Dosto, break out ka to ap logo ko pata chal he gaya hay keh kia hota hay, agar nahi pata chala, to isi section may thread dekh lain, pata chal jaye ga, ab yeh batain keh false break out kia hota hay? all related comments are welcome.
Lagta hay shayed koi batana nahi chahta, chalo khair hay may he bata dayta ho, false break out wo hota hay jis may market trend line, support ya resistance ko cross kar dayti hay, aur in limit say bahir candle close hoti hay, aur jo dosri candle form hoti hay wo bahir in limits say bahir he hoti hay lakin close trend line, support ya resistance k ander hi hoti hay aur phir usi ko continue karti hay, isi lye is ko false break out kehtay hain, jab keh break out may candle continue karti hay trend ko. Aik aur cheez wazeh kar do yaha par, wo yeh hay keh break out ya to second candle par confirm ho jata hay ya phir third candle par, wo is tarha say keh misal k tor par ap nay aik trend line draw ki Eur/usd par, aur market oper ja rahi hay, bull trend chal raha hay, aur us k baad market nay us trend line ko cross kar lya, aur trend line say bahir close hui, ab jo new candle open hui wo bhi bull ki candle nikli, to yeh break out ho gaya, ya phir aisa hua keh aik candle trend line k bahir close hui, aur dosri candle trend line k ander close hui, aur third candle trend line k oper ja kar close hui to yeh bhi break out kehlaye ga. isi tarha say agar false break out hoga to us may yeh hoga keh candle bahir close ho kar next new candle trend line k ander close hogi, aur third candle bhe ander he rahay gi to yeh false break out kehlaye ga, aur agar aik candle bahir gai aur dosri bhi bahir gai lakin teesri candle wapis trend line k ander close hui to yeh bhi false ya fake break out kehlaye ga. Mujhay agar koi most recent picture mili to picture k through ap logo ko agah karo ga.