Bollinger bands Indicator
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger bands Indicator
    Bollinger bands Indicator ka Tauraf
    Bollinger baind qeemat ke lifafay ki aik qisam hai jo jaan Bollinger Opens ne aik nai window mein tayyar ki hai. qeemat ke lifafay oopri aur nichli qeemat ki had ki sthon ki wazahat karte hain. Bollinger bindz woh lifafay hain jo qeemat ki aik saada harkat pazeeri ost se oopar aur neechay mayaari inhiraf ki satah par banaye gaye hain. chunkay bindz ka faasla mayaari inhiraf par mabni hai, is liye woh bunyadi qeemat mein utaar charhao ke jhoolon ko adjust karte hain . Bolingger bands aik asa Indicator hy jis sy hamen trend ko analyse krne me bht faida ho sakta hai but hamen completely indicators pe depends nhi rehna chahiye q k jab ham completely indicators pe depends rhen ge to ham kabhi bhi kamyab nhi ho saken ge Is liye hamen khud se apme experience aur skills se trend ko analyse krna chahiye ta k ham kamyab ho saken bollinger band mai trade lagana chaty hai to aus k liay hum ko ais mai sabse phly to dekha chaye k hum jo short term trading k liay use kar rahy hai ais mai hum ne time frame kon sa use karna hai aus k baad hum ko ye dekhna chaye k hum ne ais mai simple scalping trade hi lagani hai ye nae.
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	23
Size:	13.2 کلوبائٹ
ID:	12552088
    Bollinger bands ka MT4 main istimal
    Dear member sab sy pehly aik trader ko ye samjhny ki zarorat hai k bollinger band ko kaisy arrange kiya jata hai es ka aik band opar or aik band nechy hai .Her set security ky 210day ki moving average ky standard deviation ky distance per hai lehaza band volatality ky silsly mai price ky ups and downs ko show karty hain or trader dono bands ky darmiyan kahen bhi changes ki umeed rakh sakty hain.es mai forex trader opar waly band mai sell ka order deny or nechy waly band mai buy ka order ky liye band ka istamaal kar sakty hain ye strategy currencies ky aik best work karti hai jis sy ye range pattern ko follow karty hain lakin agar es ai breakout ho jata hai tu trader ky kafi ziada mehnga sabit ho sakta hai
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	24
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12552089
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bollinger bands Indicator

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bollinger Bands Indicator


    Bollinger Bands indicator ek technical analysis tool hai jiss ko John Bollinger ne 1980s main stocks for trading k leye banaya tha. Bollinger band indicator k bands pechle trading k high ya low k pemayesh k mutabiq volitilety indication deta hai. Volitilety ko standard deviation k mutabiq mapa jata hai. Jab bhi prices high ya upward jati hai, to Bollinger indicator k bands phelte (increases) jate hen, jab k kam pricea main bands tang (decrease) hote jate hen. Is dynamic hososeyat ki waja se Bollinger bands indicator ko mukhtalif securities par apply kia jata hai. Bollinger band indicator teen lines par mushtamil aik lagging indicator hai, jiss main middle line price line aur uss se upper aur lower aik aik line hoti hai. Ye teeno lines Bollinger Bands indicator k trend (bullish aur bearish) ki wazahat karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (56).jpeg
Views:	22
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12441946

    Explanation

    Bollinger band indicator ka itlaq tamam financial markets equities, forex, commodities, aur futures sab par kia jata hai. Bollinger band indicator ko ziada tar k timeframes main istemal kia ja sakta hai, jaise k short-term periods, se lekar hourly, daily, weekly ya monthly tak sab par ye indicator fit kam karta hai.
    Bollinger band indicator aik khas mudat k dauran security ki prices k high aur low levels ko dekhati hai, aur uss security ki khas taqat ka bhi batati hai, jab uss k high upper line aur low uss k lower line k qareeb pohunchti hai. Bollinger band indicator k bandwidth k increase ya decrease honna prices k volitilety par munhasir hota hai. Ab agar prices ki volitilety high hai, to indicator k bands bhi wide (increase) ho jate hen, jab k low volitilety main bands narrow (decrease) honna shoro ho jate hen. Ye bands muntakhib karda timeframe main moving averages k over-bought aur over-sold dekhati hai.
    Bollinger band indicator k bands "Moving Average Envelope" jaise hote hen, lekin in ki calculation mukhtalif hai. Bollinger band indicator main standard deviations levels ko upperbaur lower lines ko khenchne k leye samjha jata hai, jab k moving average envelope main lines ki aik muqarara percentage le kar plot kia jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (60).jpeg
Views:	1
Size:	40.6 کلوبائٹ
ID:	12441947

    Bollinger Band Indicator Calculation


    Bollinger band indicator ki calculation k leye darjazzel variables ki zarorat pesh ati hai;
    1. Time Period Denoted : "N"
    2. Standard Deviations Value : "S"
    3. Bollinger band indicator k darjazel lines :
      1. Moving Average Line ya Middle Band "N" period MA (N) k leye.
      2. Upper band ya line jiss main "MA" line ko "N" period k leye prices k standard deviations k zarye upper muntaqil kia jata hai, ko "SD" se zarab deya jata hai.
      3. Lower band ya line jiss main "MA" line ko "N" period k leye prices k standard deviations k zarye lower muntaqil kia jata hai, ko "SD" se zarab deya jata hai.


    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T154940.143.png
Views:	2
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12441948

    Limitations


    Bollinger band indicator jahan traders k leye bohut ziada faida mand sabit hota hai, wahi iss indicator k kuch limitation bhi hen, jiss ko trading k waqat lazmi made nazar rakhna parta hai. Sab se bara issue jo Bollinger band indicator k sath hai wo ye k, ye indicator aik lagging indicator hai, yanni jab bhi prices trend change karti hai to indicator ka reaction baad main ata hai, kabhi bhi ye indicator pehle se prices k mode ko nahi parh sakta.
    Jahan tak ziada tar traders indicator k bands ko trend k napne k leye istemal karte hen wahi iss indicator ko kabhi bhi akele trading main istemal nahi kia ja sakta. Uss k leye dosre reliable indicator ya prices action se madad leni parti hai. Indicator k leye ziada maozon non-correlated indicator hai, jiss k ekhate istemal se ziada faida hasil ho dakta hai.
    Bollinger band indicator ki settings bohut aham hai, aam tawar par to by-default setting main 20day MA ka istemal kia jata hai, lekin aggar dafa ye indicator kaam karne main nakam rehta hai, to traders baar baar settings tabdeel karte rehte hen. Standard setting ziada reliable aur istemal hone wala hai.

    Click image for larger version

Name:	images (59).jpeg
Views:	3
Size:	54.6 کلوبائٹ
ID:	12441949

    Trading


    Bollinger band indicator se trading ka kaam lena bohut aham hai. Indicator main centre ya price line ko aam tawar par aur ziada tar 20 day moving average par muntakhib kia jata hai. Jab k dosre upper aur lines ko uss se kam aur ziada levels deya jata hai. Moving average indicator k fast prices ki situation batati hai.
    Jab bhi prices indicator k mutabiq upper level ya band ko cross karne ki koshash karti hai, to ye aik qisam ka overbought level hota hai. Overbought level par ziada chances hotte hen k prices yahan se rebound hongay. Agar prices overbought level main jane k baad wapis band se nechay a kar candles banate hen to ye indicator ki sell ka signal hota hai.
    Agar prices band k lower line ko cross karne ki koshash karte hen to ye position prices k leye oversold ka area hogga, jahan se prices ka rebound ho kar bullish jane k chances hote hen. Agar prices lower band k bahir jane k bad wapis in ho jati hai aur candles band k andar banna shoro hoti hai, to ye indicator ki taraf se buy ka signal hota hai. Stop Loss indicator k selling point par band k sab se bahir wali candle k top ya uss se aik ya do pips upper par set karen. Buying par stop loss ko band k lower side k band k bahir candle k lower side par ya uss se aik ya do pips lower par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (58).jpeg
Views:	7
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12441950

    اب آن لائن

    Working...
    X