Top 5 indicators aur un ke baray main quick information.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Top 5 indicators aur un ke baray main quick information.
    Salam to all:)

    Aaj main apnay sab traders specially new traders ko indicators ke baray main batana chahta hon. Top 5 indicators jo forex trading main zayada tar use hotay hain wo yeh hain.

    1- Stochastics Oscillator: Ye indicator humein market main oversold aur overbought trends pata laganay ke liye istimaal kiya jata hai. Ye khas toor pe tab istimaal hota hai jab market range trading main ho.

    2- Moving Average: Moving average kai tarikon se istimaal kiya ja sakta hai. ye asal main market main profitable trends ko search karnay ke liye istimaal hota hai.

    3- Bollinger bands: Iss indicators ke 3 bands hotay hain, upper, middle aur lower. Ye humein batatay hain ke market main kis waqt enter hona hai aur kis waqt exit karna hai. matlab high Bollinger band per sell karna aur lower Bollinger band per buy karna aur profit banana.

    4- Fibonacci Retracement tool: Ye tool iss liye hota hai ke agar koi trader trading karnay main late ho jata hai ya phir wo start main profit kama kar dobara trade main in hona chahta hai to wo iss tool ko use karta hai. Is ke kuch specific points hotay hain jo table main aa rahay hotay hain jo ke 23.6%, 32.8%, 50%, 61.8% aur 100%.

    5- Autochartist chart pattern indicator: iss indicator ke through hum chart patterns pe check kar saktay hain ke kisi bhi currency ki direction kya thi, uss ki duration kitni thi aur uss ki strength kya thi. iss tool ki madad se aik acha trader bohat si achi opportunities ko pick kar ke profit kama sakta hai.

    Hope that will help.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    dear main indicators par believe nahi krta q k mjy bass pany experience par grifitt hey or main apny experience ke base par achi trading kar skta hun or bohat acha profit b gain kar stka hun,,
    • #3 Collapse

      Yeh tamam indicators technical analysis main use hote hain jin ka apne zikr kia hai. Forex main indicator kam to krte hain lekin yeh pata nahi chalta k kab yeh apko galat signal de de or ap order place krden.
      • #4 Collapse

        brother ap ny jo detail di ha tafseel sy nhi ha aor na hi koi new trader is ko smjh skta ha ap please agr ap k pass acha knowledge ha to tafseel sy aor easy traiqa sy share krain to acha. yh tuf chez ap ny likh di ha is sy koi smjh nhi ati ha keh ap kia smjhana chahty hain.
        • #5 Collapse

          Dear main nay detail ap or na hi koi nh nw trader is ko smhh skta ha p please agr ap k pass acha knowledge ha to tafseel sy or esy raqia sy share k4ain to acha yeh tuf chez ap ny likh kr is ay lki skjh nhi ati ha keh ap los smhajan chachty hain.
          • #6 Collapse

            bhai ji mene kabhi bhi currency strength indicator ke baarein mein nahi suna hai,mai chahta hoon agar yaha kisi ne esko use kiya hai tou wo......
            .
            • #7 Collapse

              sir aap ny buhat hi achi posting ki hy, laikun meen newbie ki haseyat sy aap sy aik bat kehna chahoon ga ky app ny indicators ka mukhtaser bata dya hy ky en sy kya kya faida hasl kya ja skta hy,agar aap ye bhi bata deen ky en ko kaisay semjha jaey tu meray jaisay buhat sy newbie ka bhala ho sakta hy,
              • #8 Collapse

                zabardast mara bhai ao ki information na mara knowledge main azafa kiya h akya ap ap hamain is ko set karna ka tarika batow ga ka ahum kis tarha in taman indicator ki seeting kar saktain hain . in ka bara main ap hamin bata dain .
                • #9 Collapse

                  g ha ap na boht achi information thi thanks ap na mera kuch indicaters ka bare main ap na mera consept dor kar dia hai yeh indicaters wakae hi real main proftable hai thanks friend
                  • #10 Collapse

                    dear friend apne boht ache se indicators ki information di aur boht zaber dast indicators ko apne discus kiya jo aam tur per har trader he use kerta hai lekin friend mene in indicators ko fail hote howe kay bar dekha hai jab market apni range se out hoti hai tab in indicators k sath sath humen market k data ko bhi zihen men rakhna hoga ye sab normal range market men sahi work kerte hen
                    • #11 Collapse

                      brother meri nazar me jo in sab me best hai woh hai just bollinger bands or me isi indicator ko follow karta hun or signals ki help le kar or indicator ki direction ki madad se trading karta hun or koi dusra indicator me use nahi karta me sirf bollinger bands per believe karta hun .
                      • #12 Collapse

                        nice information share ki hain ap ney 5 indictors k barey main sab newbie se request hain k isko zara tawaju k sath read karey ta k apko indicitors use karne main koi mushkil na hoo aur ap sahi se use kar paye .
                        • #13 Collapse

                          Aap nay indicators ko buhat Achi Tarah or Short Form Main Samjhayaa... Waisay main moving Average ko Zyadaa use Karta hon in my Demo Account... main nay Eek Article main Study kiya Thaa orr Seniors Bhi Kehtay hain K indicators par 100 percent bharosa nahin Karnaa Chahiyee khod Say Market kaa jaizaa ly K trade laganaa Zyada behtar hota hai.
                           
                          Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
                          • #14 Collapse

                            dear me apnay best indicator btata hun
                            1..allegator; ye indicator aap ko long term trend show kerain gay
                            2...fractle...ye indicator humain trend change honay ki indication kerta ha
                            3..stochistic indicator... ye hmain over bought over sold ki position show kerta ha
                            dear me to reguler yahi use krta hun
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              bhot thek se ap na dear hum ko guid kya ha ky in 5 top indicator ko kis terha se use kar sakty ha our ya kis terha work out karty ha indicator bhot important rahkty ha during trading in ky bagar trading bhot mushkil ha

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X