Intro :
Tamam Doston ko AssalamuAlaikum.
Main instaforex kay sath pichlay 10 salon say trading kar raha hon jaisa ka ap sab log jantay hain, jab say main moderator bana tab say main trading par thek waqat nahen day saka, lehaza mujay trading tu jari rakhni thi is lea main nay CFD/ Stock main trading start karde. Is kay boht say faiday hain sab say barh kar tu ya kay is main trading kay lea sara sara din ap ko chart daikhnay key zarort nahen hoti, or is main ap asani say apnay trade laga kar baki roteen kay kam kar saktay hain, or sab say barh kar is main profit acha banta hai or loss honay kay boht hey kam chances hotay hain.
Details :
Ager ap merey trades copy kartay hain tu ap aram say ghar baith kar boht acha profit bana saktay hain yad rhay CFD/ Stock trading karnay kay lea ap kay pass balance acha hona chaye ap ko bus merey trade copy karnay hain or profit banana hai ya saray trades auto copy hon gayy or ap apnay bonus walay account main bhi isay copy kar saktay hain yadd rahay ap kay pass kam az kam investment 500$ tak key ho or ap apna lot size sab say kam use karain gayy or apnay account size kay hesab say hey leverage rakhain gayy. Ager ap ko merey maddad chaye tu ap kisi wqat bhi mujay message kar kay puch saktay hain.
MONITORING OF ACCOUNT 5156412 - SAFE HAVEN INVESTMENT