Trade modification kia hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade modification kia hay?
    Dosto bohat saray dost trade ko modify karna nahi jantay, trade modify karnay ka matlab yeh bhi ho sakta hay keh ap stop loss laga lain ya phir take profits, ya phir pahlay say lagi hui stop loss ya take profit ko change kar sakain, is kaam k lye ap trade modification ka use kartay hain, is kaam k lye ap apnay existing trade ko double click kartay hain to samnay yeh window ati hay.

    Click image for larger version

Name:	modify order.JPG
Views:	1
Size:	58.5 کلوبائٹ
ID:	12461326

    is picture may ap dekh saktay hain keh ap ko 2 khanay level k nazar a rahay hain, yeh pips k khanay hain, aur jo red wala button hay wo stop loss ka hay aur jo blue wala hay wo take profits ka hay, ap jitni pips ka fasla rakhna chahain us ko select karain, jaisa keh normally log 30 pips ka rakhtay hain, ap bhi aisa he rakh lain, aur us k baad ap red button ya blue button ya dono ko press karain gay, agar sirf stop loss lagana hay to sirf red button press karain, blue na karain, aur agar sirf take profits lagana hay to phir red button press na karain, ab jabb keh ap red button ko press karain gay to neechay walay khanay may price likhi ajaye gi, aur agar market ziada tez nahi hogi to neechay wala jo big bar wala button hay wo active ho jaye ga, warna jaisa keh oper picture may dikhaya gaya hay, waisa he deactivate rahay ga. jab ap us button ko press karo gay to ap ka stop loss aur take profits dono lag jaye ga, isi ko trade ki modification kehtay hain. trade modification may trailing stop bhi ata hay, lakin wo alag say lagta hay, yaha say nahi.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Je bro. apnay ek bar phr achi malomat share ki hain aur aisa hi krty rhayn i think issay behtr maloomat nhe mil sakti hamayn, kyonk asan alfaz main picture k sath kafi mushkil sy milti hain malomat wasay in options ko wo log use krty hain jo trading ko manually na krna chah rhay hooon jasay k khud stop krayn aur khud hi start.
    • #3 Collapse

      bhai ye sab iss ki cheesain hain jin kay baray main janana har trader kay liya buhaat zahroori ha aur main tu iss haq main hon kay jab tak app software ko sahee samaj na lain app demo pe sab option ki practice karain tah kay app ko sab facility kapata chal sakay
      • #4 Collapse

        Trade ko modify krne ka matlab hota hai kisi bhi opened trade main changes krna yane take profit ya stop loss lagana ya hatana ya change krna. Or agar order pending hain to price levels change krna limits change krna wagera wagera.
        • #5 Collapse

          bhai aap apni ytrade ko midify bhi kar sakty hain tp ya sl per double click kar ke apna stop loss ya take profit barha bhi sakty hain us ko kehty hain trade modification or yeh hamare lye bohat helpful hota hai is se hum ko kafi help milti hai sl or tp change karne me .
          • #6 Collapse

            baaz dafaaa hammain Market ko Dekhtay huye Koi Achi jaga Mil jati hai Tou foran Trade laga Deni chahiyee...phr baad main hum us ko Aap k bataye Gaye Tariqay kaar Say Modify kar saktay hain.. sir main nay Dekhaa hai K Market ki Movement K Sath Sath Stop loss or Take profit ki Values change hoti Rehti hain jab tak aap unhain proper Select na Karain wo Automated System K tehat move hoti Rehti hain..
            Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
            • #7 Collapse

              jab aap trade alga daity hen to us main take profit ya stop loss points ke setting krny k baad us ko modify krna hota hey phir wo points set ho jaty hen jo hum ny new lagany hoty hen..modify mean trade ke setting krna..
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: Qaiser4u007 پيغام ديکھيے
                baaz dafaaa hammain Market ko Dekhtay huye Koi Achi jaga Mil jati hai Tou foran Trade laga Deni chahiyee...phr baad main hum us ko Aap k bataye Gaye Tariqay kaar Say Modify kar saktay hain.. sir main nay Dekhaa hai K Market ki Movement K Sath Sath Stop loss or Take profit ki Values change hoti Rehti hain jab tak aap unhain proper Select na Karain wo Automated System K tehat move hoti Rehti hain..
                Brother, yeh sirf modification window may hota hay, jab market move kar rahi hoti hay to ap k selected pips k faslay par variation ati rehti hay, lakin jab ap modify kar chukay hotay ho to phir ap ka stop loss aur take profit fix ho jata hay, lakin stop loss jab move kar sakta hay jab ap nay trailing stop lagaya hua ho, wo apni jagha chor kar profit zone may chala jata hay.
                 
                • #9 Collapse

                  trade modification aik bohat useful option hai. iss ke through hum kisi bhi waqt apna stop loss aur take profit set kar saktay hain. agar hum ne apna trade open katay waqt stop loss ya take profit nahi lagaya to hum trade modification ke through issay set kar saktay hain.
                  • #10 Collapse

                    yes brother you can modify your trade at time without any restriction it means that you an charge you take profit position and stop loss position any time without any restriction.
                    • #11 Collapse

                      Dear trading modification sy murad h k trading planning krna k main kis tarah say trading say trading kr skta hoon or mujy kesy trading krna chahiya merke main earning kesy kami chahiya.
                      • #12 Collapse

                        aap nay bhot achi information de hai aur mjhay lagta hai pakistan forum nay best post ka award start kar k bhot he acha kya hai jiss say aap jesay log jo itni achi achi post kartay hain milni chahye.
                        • #13 Collapse

                          ap koi order place karty hein or ap ka pata chalta he kay jahan mein take profit ya stop loss ya phir jahan trade open ki he wo galat he to pher ap os trade pe double click kar ka osy change karty hein wo modification hoti he.
                          Last edited by ; 26-02-2014, 01:11 PM.
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: tiger786
                            trading modifaction ka matlab he k trading k liye pori tayari aur planning krna,k me kiss tarah forex ki market me kama sakta hun aur kis tarah khud ko loss se bacha skta hun
                            Bhai, wo trading plan hota hay, trade modification ko urdu may mai nay first post may bayan kar diya hay, meharbani kar k first post ko read kar lain. Jo ap bol rahay ho wo planning hay, wo to bohat baad ki cheez hay.
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              forex faida

                              hum forex trading mein boht faida b kertay hain aur nuqsan b, nuqsan say bachnay k leyah apnay dil ko barha kerain, nuqsan es leyah zyada hota hai . kiun jeb hum ko nuqsan ho raha hota hai hum wait kertay hain aur jeb hum ko faida ho raha ho hum fori thora sa profit lay k kat detay hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X