Dostor, chahay ap copy trade karo ya PAMM investment, lakin kuch cheezay aisi hoti hain jo investor ko pahlay say hi dekh layni chahiyay, jis may sar-e-fehrist hay trader ki portfolio, aur us portfolio may sar-e-fehrist hay draw down, yeh draw down aik aisi cheez hay jis say pata chal jata hay k us investor k pass agar ap invest kartay ho to ap ka account kitnay khtray may ho ga, lakin yeh aik hatmi cheez nahi hay, ap us k sath sath investor ka balance aur equity chart bhi dekho, yeh bhi dekho k ab tak k us ki trade ki performance kia hay aur kitni total investment hui hay us k sath agar PAMM hay to. PAMM may sath hi yeh bhi dekhna hoga k kitnay month ka ya period ka locked time hay, agar is time say pahlay apni investment nikaltay ho to kitna penalty pay karna hoga.