trading ko kis tarhan accept kerna chahiye
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trading ko kis tarhan accept kerna chahiye
    Friends ager hum koi b regular job ker rhy han or trading b ager humain trading ma profit a rhi ha regular job sy zyada tu kya humain regular job leave ker k sirf trading kerni chahiye ya phir nahi???is bat ko soch ker answer dain k forex 1 risky business b ha???
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    G ha jnab hum aisa kar sakte hain hum apni job kay sath trading ko bi kar sakte hain hum apni job ko ignore nahi kar sakte forex aik part time job bi hy hum ise part time use kar sakte hain aj kay dore may aik job say kam nahi chalta.
    • #3 Collapse

      ye hum par depend karta han hum is busienss me part time bhi work kar sakty han aur full time bhi.ye aik acha business han jis ko hum jis trha marzi accept kar sakty han lekin is business me survive karny k liye humy investment ki need hoti han.
      • #4 Collapse

        agar humy forex mai zyada profit b aa rha ho tw humy apna profession ni chorna chahiya kisi cheez k lia b agr hum engineer hain tw engineer he rahain phir forex kw as a part time business kar skty hain
        • #5 Collapse

          ji bilkul bat bhai ye he jab ta humain insta trading se accha profit milna start hojae tab humain jakar regular job ko leave karna chahye.q ke forex aik risky business he.hume os per pora time spend kar ke hi ziada source of income get kar sakte he
          • #6 Collapse

            regular job ko leave mat karo app es forex trading ko kese bhe wak ker sakta hai jab app apne office job sy free ho jay tu app es forex trainding mai kuch wak time dy ker long peiod ke trade laga saktay hai aur es k saht take profit aur sotp loss bhe dy saktay hai.
            • #7 Collapse

              Brother hum apni job k sath trading bhe kr saktay han.magar chahay aap ko jitna zayada bhe profit araha ho aap ko job nhe chorni chahiyay kiun k yeh bht he riskey business ha humain es main loss k bhe chances hotay han trading ko humain as a part time job he krna chahiyay sirf
               
              • #8 Collapse

                pehli baat to yeh hai k agar aap kahin aur job kar rahy hain aur whan se apko ache tankhwa b mil rahe hai to aap us ko har giz na choro aur agar aapko forex k busniess ka acha kahsa experince hai to aap is ko part time job kar k kar lo to aap yahn se b profit hasil kar skao gay aur yeh risky buiness is tarh hain k yahan kabhi humian loss ko bardhst krna prta hai to kabhi profit hasil krna parta hai
                • #9 Collapse

                  janab aap ka sawal buhat acha hai main samjhta ho agar aap ko asa lagta hai k job chorna sa aap trading ko mazeed time da kar itna earn kar saktay ho k jon ki salary plus aap k trding ka profit ki brabar ya us sa ziada income ho jay gi tu phir aap job chor saktay ho agar aap ko lagta hai k income itni nahi hogi tu mera dostana mashwara hai k aap kartay raho
                  • #10 Collapse

                    Dear ager aap forex say pehly koi job kar rahy hain tu forex main success hasil karny k bawajood bhi aap us job ko continue rakhen q k wo bhi kisi had tak aap ko support karta hay.
                    • #11 Collapse

                      ji haan janab ye b toh ek job hain i mean business agar ap is main acha profit kar rahy toh ap easily apna regular job chord kar ye karey agar apko is main profit mil raha hain arur ap khush hain tab
                      • #12 Collapse

                        maray khayal main to trading ko to aik challenge kay tor par accept karna chaheya is ko koe asan kam nahe samjhna chaheya yea forex trading pay kafi mehnat karna parti hay yea itna bhi asan nahe hota par mehnat say to kuch bhi hasil ho sakta hay janab
                         
                        • #13 Collapse

                          Forex trading karny k leye job ko leave karna zarori nahi hai or na he mery kiyal se yeh behtar koi planing hai.Forex aisa business hai jis ko ap regular 2 hours b concentration k sath daity hain tu ap in 2 hours main kafi kuch learn kar sakty hain or acha experience hasil kar k achi trading kar sakty hain.Zarori nahi hai k full time trader he Forex mai kamyab hoty hain.Ap jab concentration k sath bhout kam time b daity hain tu wo time ap k leye important hota hai us time mai ap apni learning or apni strategy k mutabiq Forex ko jab learn karty hain practice karty hain tu ap acha experiene hasil kar lety hai jo ap ko Forex mai kamyabi hasil karnay main madad daita hai.
                          Humaray Behtareen Jawab Ky Mukablay Mai Hisa Lain
                          • #14 Collapse

                            yar mera khayal sa agar ap ko trading sahi ati hai aur ap ko is ka bara ma sab pata hai aur ap samjta hai ka ap aik acha trader hai to phir ap is ko kara aur mera khyal sa job ko chor kar kara kiyu ka is ma ap ko faida job ki nisbat zayda hu ga agar ap 8 gainta job krta hai to wohi is ma kara to ap ka faida bi zayda hu ga
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Nai ap ko apni job kabi bhi leave nai karni chahye, agar ap ki earning apni job se increase kar rahi he to ap dono ko countinue rakhein ap ki earning ziyada ho jay gi, agar ap job leave karty hein or profit nai hota to pher ap kia karin gay.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X