Bearish Meating Pattern Benefits Complete Guide.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Meating Pattern Benefits Complete Guide.
    Basic Points and Info ;-

    Bearish meeting patteren aik candle stuck patteren hai jo forex charts par zahir hota hai aur usay bearish reversal signal samjha jata hai. patteren do mom btyon par mushtamil hai, pehli aik lambi blush candle hai aur doosri bearish candle hai jo pehli mom batii ki oonchai ke oopar khulti hai aur apne wast point ke neechay band hojati hai.

    Helpful Anylesis Of Pattern ;-

    Yeh namona batata hai ke pehli mom batii ke douran bail control mein thay lekin doosri mom batii mein raftaar kho baithy, jis se bears ko qaboo mein anay aur qeematon ko kam karne ka mauqa mila.

    Click image for larger version

Name:	images (4).jpeg
Views:	23
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12601312

    Usay aam tor par market mein kamzoree aur mumkina rujhan ke ulat jane ki alamat ke tor par dekha jata hai. woh traders jo bearish meeting patteren ko dekhte hain.

    Finding the Price Positions ;-

    Woh forex market mein mukhtasir position lainay par ghor kar satke hain, ya woh usay lambi pozishnon se niklny ke liye signal ke tor par istemaal kar satke hain.

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	16
Size:	27.5 کلوبائٹ
ID:	12601313

    Taham, tamam takneeki tajzia ke tools ki terhan, tijarti faislay karne se pehlay patteren ki dosray isharay aur tajzia ke sath tasdeeq karna zaroori hai.

    How to Draw Pattern ;-

    Is pattern ko draw ker lenay k liye yeh idea sab hi traders ko must hona chahiye keh is ko draw ker lenay k baad chart may apply kesay kerna hay.

    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	13
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12601314

    Kyun keh ager yeh kernay may koi bhi mistake ho gai to is k kafi bad effects face kernay perr saktay hain is terhsa say hi loss ho janay k chances zeyada ho jaain gay or meray khyal may kisi bhi trader k liye loss ko revover kerna itna easy nahi hota.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Meating Pattern Benefits Complete Guide.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Meeting Line Candlestick Pattern


    Bearish meeting line candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish meeting line pattern bhi shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (11).jpeg
Views:	21
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12460974

    Candles Formation


    Bearish meeting line candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (23).png
Views:	9
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12460975

    1. First Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, jab k close same ussi candle k close price par hoti hai. Issi tarah se dono candles k close aik dosre k same price par end hote hen. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.

    Explanation

    Bearish meeting line candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya up trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko ooper jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se top par gap main hota hai, jab k close pehli candle k same closing price par hota hai, jiss se dono candles ka close price in-line hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20230206_230921.jpg
Views:	6
Size:	63.5 کلوبائٹ
ID:	12460973

    Trading

    Bearish meeting line candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya dosri candle k open price se two pips above par set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20230206_230934.jpg
Views:	7
Size:	104.2 کلوبائٹ
ID:	12460972

    اب آن لائن

    Working...
    X