Members. Jaisa k kafi members nahi jantay hain k Insta Forex ney apna Meta Trader 4 Update kar diya hai Ab New Updated Meta Trader 4 Build 610 use kar rahy hain.Jis waja se trader apny old Expert Adviser & Indicators ko ab Use nahi kar sakain gay.Meri thread ko follow kar k ap apny indicators and expert adviser ko asani k sath new meta trader 4 main use kar sakty hain.
Neechy batai howi image mai new updated meta trader 4 build ki hai.
Updatd Meta Trader 4 ki malomat.
Ap apney Meta tader 4 ko open kar k Help main ja kar about pay click karty hain tu ap ko apney meta trader 4 ki sari information mil jaey gi neechy image mai b bataya geya hai.
Old & New Updated Meta Trader 4 Main Fark.
Hum old meta trader 4 main Insta Trader ka folder open kar k Experts ka folder open kar k Expert adviser main expert adviser ki files ko paste kiya karty thay.Or Indicator kay Folder main hum apney custom indicator ki file ko paste kar ky use kar sakty thy.Lekin ab New meta trader 4 main aisa nahi hai.New Meta Trader 4 main MQL4 ka folder extra add kiya geya hai or indicator and experts kay folder ki location b change kar di gai hai
EA & Indicator Install Karnay ka Tareeqa
Sub se Pehlay Trader apney Default C Drive ko Open karain or phir Program files main ja kar Insta Trader ka folder open kar lain. tu Waha ap ko MQL4 ka folder milay gaJIs ko ap ney Open karna hai.Neechy Image main ap Folder ko daikh b sakty hain Asani k leye.
MQL4 ko open karnay k bad ap ko waha par Indicator ka folder milay ga jaha pay ap apny custom indicator ki file ko dal sakty hain or Experts mai apney Expert Adviser ki file ko dal sakty hain or phir indicator pay asani se use kar sakty hain.Asani k leye neechy image b diya geya hai.
Umid Hai yeh thread ap ko asani k sath new updated meta trader 4 ko use karnay main madad milay gi.