Forex Trading main "Bullish Harami Cross Candlestick Pattern" par Trading.....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading main "Bullish Harami Cross Candlestick Pattern" par Trading.....
    Bearish Harami Pattern:-

    Aslam u alaikum,

    Dear Forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Bearish Harami cross candlestick pattern "Harami pattern" ki aik qisam hai, jiss main pehli candle aik bullish hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai. Bearish harami cross pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa hi hai, lekin bearish harami pattern bullish white aur black candles par mushtamil hota hai, jab k bearish harami cross pattern bullish aur doji candle par muheet hota hai. Ye pattern bullish trend k baad ya high prices main banta hai, jahan se qeematen reversal hone k ziada chances hote hen.





    Candles Formation


    Bearish harami cross pattern ki main shamil pehli candle aik strong aur real body wali white ya green yanni bullish candle hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai, kiss ka open aur close ya to same hota hai aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Bearish harami cross pattern main shamil candles ki tafseel darjazzel hoti hai;



    1. First Candle: Bearish harami cross candlestick pattern main pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka color green ya white hota hai. Ye candle prices k maojooda trend ya bullish trend ko zahir karta hai, jo k market main iss candle se mazzeed strong hota hai.

    2. Second Candle: Bearish harami cross candlestick pattern ki dosri candle doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai, aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Doji candle ki real body na hone ki waja se ye aik cross ki tarah dekhaye deta hai. Doji candle prices main bullish trend k khatme aur prices k trend k change hone ka ishara hota hai. Doji candle chonkeh bagher real body k hoti hai, iss waja se ye colorless candle hoti hai.

    Explaination

    Bearish Harami cross candlestick pattern do candles par mushtamil aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top par ya bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri candle k doji hone ki waja se ye uss se mukhtalif hota hai. Pattern ki pehli candle aik strong real body main bullish candle hoti hai, jo k prices ka bullish trend ki alamat hoti hai. Dosri doji candle jiss ka open aur close same point par hota hai, se bullish trend ka khatma ho jata hai aur prices bearish trend main badalne ka ishara deta hai.



    Trading

    Bearish harami cross pattern bhi bearish harami pattern ki tarah trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles ka hota hai, jiss main dosri candle k doji hone ki waja se prices mazzeeed bullish trend main jane se ruk jati hai. Doji candle ki aik khas baat ye hoti hai k ye candle pehli candle k real body k darmeyan main banti hai.
    Pattern par trading karne se pehle trend confirmation ka honna zarori hai, q k reversal pattern trend confirmation k bagher riski hota hai. Pattern k baad agli candle ka bearish honna zarori hai, jo k market main entry ki position bhi hoti hai. Teesri candle k close price k baad sell k trade entre karen, aur Stop Loss ko pattern k sab se top position jo umoman pattern ki pehli candle ka close price ya high price banta hai par lagayen.

    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X