Dosto, jab ap ksi broker k pass apna account open kartay ho to aik option ata hay keh ap trading kis tarha say kartay ho, hedging k through ya phir speculation k through, may is may ap ko hedging k zariyay kamanay ka batao ga, k ap kis tarha say hedging kar k kama saktay ho, lakin yeh strategy chotay capital ya new traders k lye nahi hay, phir bhi may ap logo ko asan urdu may samjhana chahta ho ta keh jab ap log acha khasa experience hasil kar lain to phir ap k kaam aye yeh cheez. May ap ko apna experience bayan kar raha ho, to ho sakta hay keh koi ghalti kotahi bhi ho sakti hay.
Hedging ki strategy may ap ko karna yeh hota hay keh ap k pass capital big hota hay, kam say kam 200$, is may ap 0.01 ki lot say hedging kar saktay ho, ab is may ap karo gay kia? hoga yeh keh ap ksi bhi pair ko select karo gay jo kam say kam 100 pips ki movement daily karta ho, ap us ki daily chart ko open karo gay, aur us par dekho gay k market sideways chal rahi hay ya phir koi trend pakra hay, agar sideways chal rahi hay to phir ap asani say hedging kar saktay ho is may, hoga kuch is tarha say keh ap do positions aik sath kholo gay, aur us may take profis 100 pips rakho gay, dono ko, ab hoga is tarha say keh market ksi aik direction may to 100 pips move karay gi he, aur market retrace bhi karti hay, ab agar market 100 pips ko touch kar lay, to ap ka TP hit ho jaye ga, ab ap ko wait karna hay market k return ka, ya to market dobara apnay starting point par pohanchay gi, ya phir at least 50% retrace karay gi, agar 50% par bhi ap minus may close kar laytay ho to bhi 50% ka profit hay, aur ap aik risk yeh bhi lay saktay ho keh agar ap ko lagta hay keh market ziada penetrate kar sakti hay to ap apni hedging position ko 50 pips par stop loss laga lo, agar market nay penetrate kia to stop loss ko hit karti hui agay nikal jaye gi, aur ja kar TP ko hit karay gi.