Robot meta trader may lagaya kaisay jaye?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Robot meta trader may lagaya kaisay jaye?
    Dosto, ziada tar log robot trading ki baat to kar rahay hain, lakin hum may say ziada tar logo ko yeh hi nahi pata k robot ko ap laga kaisay saktay ho? Yeh thread isi lye open kar raha ho ta keh ap ko bata sako k robot ko kaisay install kia jaye.

    Sab say pahlay to ap robot ko download karo, jaha say bhi kar saktay ho, phir us k folder ko khol kar dekho us may konsi files hain, ziada tar robots may sirf 2 files hoti hain, aik readme aur dosri ex4 ki, lakin baaz dafa mql4 ki bhi ajati hain, lakin hamaray kaam ki jo hoti hay wo aik hoti hay, ex4 wali file, phir bhi ap yeh teeno files copy karain, aur apnay computer may program file may jain. Wha par ap ka meta trader installed hoga aur us ka folder bhi hoga, yaha par hum instaforex ki baat kartay hain. Instaforex k folder par click karain. us may ap ko experts ka folder nazar aye ga, us ko khol kar sari files us may paste kar dain.

    Agar ap ka meta trader khula hua hay to us ko restart kar lain, aur agar nahi khula hua to us ko start karain. ap k meta trader may expert may ja kar check karain, wha par ap k robot ka name show ho raha hoga. us ko double click karain, lakin yaad rahay k jo bhi chart select hoga usi par wo robot kaam karay ga, to chart ko pahlay hi select kar k rakhain, jaisa k Eur/usd ya phir Usd/jpy wagaira. ab ap dekhain gay k ap k chart par oper ki taraf konay may ap k robot ka name likha ajaye ga. ap ka robot install ho gaya is ka matlab hay, lakin wha par aik cross sa bana hua aye ga, is ka matlab yeh hay keh ap ka robot abhi active nahi hay. Us k lye ap expert adviser ka button press karain gay to phir wha par ap ko aik smiley face nazar aye ga, to is ka matlab yeh hay keh ap ka expert adviser ab kaam kar raha hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    thanks bro ap ne bht tafseel se pora procedure samjhaya ha or umeed ha k new users ko iski samajh achi tarah aajai g isme kuch kami nahi jo mai isme add ker sakon ek dafa phir bht shukriya itne informative thread ka
    • #3 Collapse

      Thanks aap ne kafi acha samjhaya hia per aap ne robot install kar ke open karnay ka tareqa bata deya per jab trade close karni ho ya robot close karna ho to woh tareqa bhi bata dain.
      • #4 Collapse

        Robo boht rzki kaam he he ye hamari investmetn ko nhi dkhta agr kam investment he to bilkul hi wash hojaega robo k sath jisko bhi robo ka kam karna he wo barri innvest par kare
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: rajamoby پيغام ديکھيے
          Thanks aap ne kafi acha samjhaya hia per aap ne robot install kar ke open karnay ka tareqa bata deya per jab trade close karni ho ya robot close karna ho to woh tareqa bhi bata dain.
          Bhai, agar robot close karna ho to sirf ap expert adviser ka button off kar day gay, robot khud say kaam karna chor day ga, lakin jo pahlay say open trades hongi to wo unko open nahi karay ga, aik aur cheez, agar ap dobara say thori dair k baad ya aik din k baad robot ko on karay gay to shayed wo ap ki pichli trades ko band kar day, chahay wo profit may ho ya loss may, kyo k market ki configuration change ho jaye gi, aur robot apnay hisab say phir market ko analyze karta hay.
           
          • #6 Collapse

            Thanks Bhai ap ne is thread me sab clear kar dia hai in se wo log achi se faida utha sake hain jin ko robots intall karne me problem paish aati hai
            • #7 Collapse

              thank you bhai may naya ho robot ko lagana ni janta ap nay bhot achi information de hay may is ko dubara read karo ga ta kay achi samaj a jay.
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: khurram khawaja پيغام ديکھيے
                thank you bhai may naya ho robot ko lagana ni janta ap nay bhot achi information de hay may is ko dubara read karo ga ta kay achi samaj a jay.
                Brother, yeh to achi baat hay k ap nay meri thread say kuch seekha, lakin ap new ho to mazeed aik tip day do, wo yeh hay keh koi bhi robot use karo, lakin pahlay us ko demo may try karo, aur us ko time ka wastage mat samjho, time waste hua to kuch khas faraq nahi paray ga, lakin agar personal investment zaya hui to ziada dukh hoga ap ko.
                   
                • #9 Collapse

                  thanks broither aap ne itne achi information di hy ham sab ko.. bohat achi tara se detail mein aap ne robbot se trading ka method samjhaya hy.. thanks aap se request hy ke aesi threads kerte raha kren jin se members ko faida hota rahe.. wish you best of luck for trading
                  • #10 Collapse

                    Main nay bhi robot use kia hai.ye kaam to karty hain lekin robot ka use boohat risky hai.is liey kush loog jin ko robot ka use pehly nahin aata tha to direct kahen real account main he robot na laga dain.is liey main advise karna chahta hun kay pehly aap robot ko demo main test karain or robot utni dair tak he kaam kary ga jab tak aap ka internet active hai or pc on hai.jab off kar dia to ye kaam nahin kary ga.is liey hum mostly robot use karny kay liey VPS rent pay lay leety hain.
                    • #11 Collapse

                      Thanks brooo Information dyany ka brooo kay ap ya bata sakty hy kay ascha robot kah sy maly ga aur agher malat hy to us kay price ky ho gay main kay jawab ka intazar karon ga plz tell me.
                      • #12 Collapse

                        bro jaha tak mujhe robots k baray main pata hai robots hamesha loss main hi rakhte hain traders ko acha traders earner wohi hai jo khud seekh k trading kare
                        • #13 Collapse

                          Very informative post brother. Mere mind main bhi kafi dair se yahi question tha ke robot ko use kaise karna hai. lakin maine ye bhi suna hai ke robot zayada faida nahi deta aur iss ke andar programming fix hoti hai. zaroori nahi ke ye humein profit hi dey.
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: amughal پيغام ديکھيے
                            Very informative post brother. Mere mind main bhi kafi dair se yahi question tha ke robot ko use kaise karna hai. lakin maine ye bhi suna hai ke robot zayada faida nahi deta aur iss ke andar programming fix hoti hai. zaroori nahi ke ye humein profit hi dey.
                            Dost baat yeh hay keh har robot ap ko kama kar nahi dayta aur har robot loss bhe nahi dayta, yeh automated system hota hay, aur agar ap is ko sahi tareeqay say use karo gay to ap ko faida day ga.
                             
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              thanks abdullah ap na hum sab ko our new trader ko tafseel sa bathya ha ky hum met trade me reboot ko kis terha use kar sakty ha our par me reboot ky haq me nahi ho our na hy rebbot ke mujy zarort ha

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X