ADX and MACD
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ADX and MACD
    Dosto strategies to bohat mil jati hain, lakin may ap ko asaan lafzo may indicators k zariyay strategies banana sikha raha ho, umeed hay k bohat saray meray traders bhai is say faida uthaye gay, is strategy may ADX ka bohat aham role hay, lakin hum MACD ko bhi under consideration laye gay.

    Click image for larger version

Name:	strategy MACDADX.jpg
Views:	1
Size:	88.2 کلوبائٹ
ID:	12461305

    Is picture ko ghor say dekhain, is may jo ap ko ADX nazar a raha hay us may teen lines hain, do dash wali aur aik single line. May nay apni sahulat k lye lines k colors change kiay hain, ap chaho to ap bhi kar saktay ho. is picture may jo red color ki dash line hay wo -DI ki hay aur jo lime (green) color ki hay wo +DI ki hay, Aur jo blue color ki hay wo Average direction k lye hay, ab hum in teeno ki madad say koshish karain gay keh kis tarha say entry point talash kia jaye, agar hum chotay time frame may karain gay to short term hogi aur agar big time frame may karain gay to long term trade hogi, is picture may M15 use kia hay to short term trade banay gi.

    Click image for larger version

Name:	ADX sell.JPG
Views:	1
Size:	85.9 کلوبائٹ
ID:	12461306

    Is may jo average wali line hay wo stochastic ka kaam bhi karti hay, aur is may sell k signals ap dekh saktay ho, k kis tarha say Average ki blue aur +DI ki green neechay ja rahi thi aur -DI ki red oper a rahi thi, ab isi tarha say isi may ap ko buy ki bhi opportunity dikhata ho.

    Click image for larger version

Name:	ADX buy.jpg
Views:	1
Size:	91.4 کلوبائٹ
ID:	12461307

    is picture may bhi wazeh kar diya hay may nay aur yaha par bhi wazeh kar do keh yeh dosri picture may nay M30 ki li hay, kyo keh live chart say pic banai hay, aur us may ap ko buy ki opportunity bhi wazeh karna thi. Agar mazeed koi sawal ho to zaroor pochain, inshaallah jawab daynay ki koshish karo ga apnay experience k hisab say.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear ya aik best strategy hay lakin us sorat may jab market may bhochal na ho or market ahista ahista moving ho rahi ho may iss ko aik khas wakat may use kar chuka hone lakin iss wakat may sirf bb or r.s.i use kar raha hone.
    • #3 Collapse

      ap ne jo trading strategy btayi ha us ma or bhi indicators hain and yeh aik poora system ha, kiya ap yeh poora system hamain smjha sktay hain because mjhay or bhi indicators nazar a rahay hain jin main moving averages and parabollic bhi use ho rha ha so plzzzz explain in detail.
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: rose پيغام ديکھيے
        ap ne jo trading strategy btayi ha us ma or bhi indicators hain and yeh aik poora system ha, kiya ap yeh poora system hamain smjha sktay hain because mjhay or bhi indicators nazar a rahay hain jin main moving averages and parabollic bhi use ho rha ha so plzzzz explain in detail.
        May nay dosray indicators use zaroori kiay hain, aur wo may batao ga bhi, lakin is thread may sirf 2 indicators ko discuss kia hay, ap pahlay us per try karo, ziada indicators ap ko confusion may dal saktay hain, aur yeh strategy hay, may nay live account say picture lay li thi to us may yeh indicators bhi agaye.
         
        • #5 Collapse

          Macd ek buhat he acha indicator smja jata hy q k meny khud esy kafi times use kea hy. tora tough zarur hy use and smjny me lakin result k lehaz se buhat acha hy. baqe ADX meny khbe use nahi ke hy..
          Last edited by ; 06-02-2014, 10:27 AM.
          • #6 Collapse

            Is ko app kafi practice ke bad hi use karna sikh sakte hay per app new logo ko kuch easy bata do jis ko wo apni demo accout per practice ke liye use kar ke is se fada hasil kar ke apni trae ko prfit main aur s se earning wali strategy ko use kare aur kuch elam hune ke bad wo is ko use kar sakte hay warna nahi .
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: okaradosti پيغام ديکھيے
              Is ko app kafi practice ke bad hi use karna sikh sakte hay per app new logo ko kuch easy bata do jis ko wo apni demo accout per practice ke liye use kar ke is se fada hasil kar ke apni trae ko prfit main aur s se earning wali strategy ko use kare aur kuch elam hune ke bad wo is ko use kar sakte hay warna nahi .
              Brother, is forum may har kisam k log mojud hain, kuch elementary level par hain, kuch advance aur kuch new traders hain, meri koshish hay keh har ksi k lye threads open karo, aur apna experience share karo, ap meri dosri threads mulahiza karain, aur new traders ko early earning ka sochna bhe nahi chahiyay, meri jitni bhi strategies hain, sab ko pahlay demo par try karain phir real par use karain.
                 
              • #8 Collapse

                ye strategy achi hai lekin abhi tak aap nay poori strategy share nahin ki hai.is liey thora confusion hai.ye jo indicators aap nay share kiey hain.hum in to use krty hain or phir umeed hai aap jald he mazeed information share karain gay.
                • #9 Collapse

                  Nice and awesome post brother. I think you are come to this forum for the new traders. I read your all post and every time it increase mt knowledge. Thanks a lot for the post. Take my regard.
                  • #10 Collapse

                    Strategy to bohat achi hai lakin iss ko apply karna thora mushkil hai. aik cheez meri samajh main nahi aai ke jab lines average line uper jaye gi uss waqt buy karna hai ya sell lagana hai. aur jab bhi line uper jaye gi usi waqt entry karni hai.
                    • #11 Collapse

                      ADX or MACD ek acha combination sabit hosakta hai bashart isse sahi tarike se oor kisi or strategy k sath use kia jae jo ap basic signal de or ap in indicators se confirm kren ki wohi signal hai ya nahi then order place kren.
                      • #12 Collapse

                        dear aap ne indicator ki move ment ko boht achhi tra define kia ha me bi trading me stretegy use kerta hun lakin me stoshistic ore allegator indicator use kerta hun
                        • #13 Collapse

                          bhai aap ki strategy achi hai lekin me just bollinger bands indicators use karta hun and signals ko follow karta hun then us ke baad me koi aik decision le kar trading karta hun or chota take profit rakh kar trade close kar deta hun .
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: mohammad bilal پيغام ديکھيے
                            bhai aap ki strategy achi hai lekin me just bollinger bands indicators use karta hun and signals ko follow karta hun then us ke baad me koi aik decision le kar trading karta hun or chota take profit rakh kar trade close kar deta hun .
                            Bhai yeh bhe aik strategy ban sakti hay, infact saray indicators he market ko analysis karnay k kaam atay hain, ap agar bollinger band ki madad say trade kartay ho to apna experience share karo, thora details k sath.
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              yes ap ney jo strategy batayi hain kafi had tak teek hain aur isko samajna b asaan hain lekin ..har ej cheex k liye experince ka ona chahyeh agar main is strategy par kaam karunga toh phely main demo account use karunga is strategy ko check karne k liye phir ja kar main ye strategy use karunga real account par.......

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X