False break out kia hota hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    False break out kia hota hay?
    Dosto, break out ka to ap logo ko pata chal he gaya hay keh kia hota hay, agar nahi pata chala, to isi section may thread dekh lain, pata chal jaye ga, ab yeh batain keh false break out kia hota hay? all related comments are welcome.


    Lagta hay shayed koi batana nahi chahta, chalo khair hay may he bata dayta ho, false break out wo hota hay jis may market trend line, support ya resistance ko cross kar dayti hay, aur in limit say bahir candle close hoti hay, aur jo dosri candle form hoti hay wo bahir in limits say bahir he hoti hay lakin close trend line, support ya resistance k ander hi hoti hay aur phir usi ko continue karti hay, isi lye is ko false break out kehtay hain, jab keh break out may candle continue karti hay trend ko. Aik aur cheez wazeh kar do yaha par, wo yeh hay keh break out ya to second candle par confirm ho jata hay ya phir third candle par, wo is tarha say keh misal k tor par ap nay aik trend line draw ki Eur/usd par, aur market oper ja rahi hay, bull trend chal raha hay, aur us k baad market nay us trend line ko cross kar lya, aur trend line say bahir close hui, ab jo new candle open hui wo bhi bull ki candle nikli, to yeh break out ho gaya, ya phir aisa hua keh aik candle trend line k bahir close hui, aur dosri candle trend line k ander close hui, aur third candle trend line k oper ja kar close hui to yeh bhi break out kehlaye ga. isi tarha say agar false break out hoga to us may yeh hoga keh candle bahir close ho kar next new candle trend line k ander close hogi, aur third candle bhe ander he rahay gi to yeh false break out kehlaye ga, aur agar aik candle bahir gai aur dosri bhi bahir gai lakin teesri candle wapis trend line k ander close hui to yeh bhi false ya fake break out kehlaye ga. Mujhay agar koi most recent picture mili to picture k through ap logo ko agah karo ga.
    Last edited by ; 08-02-2014, 03:29 PM. وجہ: Answer added
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    JE haan mujhe pehlay tu confusion thi k false out aur break out kya hotay hain aur akhir jab new candle banti hai tu iss ka bhi koi na koi nam hoga tu apki iss thread ki maadad sy mujhe yeh information bhi mil gaye hain. new traders jo bhi ussay chahye k apny knowledge ko improve krny k liye demo main achi practice kray aur sath main asii threads sy faida uthayn.
    • #3 Collapse

      Sir thanx For sharing Such A Fantastic Article About False Breakout...sir Main bhi yehi Samajhnaa Chah Raha thaa K False breakout Kya hota hai Aap nay behtar Tarah Say Samjhaa diyaa..Main Samajhta hon K ye hum Sab newbies is Article Main False Breakout Ko behtar Tarah Say Samajh jayen Gy
      Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
      • #4 Collapse

        bhai app nai bari wazaat se false break out kay baray main brief kiya iss mera concept buhaat haad tak clear ho gaya ha aur main iss ki waja pehlay kafi daffha apni trading main loss ka samna kar choka hon lakin ab mujay pata chal gaya ha
        • #5 Collapse

          listen brother mujhe false break out ke bare me koi idea nhi tha, but aap ki thread post start karne se mujhe kuch sekhne ko mila aur meri knowlege men bhi izafa howa and dear agar aap yeh false break out agar picture men wazeh se bayan karen ge to mazeed samjh aa ga.
          • #6 Collapse

            forex market main price k resistance or support k points par say breakout hota hey or market phir apny next target ke taraf movement karti hey lakin baaz time aisa hota hey k market main koi fake data aa jata hey jis say hum ko lagta hey breakout hogya lakin aisa nahi hota or market next target ke traf nahi jati isko false breakout kehty hen,,
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: Mehar پيغام ديکھيے
              forex market main price k resistance or support k points par say breakout hota hey or market phir apny next target ke taraf movement karti hey lakin baaz time aisa hota hey k market main koi fake data aa jata hey jis say hum ko lagta hey breakout hogya lakin aisa nahi hota or market next target ke traf nahi jati isko false breakout kehty hen,,
              Brother, market may koi fake data nahi ata, yeh koi kisi aik country k under control nahi hay keh ap is ko stock ki tarha say lay rahay ho, laikin rumors to chalti hain, phir bhe false breakout may nay tafseel say bata diya hay ap logo ko first thread may.

              اصل پيغام ارسال کردہ از: mudassar پيغام ديکھيے
              listen brother mujhe false break out ke bare me koi idea nhi tha, but aap ki thread post start karne se mujhe kuch sekhne ko mila aur meri knowlege men bhi izafa howa and dear agar aap yeh false break out agar picture men wazeh se bayan karen ge to mazeed samjh aa ga.
              Thanks brother, thread ko like karnay ka, mujhay jaha kahi bhe koi picture nazar ai to may picture capture kar k us may bhe wazeh kar do ga ap logo k lye, aur yaha par edit kar do ga.
               
              • #8 Collapse

                False breakouts darasal breakouts hi hote hain lekin kisi na kisi waja se woh apne breakout ko continue rakhne ke bajae reverse hojati hai jis se logon ko nuksan to hota hai lekin false breakouts bhi market ka hissa hi hain. False shoro main false nahi hote lekin jab price breakout ko continue nahi rakh pati to woh false breakout kehlata hai.
                • #9 Collapse

                  bhai aap ne bohat achi information hum se share ki hai mujhe support and resistence ke bare me jo bhi problems paish aa rhi thi woh false breakouts ki waja se he aa rhi thi jo ke ab door ho gai hain i hope ke ab me behtar samajh sakon ga trading ko .
                  • #10 Collapse

                    False break out Price Action Forex kay hisab se Faky setup ye market ki unexpected wrong side movement ko kehty hain. Jab market kisi recent price ya support or ressistence level ko break kar deti hai tu usko break out bolty hain or phir market ki ziada expected movement usi direction me hoti hai.
                    • #11 Collapse

                      jee abdullah bhot thek kha ha ap na mujy thora sa dout tha par abh clear ho gya ha ky false break kab hota ha trading me our kis trade point me price me ya differnce create hota ha
                      • #12 Collapse

                        Is ke subject se hi pata chal jata hay per is ko tu har wo hi us ekare ga ya us ko hi pata ho ga jo is main acah elam rakhta hay aur app ko pata ho ga ke app ko koi bhi galat trend milta hya app ki market app ke point aur trend ko out kar ke sell ya buy zada se zada ho jye .
                         
                        • #13 Collapse

                          Breakout takes place when price moves out of established trading range, a pattern or simply above/below previous high/low when market is in a situatin so we called it market breakout takes place.
                          • #14 Collapse

                            i read your thread but i don't understand your thread about false break put i think false break out is that time when the market price is increase our thinks and we get loss from forex trade it is false and break out.i think it is not your basic thread knowledge.l
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Ap ne kafi explain kia he false break out ko, magar ye false break out kabi kabi hota he means just in few trades mein hi hota, mostly true trend mein hi market rehti he or os kay according chalti he magar ehsi trades mein stop loss hona zrori hota he.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X