kya forex juaa hai ?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kya forex juaa hai ?



    forex trading ko juaa nahi samjha jata hai. juye ke bar aks, forex trading mein tajzia aur faisla saazi ka aik achi terhan se tay shuda amal shaamil hota hai. kamyaab forex traders bakhabar faislay karne ke liye takneeki aur bunyadi tajzia, market ke ilm aur tajarbay ke imtezaaj ka istemaal karte hain .
    forex trading mein, khatray / inaam ka tanasub wazeh tor par bayan kya jata hai, aur tajir apni pozishnon ke size ko adjust kar ke –apne khatray ko control kar satke hain. juye mein, doosri taraf, nateeja barri had tak ittafaq se tay hota hai aur khatray ko control karne ka koi tareeqa nahi hai .
    mazeed bar-aan, forex trading ko sarkari agencio ke zariye munazzam kya jata hai, jaisa ke America mein commodity future trading commission ( cftc ) aur u. k mein financial conduct authority ( fca ) yeh agencia is baat ko yakeeni banati hain ke forex brokrz munsifana aur shafaaf tareeqay se kaam karte hain aur taajiron ko tahaffuz faraham kya jata hai. dhoka dahi ki sargarmi .
    taham, yeh note karna zaroori hai ke forex trading mein bohat ziyada khatrah hota hai, khaas tor par na tajarba car taajiron ke liye jo market ko poori terhan se nahi samajte aur jazbaat ki bunyaad par zabardast faislay karte hain. kisi bhi qisam ki sarmaya kaari ki terhan, yeh bhi zaroori hai ke aap khud ko taleem den aur aik sochye samjhi hikmat e amli ke sath forex trading se rujoo karen .
    mazeed bar-aan, forex trading taajiron ko din mein 24 ghantay, haftay mein paanch din tijarat karne ke liye bohat ziyada lachak aur mawaqay faraham karti hai. trading ke liye currency ke mutadid jore aur maliyati alaat dastyab hain, jo taajiron ko –apne port fellows ko mtnoa bananay aur mumkina nuqsanaat se bacha satke hain. forex trading un afraad ke liye bhi qabil rasai hai jin ki sarmaya kaari ki deegar aqsam ke muqablay mein kam sarmaya hai. yeh yaad rakhna zaroori hai ke forex trading ke liye nazam o zabt, sabr aur muaser tareeqay se khatray ka intizam karne ki salahiyat ki zaroorat hoti hai. behtareen forex traders woh hain jo aik achi terhan se mansoobah band hikmat e amli par amal karte hue aur –apne jazbaat ko sambhaal kar taweel muddat mein musalsal munafe kamanay ke qabil hotay hain .
    aakhir mein, jab ke forex trading mein khatray ki aik khaas satah shaamil hoti hai, usay juaa nahi samjha jata. kamyaab forex traders bakhabar faislay karne ke liye mharton, tajzia aur tajarbay ke imtezaaj ka istemaal karte hain, jab ke juye mein nateeja barri had tak ittafaq se tay hota hai .
    Last edited by ; 30-01-2023, 12:49 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kya forex juaa hai ?

    Assalam o alaikum friends,

    Forex trading k bary me shuru okaat se he rumours wjood me agye thy or baaz kog esko jua bhe krar dety hain lykin aysa bilkul nahin hai , forex market me makhsoos pairs pr analysis ki mdad se aik proory procedure k teht trading ki jati hai, esko juaa krar dy dyna bilkul drust nahin hai, jo log esko juaa kah rhy hoty hain tow apko pata hona chahye k woh jazbati or uneducated log hain jin k pas forex ka knowledge sirry se mojood he nhin hai or na wo es knowledge ko hasil krna chahty hain or siraf rumours ki bunyad pr es market ko apny khyalat se reject kr bethy hain.

    FOREX :

    Forex stock exchange ya foreign exchange ki short form hoti hai, yeh aik online market hai jis me mukhtalif stocks online buy or sell k liye mojood hoty hain ,jo log es market me karobaar krty hain unhy forex trader kaha jata hai ,forex traders es online market pr mukhtalif stocks ko moky ki munasbat se buy or sell krty huy profit earn kr skty hain, yeh aik aysi electronic market hai jahan hamyn currency se ly kr precious metals tk sab pairs trading k liye dekhny ko mil jaty hain.

    Click image for larger version

Name:	E85E0AAA-1057-4E2A-8F46-9CA831B2F10E.jpeg
Views:	1
Size:	131.8 کلوبائٹ
ID:	12445152

    Juaa :

    Ganbl8ng ya juaa totally aik tukky ki bunyad pr hota hai ,yeh jua kaii events pr or mukhtalif kisam ki games pr lagaya jata hai jiska result kisi bhe soorat me kbhi bhe fix nhi hota or na esy kisi khas treeky ki bina pr analyse kiya jaskta hai, juaa bett ki bunyad pr hota hai yeh aik aysa aml hai jis me knowledge information wgyra ka koi aml dalhl nhin hota, kafi mumalik me jua legal hai.

    Click image for larger version

Name:	D9B1F2CD-C4BC-4108-AA22-2B0745B080E8.jpeg
Views:	1
Size:	29.3 کلوبائٹ
ID:	12445150

    JUA OR FOREX ME FARK :

    1: forex me trader apni investments krty huy trading ki mdad se profit earn krta hai jab k jua aik entertainment k yor pr lgaya jata hai or cash kmany ki koshish ki jati hai.

    2: juyy ko boht zyada regulate kiya jata hai itna forex ko nahin kiya jata lykin taa hamm kuch agencies es or nazr rkhti hain.

    3: jua aik total risk pr mabni activity hain jab k forex km risky hai kion k es me kafi sary procedures hoty hain or market ko kisi bhe waqt analyse kiya jaskta hai.

    4: jua aam tor pr luck py he depend krta hai, jab k forex me knowledge ,information or analysis ki mdad se profit kmaya jata hai.

    5: jua me taweel mudat k liye progit ka husool mumkin nahin hota jab k forex me long term gain kiya jaskta hai .

    6: jua mukhtalif casino, websites or lottery wghyra ki mdad se kiya jata hai, jab k forex ko trading platforms or brokers ki mdad se aml me laya jata hai.

    PROFITABLE :

    Waqti tor pr to jua aik profitable aml hoskta hai lykin long term or constantly es se profit gain nhin kiya jaskta jab k forex aik aysa aml hai jis me hamyn mukhtalif pairs dekhny ko mil jaty hain jinnpr trading ki mdad se constantly trading ki jaskti hai or profit kmayabjaskta hai, forex long term profit gaining k liye juyy se har haal me behtr sabit hota hai, yeh donu awamil profitable tow hain lykin forex ko plus points esliye milty hain kion k es me aik proper procedure or strategy payi jati hai jo profit k chances brha deti hai.

    CONCLUSIONS :

    Upr diye gaye mushaidy se ek bat tow wazih hojati hai k juaa or forex donu profitable aml hain, lykin en donu me boht fark hai ,
    Esliye experts en donu ko boht mukhtalif maanty huy forex trading ko juyy pr fokiyat dety hain kiion k juaa aik totally tukky pr mabni aml hai jahan profit k husool k chances 50/50 hoty hain.

    اب آن لائن

    Working...
    X