Forex par trading account ke aqsam kya hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex par trading account ke aqsam kya hain?
    Forex par trading account ke aqsam kya hain?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Forex par trading account ke aqsam kya hain?

    Demo Account

    Account ka pahla qism demo account hai. Aam taur par har nausikhiye trader aise account se shuru karte hain. Yah trading platform se waqif hone aur mustaqbil me istemal hone wale tmam buttons ko seekhne me madad karta hai. Agar trader nausikhiya nahin raha aur real account par koi raqam nahin hone par bhi trade karna chahta hai tab bhi demo account ka istemal karta hai. Iske alawa demo account ka istemal nayi hikmat amli ki janch ke liye kiya ja sakta hai. Lekin kuch traders is trah ke trade ko waqt ki barbadi mante hain kyonkeh yah fauran aur bade paimane par amdani se rokta hai. Demo account par trading khususi demo servers ke connection ke sath kiya jata hai. Aap platform ke zariye se demo account khol sakte hain. Lekin kuch brokers ko personal account kholne ki zarurat se hoti hai aur thore der ke bad personal manager aapko call karenge aur btaynge keh yah real account me deposit karne ka waqt hai.

    Contest account ek tarah ka demo account hai aur regular accounts ke jaisi khususiyat hain. Fraq yah hai keh wo site ke safhe par khususi link par click karke khole jate hain jahan jahan contests munaqid hone haon. Yah muqabla baqaidgi se munaqid ki jati gai, misal ke taur par har hafte ya mahine, traders zati account maen ak khas contest account kholte hain aur iska tawazan agle contest ke aaghaz se asal size me deposit kiya jata hai. Yah account khususi contest server se munsalik hote hain.

    Real Account

    Real accounts aur demo account ke darmiyan farq yah hai keh aap platform ke khususiyat ko padne ke siwa real fund deposit kiye bina kuch bhi nahin kar sakte hain.


    Real account ki line me pahla cent account (micro account, nano account) hai. Har koi is qism ke account se trading shuru kar sakta hai. Kam se kam deposit size US$1-10 hai. Lekin platform maen wo 100-1,000 cents me badal jate hain aur haqiqi dollar ke taur par trade kiya ja sakta hai. Ek video hai jahan ek trader Monday ko RUB200 ke sath trade karna shuru kiya aur Friday ko RUB4,500 withdraw kiya. Iska matlab yah hai keh agar trader ko kafi tajurba ho to cent account behtar munafa laa sakta hai. Cent account ka istemal khudkar tariqe ya scalping ke liye bhi kiya ja sakta hai. Cent accounts ke liye, broker bhi khususi server allocates karta hai.

    Is tarah ke accounts ke liye minimum deal size 0.001-0.10 lots hai aur maximum deposit size se mahdood hota hai. Kabhi kabhar is account ko standard category me muntaqil karne ke bad cent accounts ka maximum size ki kimit hoti hai. Cent account ke izafi fawaid hain 1: 1,000 tak ka leverage aur lower margins.

    Real accont ki range me agla standard account hai jo ibtedai aur tajurbakar dono traders men sabse aam hai. Unhen classic accounts bhi kaha jata hai. Is tarah ke accounts ki khas khususiyat fixed aur floating donon spread ki dastyabi hai. Chote deposit (US$1,000-2,000) wale trading accounts ke liye, minimum deal size 0.01 lots hai. Standard size (US$5,000-10,000) ke accounts ke liye, minimum deal size 0.10 lots hain. Standard account par, aap tmam currency ke joron ke sath sath doosre maali wasael, metals, aur futures maen trade kar sakte hain. Kuch brokers stock me trade karne ki peshkash karte hain. Broker ki taraf se fraham kiye jane wale leverage ka range 1:1 se 1:100 tak hai. Standard accounts ke liye, four-digit ke quotes men 1-3 pips ka ek bahut kam spread hota hai.

    ECN accounts un tajiron ke liye munasib hai jo intraday trading ya high-frequency trading karte hain aur small take profit aur stop loss ke sath kayi short-term transactions open karte hain. Is tarah ki accounts ki khususiyat floating spread hai jo standard accounts ke muqable men kam hota hai. Is qism k account aur standard account ke darmiyan ka farq open positions se kharid farokht me tmam trader ke order ka zyada se zyada tez raftar se amal daramad hai. Iske ilawa standard account ke muqable men kam leverage hai. Yah account tajurba kar tajiron ke liye banaya gya hai jo mutalqa tejarati hikmat amli hai.

    Inferadi qism ke rael trading accounts

    Swap-free accounts me swap nahin hote hain aur agle din deals ko muntaqil karne ka commission ada nahin kiya jata hai. Zati account me, aap ek simple setup ke zariye tmam real accounts ko swap-free form me muntaqil kar sakte hain. Lekin is se pahle aap ko tmam open positions ko band karne ki zarurat hoti hai.

    PAMM-accounts unlogon ke liye relevant hain jo forex par trading se faida uthana chahte hain lekin wo khud karna nahin chahte ya nahin kar sakte hain. Lehaza sarmayakar is qism ke account ko deposit karte hain aur peshewar traders-managers baqi ka kaam karte hain. Natijatan, tajiron ko sarmayakar ke funds ke muassar intezam ke zariye se izafi amdani hasil hoti hai. Maghribi mumalik men, trader jo PAMM account par tejarat karte hain use imtehan pass karna aur license hasil karna zaruri hota hai. Russia men, kisi dastawezat ki zarurat nahin hai aur har koi manager ban sakta hai.

    Segregated account ek trading account hai jo brokerage company ke sath hone wale mukhtalif halaat se mutaliq khatrat se trader ke fund ki hifazat karta hai. Is surat me, tajir ki raqam unke bank account ya authorized representative ke account me hota hai. InstaForex me segregated account kholne ke liye, trader mutalqa dastawezat aur is raqam ka 30% deposit krta hai. Iske bad, trader trade kar sakta hai jaisa keh puri raqam broker ke account par hai. InstaForex customers ke liye account open karne ke liye minimum amount US$50 hai.

    Affiliate account ek trading account hai jo affiliate link ke zariye masnui taur par badhe hue spread ya commission fi transaction ke sath khola jata hai. Partner traders ko izafi khidmat bhi faraham karta hai. Bahue hue spread ya commission ke sath, unko partner reward milta hai. Affiliate account kholne ke do tariqe hain: referral link ya partner code. Affiliate account sirf MT4 platform par dastiyab hain.
    • #3 Collapse

      Trading accounts types:

      1: Insta standard accounts
      2: insta eurica accounts

      instaforex ki taraf se trading accounts types international forex exchange market ya financial market me har kisam key multi functional trading tools tak app ki ponch asan kar sakta hay,
      trading account open karty time hi account type ko select kia jata hay ye trading tools traders ko trading me different strategies banany me helpful ho sakty hey

      1: Insta standard accounts

      standard accounts type me traders ko standard conditions par fix spread dia jata hay es type me commission free hoti hay, standard account type me traders account open karny key bad hi trades me fix fees ya commotion pay karta hay, standard accounts types ki khas bat ye hay key leverage size kesi be moment par change ki ja sakti hay aur esi advantage ki waja se ye account type traders me popular hay.

      2: insta eurica accounts

      insta standard accounts ki khas bat spread ki ghir mujodgi hay, bid price aur ask price es me equals hi hoty hey aur zero spread es me available hota hay, eurica account type beginning traders key sath professional traders key ley suitable be hey aur targets ko pora karny key ley helpful be hay.
      Last edited by ; 02-08-2018, 03:45 PM. وجہ: speling mistake
      • #4 Collapse

        Salam Bhai AP ny bhot hi acha question poucha ha ky trading account ktni types ky hoty ha
        Mary khayal ma following types ha trading account ki
        1 demo account

        Is account ma him logo ko investor ki janb sy bonus frahm Kiya jata ha jis ko istmal krty ho him log trading ki practice kr skty ha is account sy him log sirf or sirf experience hi hasil kr skty ha apna profit withdraw nhi krwa skty kau ky yha per sirf practice kr skty ha

        2 bonus account

        Yaha per him logo ko Pakistan forex forum ki tarf sy bonus provide Kiya jata ha jis ko istmal kr ky him log acha khsa profit bna skty ha or AP is bonus ko withdraw bi krwa skty ha ya ek acha account ha
        3 real account


        ​Is account ma him logo NY apni pocket ma sy investment krna hoti ha ya bi ek bhot hi acha account ha is ma him logo ko trading krna hoti ha jis waqat him log trading krty ha or mhnat krty ha to him log acha khsa profit hasil kr skty ha
        Last edited by ; 02-08-2018, 04:25 PM. وجہ: Sepling mistake
        Removed by Moderator.
        • #5 Collapse

          Demo account
          yeh account bilkul free hota ha jo broker se practice karnay kay liey lia jata ha is kay liey koi ristriction nehi hoti ha
          Instaforex standerd account
          instaforex ka standerd aik fixed spread par mushtamil account ha is me har pair ka spread fixed hota ha
          Instaforex euric account
          instaforex kay is account ka spread zero hota ha or ap se har trade par commsion ki sorat me charge kia jata ha
          Ecn account
          ecn account ka spread variable hota ha jo market ki condition kay hisab se change hota rehta ha
          Ecn account me spread inter bank ki taraf se hota ha mostly forex broker me to broker har trades par 1 million usd volume kay hisab se comision wasool kartay hain

          Mini ya Micro account
          is account me normal spread hota ha jo har broker nay apnay comision wasool karnay kay hisab se rakha hota ha is ka spread b fixed nehi variaable hota ha jo market ki condition kay hisab se change hota rehta ha
          Zero spread account
          zero spread account me spread all pair me bilkul zero hota ha or broker is par fee 1 million usd volume open karnay kay hisab se charged karta ha kuch broker open trades or closed karnay par charged kartay hain kuch broker sirf trade open karnay par charged kartay hain
          • #6 Collapse

            Forex Trading Account Ke Types:

            Wesy to forex account ke types sub category main dekhi jaain to zayda ho jaati hain lekin main 4 types k account hoty hain.

            1. Demo Account
            2. Standard Account
            3. Mini Account
            4. Managed Account


            Ye 4 types ko ab ham dekhin gy k aik dosry say ye kis tarha mukhtalif hain.

            1. Demo Account: Demo Account ke sahoolat har broker aap ko muyasar karta hay aur ye account new aany walon kay ly practice jab kay purany traders kay ly apni strategy ko check karny main help karta hay. Ye account har koi bana sakta hay chahey wo real account bnaay ya na bnaay.
            2. Standard Account: Ye account wo account hay jis pe aap apni investment karty hain. Aur us kay baad kaam suru karty hain. Es account ke aik lot 100,000 kay brabar hoti hay. Es account main sarmaya zayda lagaya jaata hay. Kun kay es ke lot bari hoti hay.
            3. Mini Account: Mini account par bhe apni investment ke jaati hay aur ye bhe standard account ke tarha real account hay. Es main fark sirf ye hay k es ke lot 100,000 ke bjaay 10,000 ke hoti hay. Es main standard account ke nisbat kafi kam sarmaya lagaya jaata hay.
            4. Managed Account: Ye account real account hota hay ye mini ya standard ho sakta ha. Lekin es main fark ye hay k ye account investor nahi chalaata bal kay koi expert chalaata hay aur profit sarmaya laganay wala aur kam karny wala share karty hain.

            Zayda tar users mini aur standard pe kaam karty hain aur suru suru main demo ko bhe istemaal kiya jaata hay.
            • #7 Collapse

              Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

              Forex trading main account ki boht c aqsaam hain jesay kay live trading account, demo account. lakin ager live account main bat ki jaye to is main boht say account hain jeay kay bonus accout, pamm account, joint live account aur infiradi account waghaira. yeah saray account trader kay liye live investment kernay kay liye use hotay hain siwaye demo account kay. infiradi account kay ilawa baki tamam accounts main trader ko trading nahi kerna perti jab kay infiradi account main trader ko khud trading kerna perti hay. pamm account main trader ko invest kerna hota hay aur trading broker ka behtreen trader kerta hay.
              • #8 Collapse

                Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                Ap nay bohat hi achay topic pa bat ki hay k Forex par trading account ki aqsam kia han main aik new member hon mujhay Forex kay baray main ziada knowledge nahen hay mujhay poori taran trading account ki aqsam kay baray main bhi nahen pata mujh jaisay aor bhi kai new members hon gay jin ko abhi tak trading account ki aqsam ka na pata ho ga un sab kay liay aor meray liay ap ki ye post bari informative ho gi yahan tak mera knowledge hay is hisab say trading account ki 3 aqsam hain demo account, bonus account and real account demo account brokers apnay sarfeen kay liay trading learning kay liay banantay han jis main trader trading start karnay say pehlay trading ki practice kartay han. Bonus account Mukhtalif Forums aor brokers Forex par kam karnay walay trader ko bonus danay kay liay banatay han is main mukhtalif tareqon say kam karnay par bonus milta hay maslan Pak Forex Forum par Posts karnay ya Forex kay baray main guftgu karnay par bonus milta hay jis say mazeed trading kar kay profit bhi kamaia ja sakta hay aor isay withdraw bhi karwaia ja sakta hay. Real account main trader money invest kar kay trading karta hay aor us say profit hasil karta hay is account main profit kay sath sath loss kay badal bhi mandlatay rehtay han lekin agar sanbhal kar aor poori taran trading learn kar kay ki jay to profit kay chance ziada hotay han.
                • #9 Collapse

                  Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                  Buy demo account hota hai aur real account Hota Hai Hum Log demo account trading karte hain aur real account pet reading Karte Hain Agar Hum Log Real aur demo account trading karte hain tu usse Hum logo ko bahut fayda hota hai aur hum log is kaafi accha profit Hustle karte hain Jiska Hum logo ko bahut fayda hota hai isliye Hum logo ko demo or real account par training Karni chahiye
                  • #10 Collapse

                    Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                    instaforex ki taraf se buying and selling money owed kinds global foreign exchange exchange marketplace ya monetary marketplace me har kisam key multi function trading equipment tak app ki ponch asan kar sakta hay,
                    trading account open karty time hello account kind ko pick out kia jata hay ye trading tools investors ko trading me unique strategies banany me helpful ho sakty hi there
                    • #11 Collapse

                      Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                      forex trading main accounts ki 2 aqsam hain jis main
                      1: swapp account
                      2: swap free account
                      Swap account
                      forex trading main swap account ko soud account bhi kahty hain jis main hum aghr apni trading karengy tu hmarii trading swap par hoti hai jo k hmary mazhab main aik wrong way hai eraning ka or muslman yah eraning nahi hasil kar skty hain.
                      Swap free account
                      forex trading main swap free account option bhi hota hai jis main hum aghr trading karengy tu hmari trading main kisi bhi trha ka koi bhi sood concept nahi hota hai jis se ap apni trading main kisi bhi trha ka koi sood wasol yah hasil karty hain yah account option total islamic hota hai or hum muslman esi account main he apna ccount bnaty hain tab hmari trading sood se pak hoti hai............
                      • #12 Collapse

                        Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                        Ji haan bilkul aapne bilkul theek Kaha Forex mein bahut saare account ki categories Hai Jin mei demo account Asian account open live count aur bahut Sare Aise Kaun Hai Jeene Mein bonus ke sath aur bagair bonus KB account open hote hain isliye instaforex Asia ka sabse Behtar aur Bada broker Hai Jisme aap accha profit Hasil kar sakte hain aur yah Sabse Badi baat hai ki aap instaforex mein Main trust kar sakte hain isme aap ka Kiya Gaya deposit koi bhi nahi chala sakta aur naahi fake hai instaforex World ka sabse best broker hai aur isme koi bhi aapke sath Dhoka nahi ho sakta to aap befikr hokar ismein live account open karke learning start karen Shukriya
                        • #13 Collapse

                          Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                          Forex main humery pass account ki types kafi hoti hai her broker jo bhe humean account allow kerta hia hum wo open ker sagty hain us main micro mini standard cent zero spread our ECN account allow kerty hain hum ager commission pay kerna chahty hain to pher ECN open kar k mini spread k sath all pairs main trading ker sagty hain jahan hum insta forex ki baat karien to ye humean USD our Euro main standard our cent account allow kerta hia humery pas acha knowledge ho ga to pher he trade ker k hum us say acha profit bna sagty hain
                          • #14 Collapse

                            Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: Forex Adviser پيغام ديکھيے
                            Forex par trading account ke aqsam kya hain?
                            Asalam o alikum dear ap ny both acha question kea ha forex trading main different type k account hoty han or ye broker pe hota ha k wo ap ko kon kon sy account data ha means sab sy Chota account jis ko micro account kehty han ye cents main hota ha ye learning propose k ley behtar hota ha is k chota trading mini account hota ha jis mian ap log trading Kar sakty han small investment sy bi means 5 dollars sy up or is sy agy bara account aata ha standard account is main ap ki investment ziada hoti ha 1000 sy bi ziada hoti ha par hum logun k ley sab sy best mini account hota ha jis main small investment sy hum trading Kar k earning Kar sakty han
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Forex par trading account ke aqsam kya hain?

                              Dear aap ki baat bilkul theek hai Forex Mein ecn account Demat account or real life account hota hai aur basically Forex main account ki 2 Kishan Hai Jaise ke Ek Hi some demo kaun aur dusra Hai live batao demo account mein aap sirf aur sirf practice kar sakte hain Jab kay live account main aap real investment Karke work start kar sakte isliye Forex Mein Jitna Bhi accha balance Nako itni acchi Aata Nahin kar sakte hain so hard working aur achha experience Hasil kare then . Aura live account main Internet se pahle aap ko demo practice karna bahut jaruri hai isliye pahle demo practice Mein practice Karen aur FIR live account mein trading start

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X