Hamain chahiye keh forex main khud per inhisar karna seekhain. Jab tak ham baqi logon kay ideas and tips per kam karain gay ham kabhi bhi kamyab nai ho sakty aur na he nakami say bach sakty hain. Q keh woh hamain hamari he money per risk ka kehty hain ager woh itny qabil hon aur itni authentic tips dain to woh hamain apni money say trading option dain. Jab keh woh hamain kabhi risk management ka nai bataty. Lehaza hamain chahiye keh ham apni learning ko improve kar kay is qabil banain keh self strategy create kar sakain aur is strategy ki waja say kisi aur ko call ya uski tips ka wait na karain..
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим