Peyaray dosto.
Ap ko motuwaja karwaya jata hai kay forum content July 2017 say tabdeel hojaye ga. Ab content (posts) ka tajzeya aik auto system (ISCA) say kea jaye ga. Jo kay hum nay forum sponsors key madad say banaya hai. ISCA kudh say user ka kam check kary ga jo sirf intresting or useful ho ga. Ya is bat ka zamin hoga ka users ko zeyda say zeyda bonus dea jaye jo kay forum main achi posts or contribution kartay hain. or isi kay sath sath ya un posts ko bhi rokay ga jo kay bar bar bonus hasil karnay ka lea ke jati hain or jo rules k khelaf hoti hain. ISCA kya karta hai ! Ya system posts key quality ko kaye zaveyon say daikhay ga.
Updated version Feb. 27, 2018:
1. Har Mt5.com forum ka member kudh ba kudh shareen ho jaye ga.
2. Forum main do kisam kay bonus hain : Bonus for posts. Wo har kisi kay lea dasteyab hain lakin sirf mutalka posts k lea. Aik user aik din main sirf 5 say 10 posts tak kar saktay hain. Bonus ka size 30 cents tak ho sakta hai. Likes ka bonus $50 say zeyda ho sakta hai.
3. Total bonus $2,000 tak ho sakta hai har month jo forum say kamaya ja sakta hai.
4. Kya main dosaray members ko bol sakta hon kay merey posts ko Thanks karain, private messages ya chat kay through ?
- Nahen ya allow nahen hai or is say ap ka account block ho sakta hai.
5. Ager koi user jan boj kar merey kisi post ko Thanks karta hai tu kya system isay hamari mili bhagat tu nahen samajhy ga ?
- Ager aisa ho ga tu is say bonus key value kam ho ge or jo aisa kary ga us ka account ban ho sakta hai.
6. Thanks denay ke daily limit kya hai ?
- Daily limit batanay k lea nahen hai lakin ya kafi hai ager isay darost tarekay say istemal kea jaye.
7. Thank button ghyab ho gea aisa kyon huwa or ab main kya karon ?
- Ager aisa hota hai tu is ka matlab ap nay aik din ke limit puri kar ley Thank button use karnay ke or ab ap ko aglay any walay din ka intezar karna ho ga.
8. Kya votes or polls bana saktay hain thanks hasil karnay k lea ?
- Nahen bilkul nahen or isay spam samjha jaye ga.
9. Profile main dikhnay wala bonus avatar main dikhnay wala bonus say alag kon hai ?
- Avatar kay necha dikhnay wala bonus bata raha hai jab say ap nay forum join kea or ap ko ab tak kitna bonus mil chuka hai.
FAQ (Frequently Asked Questions)
PS. Calculation auto system k tehat ho gey, is lea users k lea bahtar ya hai ka good or informative posts likhain takay zeyda say zeyda post ke rating high ho sakay.