News k impact kis kisam k hotay hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    News k impact kis kisam k hotay hain?
    Dosto may ap logo ko yeh batana chahta ho keh jab koi news issue hoti hay to us k kitni kisam k impact ho saktay hain, jaisa k misal k tor par kal 07th February ko (Non Farm Payroll) NFP ki news issue hui thi, jo k high impact ki thi, yani us ka asar bohat ziada hota hay market par. Pahlay may ap ko thori details bata do keh impact kitni kisam k hotay hain, impact teen kisam k hotay hain, aik High, dosra medium aur teesra low. Yeh to impact ho gaye, ab market par asar kitni kisam k partay hain, yeh ap ko batana chahta ho.

    Jab news issue hoti hay to market par high impact ki news par hota kia hay? yeh depend karta hay news par, khas tor par NFP news ka, is may teen kisam k impact ho saktay hain,

    Sudden spike: Is may market apni mojuda position say aik second say bhe kam time may 50 say 100 pips ka fasla tay kar layti hay, aur agar darmyan may koi pending order ho to us ko bhe ghaseet kar agay lay jati hay, aur agar ap nay stop loss lagaya hua ho to bhi us ka koi khas faida nahi hota, kyo keh market end par jaha par aik lamhay k lye rukti hay whi par stop loss hit hota hay. Aur agar stop loss na ho to account blow up aur balance negative, jis ki waja say ap ki investment say ziada ka loss ho jata hay.

    Bubble Impact: Yeh impact aisa hota hay keh market aik big move layti hay aur thori dair ki movement, jo k 15 minutes say 20 minutes tak k ho sakta hay, us k baad market normal ho jati hay aur phir reverse honay lagti hay. Aur taqreeban aik say 2 ghantay k baad apni purani position par ajati hay aur apnay trend ko continue karti hay.

    Bounce back: Yeh impact aisa hota hay keh market pahlay fall karti hay ya phir rise karti hay, aur within five minutes market against chali jati hay, yeh jo bounce wala impact hay yeh sab say khatarnak hay, kyo keh is may aksar logo k stop loss hit hotay hain, aur us k baad market wapisi ki taraf chal parti hay.

    Yeh jo may nay impacts k name diyay hain, yeh koi official name nahi hain, yeh meray apnay banaye huay name hain, ta keh ap log samah jaye.

    Is k elawa medium impact may ziada tar bubble impact hota hay, aur low impact may market mushkil say 10 pips fluctuate karti hay, lakin yaad rahay, jo spike aur bounce back impact hota hay yeh baaz dafa trend change kar dayta hay.

    Dosto, yeh analysis Fundamental analysis may shumar hoti hay, to jo log fundamental anlaysis may interested hain un k bohat kaam aye gi.
    Last edited by ; 09-02-2014, 11:23 PM. وجہ: Last line added
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Yehi same mery sath bohat bar ho chuka hay . mery stop loss ko market touch kar kay profit wali side pay chali jati hay or mujhy loss ho jata hay. ap nay jo ab bat batai hay wo mery liye bohat importance rakhti hay isliye main ab stop loss or take profit zaror lagaon gi ta kay mujhy loss na ho.
    • #3 Collapse

      i am new here is lei forex news ko read he ni kerta hun qk mujhe iska purpose samaj he ni aata, ager aasan wording men ho to easily samaj ajaegi
      • #4 Collapse

        news ki help bhi leeni chahiey ik trader ko.jab bhi koi big news hooti hai to ye to confirm hoota hai kay big move hoony wali hai.is liey time main hum buy stop ya sell stop kay pending orders use kar sakty hain.is tarah tp hit hoony kay chances boohat hooty hain.
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: ishfaq786 پيغام ديکھيے
          i am new here is lei forex news ko read he ni kerta hun qk mujhe iska purpose samaj he ni aata, ager aasan wording men ho to easily samaj ajaegi
          Brother, aur kitna easy wording may ap ko batao? urdu may ap ko knowledge mil rahi hay aur konsi zaban may apko samjhao may?

          اصل پيغام ارسال کردہ از: N79 پيغام ديکھيے
          news ki help bhi leeni chahiey ik trader ko.jab bhi koi big news hooti hai to ye to confirm hoota hai kay big move hoony wali hai.is liey time main hum buy stop ya sell stop kay pending orders use kar sakty hain.is tarah tp hit hoony kay chances boohat hooty hain.
          Brother, ap agar news say pahlay buy stop ya sell stop lagao gay to bhe faida nahi hoga, kyo keh brokers un orders ko ahmiat nahi daytay jo news ki issuance say just thora pahlay lagaya gaya ho, wo pending orders aksar cancel ho jatay hain, chahay market spike karay ya phir bounce karay.
           
          • #6 Collapse

            brother forex sara khel hi news ka hai isliya bohut se traders news k time par trsding nahi karthey jaisay k tappering ka time hogaya yeh phir usa ka jobs k news ka time hogaya news ki wajah se trends up down hotey hain agar news weak aye toh trend sell mein chala jata hai aur agar news positive aur strong ayii toh trnd buy mein chala jat hai.
            • #7 Collapse

              abdullah bhae ma kafi time sa forex trading kar raha huin lakin ma news sa boht kam hi istafada karta huin ,please agar ap best news provider jo k ap b use karta hoon discuss kar dain.
              • #8 Collapse

                lush lala good and perfect knowledge why the market get sudden change his trend...
                • #9 Collapse

                  aik trader ko trading krtay time news ka bohat khyal rakhna parta hai because news ko fallow karty howay humain market ka trend kia ho ga ka pata chalta hai aur us k sath humain apnay trading skills ko b use krna cahehay hai mukaml depend news pe nahe krna chaheay
                  • #10 Collapse

                    ap ki sharing bht faida mnd sabit ho gi traders k liy koi new trader ho ya old. ap ny bht tafseel sy likha ha is bat ko hr bnda asani sy seekh skta ha agr us main kuch ha to.
                    • #11 Collapse

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: hbk khan پيغام ديکھيے
                      abdullah bhae ma kafi time sa forex trading kar raha huin lakin ma news sa boht kam hi istafada karta huin ,please agar ap best news provider jo k ap b use karta hoon discuss kar dain.
                      News time may agar faida uthana hay to jab news issue ho jaye to us k five minutes k baad trade karo, shru k 5 minutes important hotay hain jin may market apna spike end karti hay, aur us k baad ya to trend continue karti hay ya phir reverse hoti hay.
                         
                      • #12 Collapse

                        mujhy abhi etna konleg nahi hy or me abhi work kerna sikh reha ho or apna konleg bhi acha kerny ki koshiesh ker reha ho or newz wo hy jis sy ap ko peta celta hy ky marikt up hy ye down
                        • #13 Collapse

                          jee ha me agree karta ho ap sab se a hum news ko dhak kar order ko place karty ha our tp hit hony ka bad pher loss me chaly jaty ha ap forex factor se news la best ha wo
                          • #14 Collapse

                            JE haan news k wakai asar hota hai trading per aur internationally news ka tu fori asar hota hay trading market per kyonk issay worldwide changes anay ka imkan hota hai aur trading market ko usk mutabik chalna hota hai iss lye traders ko chahe k online news ka baray main janty rhayn takay apni trade ko usk mutabik chalayn.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              forex tarding main news ka tu bohat important role hai ap is sy tu bohat zayda learning ker skate hai khoe ky is bsuiness main ham sab news ky impact sy earning bohat zayda ker skate hai

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X