hai but mera ik hedge 3 month say chal raha or tootny ka naam he nahin lay rha.is liey main nay hedgin chhor di hai.agar aap apny thread main hedge toorny ka koi acha method share karo gay to shayad mujy kush faida ho jaey is say.
                • #9 Collapse

                  very nice trading strategy. lakin iss main profit se loss zayada hai aur aik new trader ke liye risky aur difficult bhi hai. mere khayal main aik new trader ko issay use nahi karna chaiye. jab takriban 1 month ka experience ho jaye tab hi iss main hath daal sakta hai aur isay positively use kar sakta hai.
                  • #10 Collapse

                    my spouse and i started exchanging to enhance economic standing involving his dad. since i possess personal loan and to pay off the item i want to rely on extra income. currently fx income will be encouraging a lot in numerous elements when i usually do not reluctant associated with financial background......
                    • #11 Collapse

                      forex ma jabb kisi b pair ki condition u fair ho ya fully clear na ho ,to hedging ki technique use ki jati hay tak ager hamain aik trade par loss ho raha hay to oposite trade uss loss ko cover kar lay.
                      • #12 Collapse

                        me ziada tar news k time hedging use krta hun q k us waqt mujy pure satisfaction nahi hoti k market mery favor me he ayga. so hedge krky kch tassali hoti hy oor aagy me hud esko handle kar skta hun k dono se exit kesy krna hoga.
                         
                        • #13 Collapse

                          friend hedgeng ki strategy mere khayal se aik fail strategy hai jis se ap ko loss k sewa aur kuch nahi ho skta kiun k ap aik he jagha buy aur sell dono open kerte hen market jis traf bhi jai ap ko koe faida nahi hota aur agar ap aisa ker k kam kerte hen tu ap jis bhi jaga kesi traf ki bhi lot close kerte hen aur market wapsa move hoe tu fir thek hai agar na hoe tu ap ko loss se srif market khud he bacha skti hai
                           
                          • #14 Collapse

                            hedging startegi mane ager trend ap k khilaf gaya to mana k kafi door chala gaya lakin kia ham dobara buy per hi trad nai laga sakaty hane kiyon k ho sakta ha next trad lagtay waqt hi market hamari faver mane aa jay or haman loss na ho
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              main hedging ke strategy use nahi kr rha hun ku k ye thk chez nahi hey is say aap ka sara banaya hwa profit ek he trade main loss hojta hey is k elawa aap ka broker b aap ko allow nahi krta to ap ko koi faida nahi hey is liay main to kahu ga k manual trading he krna cheahy...

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X