Karobar kay leye zarori tips kiya hai.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Karobar kay leye zarori tips kiya hai.
    Dear Friends

    Karobar karny kay leye ap ko neechy deye points mind mai rahkny cheye

    01- Jo be karobar karain. ap ko us ka experience ho. ager experience nahi hai tu us ko pehlay kahi seekh lain.

    02- Karobar jis area mai shoro krna hai waha ka jaiza lain. ik chota sa survey karain or daikhain woh area ap kay business kay leye sahi hai be ya nahi

    03- jab karobar shoro kiya jaye apny customer kay sath acha ikhlaq karain. ager possible ho return item ko wapis lay lain ager ap ka thora nuqsan ho raha hai phir be aisa karian.

    04- Apny Karobar ko behtar banay kay leye pichlay month kay sath compare karain. or daikhain ap ko kitna profit or loss ho raha hai.

    05- Karobar main odhar na karain. margin kam rahk lain lekin cash dain

    06- cheezo ki expiry date daikhain or un ko time pay return kay exchange karain.

اب آن لائن

Working...
X