Doji aur Doji dragonfly
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji aur Doji dragonfly
    Dosto is thread may mai ap ko yeh batana chahta ho k doji kia hay aur doji dragonfly kia hay, is say ap bohat asani say trend k change honay ka pata chala saktay hain, is ki pehchan yeh hay keh yeh ksi bhi shakal may ho sakta hay, yani yeh christian k cross jaisa bhi ho sakta hay, ulta cross bhi ho sakta hay, plus k nishan ka bhi ho sakta hay, aur yeh aisa bhi ho sakta hay k candle k last may english word ("T") jaisa bhi ho sakta hay aur ulta "T" bhi ho sakta hay, yeh hota jab hay jab candle k starting price say lay kar candle move karti rahay lakin candle close usi price par ho jis par open hui thi ya phir thora bohat faraq ho. jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay.

    Click image for larger version

Name:	doji dragonfly.JPG
Views:	1
Size:	71.1 کلوبائٹ
ID:	12461287

    Doji say to yeh pata chalta hay k next candle shayed big movement wali hogi, lakin jaha par doji dragonfly ban jati hay to us k baad jo candle banti hay wo ziada tar trend change honay ki nishani hoti hay, agar yeh bullish market may banay to market bear ho jati hay aur agar bear market may banay to next candle lazmi bull hoti hay.
    Last edited by ; 20-01-2014, 07:14 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    aj aik aur doji ka pattern mila to ap logo k sath share kar raha ho, aur ap dekhain k gold may kis tarha say doji create hui aur kaha par may nay sell ka order place kia, is picture may mulahiza farmaye.

    Click image for larger version

Name:	doji fly.jpg
Views:	1
Size:	96.8 کلوبائٹ
ID:	12316937

    Is picture may mazeed dosray indicators ki madad bhi li gai hay, ap un par bhi ghor karain.
     
    • #3 Collapse

      doji ka impact nutral bhi hotaa hai,Doji hammain Market Main Waqti toor par Trend Change honay Ka Bhi pataa Deti hai
       
      Last edited by ; 31-03-2014, 07:26 PM.
      Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: Qaiser4u007 پيغام ديکھيے
        thnx for sharing us a Fantastic indicator acha sir ye batayen k ye indicator sirf Gold main he use hota hai ya currency main Bhi hum isay use Kar Saktay hain >???
        Meray dost, yeh indicator nahi hay, yeh to chart pattern hay, may nay wazeh to kia hay, may asal may gold may trade kar raha tha to mujhay live market may yeh pattern mil gaya to may nay snapshot nikal kar yeh thread khol li, ta keh ap sab ko samjha sako, meray jitnay bhi threads hain sab may agar ap price par nazar rakho gay to ap ko pata chal jaye ga keh sab live account k recent snapshots hotay hain. Second post may bhi agar ap ghor karo gay to us pattern k baad ki hi continuation hay.
           
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: Khansa
          bhaai yeh jo aap candle ka bata rahe hein ke candle ke end pe cross hoga to mujhe to yehi samajh nahi aa raha ke candle khan se ayegi.. mujhe to meta trader mein horizontal lines hein but candles khan se ayngi..?????
          Candle aik chart learning pattern hay, ap ko shru say maloomat hasil karnay ki zaroorat hay, meta trader may teen tarha k patterns available hain, aik line, dosra bar aur teesra candle stick pattern, yeh third wala hay.
             
          • #6 Collapse

            Nice article. I am agree with your voice. You describe the topics very nicely. Thank you for the nice information brother.
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: bab
              dear yeh ek buhat hi acha indicater hai sir mujey yeh bataen k yeh indicater gold men use hota hai ya silver men ok thank,s
              Yaar ap zara ghor say first post parh lo, phir batana k konsa indicator may nay discuss kia hay? lakin chart to gold ka he hay, kyo keh is time par gold may trading ziada safe chal rahi hay, range may, aur jo pictures may nay share ki hain wo dekhnay ki zehmat kar lain zara.
                 
              • #8 Collapse

                Candle sticks ki boohat sari types hain or technical analysis main ye important bhi hain.dogi or doji dragonfly kay bary main aap nay acha explane kia hai.is tarah ki achi sharing sabhi ko karni chahiey.
                • #9 Collapse

                  May mazeed yeh add karna chaho ga is baray may k jab drangonfly doji banta hay to us ki wajuhat kia hoti hain pechay, agar to "T" word ka shape banta hay to is ka matlab yeh hay keh sellers exhausted ho gaye hain aur ab mazeed sell nahi kar rahay, is ka matlab yeh hay keh market oper penetration karay gi, isi tarha say agar "T" ulta banay to is ka matlab yeh hay keh ab buyers halkay par gaya hain aur sellers ziada active ho gaye hain, aur market down jaye gi, yeh aik wazeh indication hoti hay temporary trend change ki, jab tak k koi news nahi ajati, trend jari rehta hay.
                     
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: rushmalik
                    forex mein any k bad ap ko chart bnana ata ho to ap aik achi trade talash kar sakty hen in k ley kai trend bhi use hoty hen aur kai patren bhi use hoty hen to brother fil hal mugy in ka pta nhi hy k ye doji aur doji dragonfly kia hota hy.
                    Meray dost, chart banaya nahi jata, chart to live chal raha hota hay, ap ko us may say patterns talash karna hotay hain, agar ap candle stick k patterns ko seekh lain to apko kaafi andaza ho jaye ga, jaisa keh three soldiers, hanging man, hammer, doji, dragonfly doji, wagaira.
                       
                    • #11 Collapse

                      dear main ny b proper candle stick patter ke study ke hey lakin ab main sochta hun k bass study he sab kuch hey study k begair hum kuch b nahi kar skty so candle stick pattern say hey mjy pta chla k Doji kya hota hey or dragon fly doji kya hoti hey..
                      • #12 Collapse

                        Candlesticks pattern play a very vital role for technical analysis. If a trader correctly understand the candlestick pattern then he take correct decision in correct time. When doji made after a long trend that means market make opposite trend. It indicate support or resistance level. So a trader should be consider it when he enter in trading.
                         
                        • #13 Collapse

                          Candlesticks pattern play a very vital role for technical analysis. If a trader learn how to use the candlestick pattern in his trading plan then he execute a trade in time. As we all know that both are different directions of Candlesticks.
                           
                          • #14 Collapse

                            achi traha sy ap ny members ko guide kia ha aor achi sy share ki ha. is sy member jo bht faia ho ga. aor bht sy members jo market ki smjhty hain aor kuch knowledge rkhty hain is bat ko smjh chuky hon gy.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              ji ap thek keh rahe hai doji aur draganfly doji dono trend reversal ko show krte hai, market kyo ke extensive move ke baat reverse hoti hai agr market pehle downtrend mein thi tu ab wo trend change ya reverse kre gi jo ke bullish hoga aur is reversal trend ko identify krne ke lye hum doji ya dragonfly doji ko identify kr ke trade krte hai

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X