Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?
    Buhat sari news kay sath ek mulk News trading kay liya bhareen hota hai, per is kay liye pair konsa acha hota hai?

    Kia EURUSD ya GBPUSD ya USDJPY ya AUDUSD, konsa pair! Kindly apna opinion pesh kare.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

    I think News trading buhat profitable bhi hoti hai to had se ziyada risky bhi hota hai, tabhi News kay time trading karne liye ap wahi pair select karo jis ki News kay time ap trade karo ge, misal agar ap US ki News pe trade karne ka soch rahe ho to USD/JPY pair buhat suitable rahe ga.
     
    • #3 Collapse

      Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

      I think ye inhisaar karta hai ke aap kis qisam ki tijarat karte hain. Agar aap barray pemanay par risk lena chahtay hain to, phir un dinon, tamam pound wale pairs trading ke liye behtareen hain. Yeh Brexit ke masail aur European Union aur UK ke darmain mazakraat ki wajah se hai. bad qismati se, is ki passion goi karna mushkil hai per agar aap sahih simt mein hain, to is main UK ya European Union koe mamooli comment per bhi 100 se 200 pips ki movement hoti hai.
       
      • #4 Collapse

        Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

        اصل پيغام ارسال کردہ از: Caprice پيغام ديکھيے
        Buhat sari news kay sath ek mulk News trading kay liya bhareen hota hai, per is kay liye pair konsa acha hota hai?

        Kia EURUSD ya GBPUSD ya USDJPY ya AUDUSD, konsa pair! Kindly apna opinion pesh kare.
        Ager ap sirf USD key news ko follow karain tu ap asani say

        EURUSD
        GBPUSD
        USDJPY
        AUDUSD
        USDCAD

        jin jin main USD kay against trade kea jata hai ap asani say trade karsaktay hain Lakin main ya kahna chahon ga kay ap sirf EURUSD main trade karain is main koi commission bhi nahen hai or spread bhi kam hoti hai.
        • #5 Collapse

          Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

          Mere khayal se to news ke time trade karne ke liye esa pair select karna chahiye jis ki spread bilkul kam ho aur us ki movement ziyada ho, aur jis news pe ap trade karna chahte ho us se direct linked ho. Agar ap USD ki news pe trade karo ge to ap EUR/USD select kare ya agar ap GBP ki news pe karte hai to ap GBP/USD select kare.
          • #6 Collapse

            Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

            dear member's yeh zaroori nahin kaun si currency newspaper trade karne ke liye best Hai news ka effect on news kis country ki breakout hui hai usse maloom hoga ke kis trade aur kis newspaper trade karni hai aur kis pare mein trade ho sakti hai prayer all par bahut jyada news ka impact hota Hai jis country ki news Ho uska jyada effect hota Hai
            • #7 Collapse

              Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

              News main jaisa kay scalping hoti hai tu sub se zaida movement wala pair jo mery experience kay mutabiq hai woh EUR/NZD hai yeh apny news kay time kafi high performance dikhata hai jab market kafi zaida bhout short time mai pips ko up down karti hai tu us time ager ap es pair pay trade karian gy tu ap ko diakhny ko mily ga kay bhout he kam time mai ap ko chart pay es ki movement kafi fast mily gi or ap es mai achi tarha se scalping kar sakty hain ager ap kay fundamental analysis achy hai tu.
              • #8 Collapse

                Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

                اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion12 پيغام ديکھيے
                News main jaisa kay scalping hoti hai tu sub se zaida movement wala pair jo mery experience kay mutabiq hai woh EUR/NZD hai yeh apny news kay time kafi high performance dikhata hai jab market kafi zaida bhout short time mai pips ko up down karti hai tu us time ager ap es pair pay trade karian gy tu ap ko diakhny ko mily ga kay bhout he kam time mai ap ko chart pay es ki movement kafi fast mily gi or ap es mai achi tarha se scalping kar sakty hain ager ap kay fundamental analysis achy hai tu.
                Mene EUR/NZD pair kabhi try nhi kia, news ke time mein hamesha USD/CAD ya phr EUR/JPY pe trade karta ho ya phr GBP/USD.
                 
                • #9 Collapse

                  Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

                  Her trader news pe trade karna chahta hai, phr wo new trader ho ya purana, almost sab ko news trading pasand hoti hai, per news ke time pe trade karne ke liye ek ache pair ka intikhab karna bhi buhat ahiyat rakhta hai. Meri nazar mein news ke waqt trading ke liye hume wahi pair select karna chahiye jis pe news ka direct asar pare, to mere khayal se major currency pairs hi behtr rahte hai news trading ke liye.
                   
                  • #10 Collapse

                    Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: Caprice پيغام ديکھيے
                    Buhat sari news kay sath ek mulk News trading kay liya bhareen hota hai, per is kay liye pair konsa acha hota hai?

                    Kia EURUSD ya GBPUSD ya USDJPY ya AUDUSD, konsa pair! Kindly apna opinion pesh kare.
                    forex trading ke karobar mein har kisi per Ham jis per bhi trade kar len sab ke liye news bahut jyada jaruri hoti hain news fundamental analysis mein aati Hain aur har EK successful trader sabse pahle fundamental analysis ko sakta hai kyunki jyadatar market mein yahi hamare kam aati Hain technical analysis to bahut aasan hai lekin hamare liye market ke achhe result nahin de sakte
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Konsa currency pair News trading kay liye acha hai?

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: Caprice پيغام ديکھيے
                      Mene EUR/NZD pair kabhi try nhi kia, news ke time mein hamesha USD/CAD ya phr EUR/JPY pe trade karta ho ya phr GBP/USD.
                      Dear just yeh nahi daikhna hai kay pair kon sa zaida move karta hai. pehlay ap nay daikhna hai kay woh pair major hai ya nahi. ager major nahi hai tu phir us pay focus karain lekin zaida nahi khas kar scalping kay leye focus na karian q kay us mai spread ap ko zaida mily ga or stable spread nahi hota hai jab ap trade karty ho. yeh sub batain note kar kay phir ap ko zaida movement wala pair chose karn hai jis ki ap ko knowledge ho ap ka interest ho;.

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X