Dosto, instaforex k kuch analysts aisay hain jin ki analysis ko may 2 months say dekh raha ho, aur un ki analysis ap ko ap ki email address par daily basis par provide ki jati hain, agar ap chaho to ap bhi un ki daily analysis say faida utha saktay ho, aur agar ap ko koi analyst pasand ho to ap to ap us ka name idhar share karain, waisay to bohat asaan hay subscribe karna, lakin phir bhi mukhtasir ap ko bata dayta ho, ap mt5.com par jao, aur wha par analysts ko talash karo, us page par ja kar ap subscribe ka button talash karo, mil jaye ga ap ko, jab ap subscribe karo gay to ap ko saray analysts k names nazar ajaye gay, jis ko ap select karo gay us ki analysis ap ko send ho jaye gi daily basis par, ap un ki analysis check karain aur phir yaha par aur logo ko bhi agah karain.
Mujhay personally 2 analysts ki analysis bohat pasand hay, aik hay Mourad El Keddani aur dosra hay Arief Makmur, Aik Marakashi hay aur dosri indoneshi, dono bohat achay analysts hain, in k charts ap ko samajhnay may bohat madad milay gi.